Posts

Showing posts from February, 2016

BIKHRE MOTI 391

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 391 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟          (Msg 390 se aagey) 🔹Aap ﷺ ne Haz. Fatimah rd. se mukhatab ho kar farmaya : Fatima Allah se daro, ghar ka kaam khud karo, Allah ke huqooq wa faraaiz adaa karo aur 🔹Sote waqt 33 martaba سبحان الله 33 martaba   الحمدالله Aur 34 martaba الله اكبر Keh kar soya karo, yeh tumhaare liye baandi se behtar hai, 🔹Baaz riwayat me hai ke Aap ﷺ ne farmaya : Badar ke yatimon ka haq tum se pehle hai, 🔹Dusri riwayat me uska bhi izafa hai ke Aap ﷺ ne yeh bhi farmaya ke Ahle Suffa ke pet bhuk se chipke ja rahe hai, me tum ko kaise de dun ? 📗Abu Dawood 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti_390

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 390 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Haz. Fatimah rd. ke saath Aap ﷺ ko jaisa talluq tha uska tazkirah guzar chuka hai, 🔹Unka yeh haal tha ke ghar ke saare kaam-kaaj karte karte kapde gubaar me at jate, 🔹Chakki chalaane  se haathon me gatte pad gaye the, 🔹Ek mauqe par kahin se kuchh gulaam wa baandiyan aayi, Haz. Ali rd. ne Haz. Fatimah rd. ki yeh haalat Aap ﷺ ko bataayi aur ek khaadimah maangi, 🔹Aap ﷺ ne Haz. Fatimah rd. se farmaya : . .. .... (Baqi msg 391 me InshaAllah) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Parda - 3

▫▪▫▪▫▪▫▪▫▪ ⚪ Bismillahirrahmanirrahim ⚪  PARDA  ▪ PART-3 ▪ ⚪ Ajnabi na-mehram se haath milana najayaz he, ⚫ T V ke Deeni Programs me Aurto ka gair mehram ke saath saamne bethna islam me to najayaz he, lekin shayad T V walo ka islaam kuchh mukhtalif ho? ?  Jayaz kaam ke liye najayaz cheej ka istemal kisi bhi Surat me jayaz nahi,, isliye T V ka istemal Deeni Programs ke liye najayaz he, ⚪Nabalig ladki ko parda karwana maa baap ki jimmedari he, ⚫ Aurat ki awaaz bhi shar'an Satar he, gair mardo ko uska sunna or sunana jayaz nahi, khususan jabki mojibe fitna ho,  Aurto ka Jalso me vaaz nasihat karna, Naate kalam pesh karna,is hukm me dakhil he, muntzim, sunne wale, sunane wale sabhi gunahgar he, or Hujoor Sallallahu Alaihivasallam ki naraazgi or bad- dua ke mustahik he,  Jadeed waqt me Aurto ka mobile per mardo se baat karna bhi fitna he,, ⚪ Asal to yahi he k Aurat bazaar na jaye lekin jaroorat ke waqt parde ki pabandi ke saath kharid farokht kar sakti he, magar na- mehr

BIKHRE MOTI_389

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 389 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Fakro zabuhaali us waqt bhi qaayim rahi jab Aap ﷺ ke paas maalo daulat ke dher aakar lagne lage the, 🔹Jis din maal aataa, Aap us waqt tak ghar ke ander tashrif na le jaate jab tak woh taksim na ho jata, 🔹Fidak se kuchh galla anaaj aaya, Haz. Bilal rd. ne woh bech kar woh karz adaa kiya jo ek yahudi se Aap ﷺ ne kisi deenee zarurat ke liye liya tha, 🔹Aap ﷺ ne Haz. Bilal rd. se (jo gharelu umoor ki nigrani karte the) puchha : ke kuchh bachaa to nahin ? 🔹Unhone kaha : kuch bach rahaa hai, 🔹Farmaya : jab tak kuch bachaa rahegaa me ghar ke andar nahin jaa sakta, 🔹Unhone arz kiya : Allah ke Rasul ﷺ kyaa karu ? Koi saaeel bhi to nahin, 🔹Magar Aap ﷺ ne raat masjid me hi basar ki, 🔹Dursre din Haz. Bilal rd. Ne khabar di : Allah ke Rasul ﷺ Allah ne aap ko subukdosh kar diya, yaani jo kuchh tha woh taksim kar diya

Bikhare Moti_388

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 388 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟            (Msg 387 se aagey) 🔹Aur Allah ki taraf se Aap ko yeh hukm diya gayaa ke Aap apni biwiyon se saaf keh den ke Allah ke Rasul ﷺ ki Rafaaqat to isi haal aur fakro faaqah ke saath hi mumkin hai, is ghar ka to yehi haal rahega, 🔹Agar tum me se kisi ko duniya ki zindagi ki rifaahiyat (aaram) wa zeenat ki talab hai to woh mujh se bahusn wa ba khoobi alag ho sakti hai, 🔹Aur agar tumko Allah ki razaa, Rasule Khuda ki rafaaqat, aur aakhirat ziyada mahbub hai to Allah ne tumhare liye ajre azeem taiyyar kar rakha hai, 🔹Yeh hukm Qur'an majid ki aayat ki shakl me nazil huwa, (Surah Ahzaab 28,29) 🔹Aap ﷺ ne azwaje mutahharaat ko is faislah se khabardaar kar diya, 🔹Un sab ne bayak zabaan (ek saath) Allah ke Rasul ﷺ ki rafaaqat ko ikhtiyar kiya. 📗Muslim KitabuTtalak                      (سبحان الله) 🌟✨🌟✨

Parda Part_2

▫▪▫▪▫▪▫▪▫▪ ⚪ Bismillahirrahmanirrahim ⚪  PRDA  ▪ PART-2 ▪ ⚪ Jin mehramo se parda nahi unse bila- takalluf guftgu karne ki ijatzat he lekin hansi mazaak karne ki apne mehram ke saath bhi ijazat nahi, ⚫ Aurat ka bager jaroorat bazaar me Jana jayaz nahi or mardo ke samne chehra kholne ki bhi ijazat nahi, agar bazaar jane ki jaroorat ho to ghar se nikalne ke baad ghar aane tak parde ki pabandi laajim he, jisme chehra dhakna bhi laajim he, ⚪Ajnabi na- mehramo se chardiwari ka parda he, na- mehram agar rishtedar ho or aurat saamne Jane per majboor ho to chadar ka parda laajim he,  Chachazaad, khalazaad, Fufizaad, Mamuzaad bhai, Behnoi ya Dever isi hukm me dakhil hai, ⚫ Mard ki Raane or ghutne Satar me shumar he inko aam jagah per kholna jayaz nahi,  Aajkal mard bhi esa libaas pehan kar ghoomte firte hai, k unki Raane or ghutne saaf nazar aate hai, ye najayaz or gunaah he, ⚪ Surah Annoor me mardo ko bhi nazar nichi rakhne ka hukm diya gaya he, ⚫ Jis ladki se rishta hona ho use

Bikhare Moti 387

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 387 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Azwazje Mutahharaat bhi is tarze amal par nihaayat qana'at karne wali thi, aur sabro shukr se guzar karti thi, 🔹Jab Allah ki taraf se futuhaat ke baad khaane ki chizen aur maal wa daulat ki kuchh faraawani huyi to unko ummid huyi ke aam insano ki tarah Allah ke Rasul ﷺ apne ghar ke me'ayaar me kuchb behtari laayenge, 🔹Kam az kam 2 waqt ki roti ki had tak to unko bhi ummid thi ke yeh mayassar ho hi jayegi,  aur unhone uska mutalba kiya, 🔹Magar Allah ke Rasul ﷺ ne usko aisa NaaPasand kiya ke ek maah tak ghar ke ander tashrif nahin le gaye, 🔹Aur Allah ki taraf se Aap ko yeh hukm diya gaya ke .. ... .... (Baaqi msg 388 me InshaAllah) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 386

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 386 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Nabi sallallahu alayhi wasallam ke ghar ki ta'amir ka yeh haal tha ke ta'amir kachchi int ki thi, 🔹Kuchh hujre khajur ki tattiyon ke the, 🔹Chhat itni nichi ke khade hokar haath lagta, 🔹Chaudaayi 6-7 gaz aur lambaai 10 haath thi, 🔹Darwazon ko qaaide ka pardah bhi mayassar na tha, bosidaa kambal hi daal diya jata tha. 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 385

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 385 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Ek martaba Hz. Umar rd. ne Aap ﷺ ke ghar ke ander nazar doudayi to ghar ki kull mata'a chnd kilo Jav aur chamde ke chnd tukde hi nazar aaye, 🔹Rasulullah صلی الله عليه وسلم ki is be-saro saamaan ki zindagi par unka ye fidaayi ro pada, 🔹Arz kiya: Allah ke Rasul ﷺ ! Aap ka yeh haal hai !!! kaisaro kisraa Allah ke baagi kaise kaise aish lutte hai ? 🔹Aap ﷺ ka chehra surkh ho gayaa aur jalaali shaan ke sath farmaya : Umar ! kuchh shak hai? Un logon ko saare maze duniya hi me loot lene hai. 📗Tabkaat ibne sa'ad 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 384

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 384 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Azwazje Mutahharaat ke paas sirf 1 hi joda kapda rehta. 📗Bukhari, Kitabul Haiz 🔹Ghar me Aata chhane bagair pakta, kabhi chapaati pakne ki naubat nahi aati, Raaton ko chirag nahi jalte the. 📗Bukhari, KitabulSsalat 🔹Aap ﷺ ke bistar ki ye haalat hoti ke aisi chatai par lette ke jism mubarak par uske nishaan pad jaate. 📗Tirmizee,  KitabuZzahad 🔹Kabhi chamde ke ander bhusa bhar kar gadda ban jata, bas yehi bistar tha. 📗Bukhari 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 383

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 383 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Ummul Mu'aminin Hz. Ayesha rd. jo aap ﷺ ko intehaee mehboob thi, farmati hai ke : 🔹Hamaare ghar me kaee kaee din chulha jalne ki naubat nahin aati thi, 🔹Puchha gaya : Ummul mu'aminin rd. Fir kaise basar hoti thi? 🔹Kahaa : Bas khajur aur paani se. 📘Bukhari 🔹Ek aur riwaayat me farmati hai ke: Kabhi humko do waqt lagaataar Bakaaida khana nahin mila, ek waqt zarur sirf khajur par basar karte. 📘Bukhari 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 382

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 382 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Aap ﷺ ne kabhi iski fikr nahin ki ke aap ke ghar walon ko duniya ki zindagi me rifahiyat (aaram) haasil ho, 🔹Aap ﷺ yeh duaa aksar farmaya karte the ke : اللہم ارزق آل محمد قوتا 📘Bukhari "Ay Allah ! Muhammad ke ghar walon ko baqadre zarurat rizq ataa farma dijiye" Sallallahu Alayhi Wasallam 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 381

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 381 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟      (Msg 380 se aagey) 🔹Insaan ke liye khud pareshaniyan bardasht karna aasan hota hai, magar apne ghar wale aur bachchon ke chehron par wo fakr ke saaye nahi dekh sakta, 🔹Lekin Aap ﷺ ka tarze amal is silsile me bilkul mumtaz aur Aap ﷺ ki shaan e nubuwwat ke mutabik hai, 🔹Aap ﷺ ke ghar ka maahol aur umumi nakshaa waisa hi tha jo : اللہم لا عیش الا عیش الآخرۃ الدنیا ملعونۃ و ملعون ما فیہا الا ذکر اللہ وماوالاہ (Yane asal zindagi to aakhirat ki zindagi hai, aur rahi duniya, to ye la'anati hai, siwaye un chizon ke jinka Allah se kuchh ta'alluq hai) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 380

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 380 🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟 🔹Rasulullah ﷺ ko apne baal-bachchon se kaamil muhabbat thi, aur Aap ﷺ unka pura pura khayaal rakhte the, 🔹Uska takaazah yeh ho sakta tha ke Aap khud tangi wa pareshani ke saath guzar awqaat kar lete magar apne ghar waalon ke liye to kam az kam rifahiyat (bhalaai) aur aaraam ke intezamat kar hi dete, (Baaqi msg 381 me InshaAllah) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 379

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 379 ✨RASULULLAH صلی الله عليه وسلم KE MA'MULAAT✨ 🔹Isha ke baad der tak jaagna Aap ﷺ ko naapasand tha, lekin agar kabhi koi muamala mashwera talab hota to aap akaabeer sahaba se us waqt mashwarah karte. 📘Tirmizee 🔹Aadhi raat ibaadat farmate, 🔹Haz. Anas rd. farmate hai ke Allah ke Rasul ﷺ ko koi agar raat me sote dekhna chaahta to dekh leta, aur agar namaz padhte dekhna chaahta to dekh leta. 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 378

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 378 ✨ RASULULLAH صلی الله عليه وسلم KE MA'MULAAT ✨ 🔹Namaze asar ke baad aap ﷺ ummahatul mu'amineen ke yahaan tashrif le jate aur sab se kheriyat daryaft karte 📘Sharhul mawahib, 🔹Raat ke ma'mulaat hadis ki kitaabon me tafsil se aaye hai, 🔹Isha ke baad azwaje mutahharaat me jiski baari hoti, saari azwaje mutahharaat wahaan jamaa hoti aur kuchh der majlis rehti. 📘Abu Dawood 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 377

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 377      (Msg 376 se aagey) ✨RASULULLAH صلی الله عليه وسلم ke MA'MULAAT✨ 🔹Khawaas sahaba e kiraam us waqt me apne aur dusron ke masaail le kar hazir hote, 🔹Aur Aap ﷺ un masail ko hal farmate the, ke jo shakhs kisi bhi wajah se apni zarurat mujh se na keh sakta ho, aap hazraat uski haajat wa zarurat mujh tak pohoncha diyaa kare, 🔹Aur yeh bhi farmate the ke is kaara e khair ke badle Allah Ta'ala usko saabit qadam rakhega, 📘Shamaile Tirmizee 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 376

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 376 RASULULLAH صلی الله عليه وسلم ke MA'MULAAT        (msg 375 se aagey) 🔹Fir is teesre hisse me bhi jo apne raahat wa aaram ke liye tha aap apne ummatiyon ko bhi sharik farma liya karte the, 🔹Aur uski surat ye hoti thi ke us waqt khawaas sahaba e kiraam ko hazri ki ijazat hoti thi, aur unke zariyah  uloom wa ma'arif awaam tak pohchate the, 🔹Is tarah agar che ye waqt umumi mulakat ka to na tha lekin uske faiz se aam log bhi mehrum na rehte the, 🔹Khawaas sahaba e kiraam us waqt me .. ... .... (Baaqi msg 377 me InshaAllah) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti 375

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 375 ✨RASULULLAH صلی الله عليه وسلم ke MA'MULAAT✨ 🔹Rasulullah ﷺ jo waqt apne ghar me guzarte the, uske aap ne 3 hisse kar liye the, 🔹Ek hissa Allah Ta'ala ki ibaadat ke liye tha, 🔹Dursra hissa ghar walon ke huqooq ki adaaygi ke liye tha, 🔹Teesra hissa apne aaram wa raahat ke liye tha, 🔹Fir is teesre hisse me bhi jo apne raahat wa aaram ke liye tha usme Aap ﷺ . .. .... (Baaqi msg 376 me InshaAllah) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti - 374

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 374 KHADIMON ( servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAAV 🔹Hazrat Anas Rd. Aap صلی الله عليه وسلم ke khaadim e khaas the, 🔹Kehte hai ke : meine 10 saal lagaataar aap ﷺ ki khidmat ki, Aap ne ek martaba bhi mujh se Uff tak nahin kahaa, aur na kabhi ye kahaa ke aisa kyun kiya ? Ya aisa kyun nahin kiya. 📘Bukhari, Kitabul adab 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti - 373

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 373 KHADIMON ( servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAAV 🔹Aap ﷺ ka ma'mul tha ke jo gulaam bhi aap ﷺ ke paas aata usko aap fauran aazad kar dete, wo aazad ho jata lekin aap ke ehsaan wa karam ki wajah se qaid se aazad nahin ho sakta tha, 🔹Hz. Zaid rd. ko aap ﷺ ne aazad kar diya tha, unke baap unko lene ke liye aaye lekin Allah ke Rasul ﷺ ki muhabbat wa ta'alluk ne unko jaane nahi diya. 🔹Aap ﷺ ne umr bhar kisi aurat ya khaadim par haath nahin uthaya. 📘Shamail e Tirmizee 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti - 372

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 372 KHADIMON ( servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAAV      (Msg 371 se aagey) 🔹Ek martaba ek khaas mas'ale me sahaaba e kiraam  ne Aap ﷺ se sifarish karni chaahi, 🔹Magar ro'ab ki wajah se aisa nahin kar paa rahe the, 🔹Aapas me mashwera se kahaa gaya ke ye sifarish bas Usamah rd. hi kar sakte hai, jo Rasulullah ﷺ ke mehboob bhi hai aur MehboobZaade  (Mehboob ke betey) bhi. 📘Bukhari, Kitaab ahaadisul anbiya. 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Bikhare Moti - 371

http://www.bikhremoti.hpage.com ✨💓✨💓✨💓✨💓✨   ✨💓BIKHRE MOTI💓✨ ✨💓✨💓✨💓✨💓✨ ┊  ┊  ┊  🌟 ┊  ┊  🌟 ┊  🌟 🌟 👌🏻 371 KHAADIMON (servants) KE SATH AAP ﷺ KA BARTAV 🔹Gulamo ke saath husne sulook aur unke huqooq ki adaaygi ke barey me aap ﷺ ki taakeed aur khud Aap  ke tarze amal ne sahaaba e kiraam rd. ke yahaan mahmood wa ayaaz ka farq baaqi na rehne diya tha, 🔹Aap ﷺ ne apne hazrat zaid ki shaadi apni fufizaad bahan hz. Zainab rd. se kar di thi, wo aap ke aazad karda gulaam hi the, 🔹Aap unse aur unke saahabzada Haz. Usaama rd. se aisi shafaqqat wa muhabbat ka muamala farmate the ke digar sahaaba un dono ko "Mehboob e rasul" ke laqab se yaad karte the. (Baaqi msg 372 me InshaAllah) 🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

⚪Aurat ko chehre ka parda laajim he kyuki gandi or bimar nazre isi per padti hai,

⚪ Bismillahirrahmanirrahim ⚪  PARDA  ▪ PART-1 ▪ ⚪Aurat ko chehre ka parda laajim he kyuki gandi or bimar nazre isi per padti hai, ⚫ Chehra, haath, per aurat ka satar he yani namaz me in aaja ka chhipana jatoori nahi lekin gandi nazro se aaja ka hattalvasa chhipana jaroori he, ⚪ Aurat ka sarapa satar he, pas jab wo nikalti he to shaitan uski taak jhaak karta he, ⚫ Shar'an chehre ka parda laajim he, khususan is zamane me jab dil or nazar do no napaak ho to napaak nazro se chehre ki aabru ko bachana laajim he, ⚪Aurat ki sharm haya ka takaza to yahi he k wo kisi waqt bhi khule sar na rahe, lekin baap, bhai, beta, bhatija vagera jitne mehram hai unke saamne sar, gardan, baaju or ghutne se niche ka hissa kholna shar'an jayaz he, ⚫ koi mehram esa behaya ho k usko izzat or namoos ki parvah na ho, wo na-mehram ke hukm me he or usse parda karna laajmi he, ⚪ Esa makan jaha aurat ke liye na-mehramo se chardiwari ka parda mumkin na ho waha ye kare k poora badan dhakkar or chehre