Posts

Showing posts from May, 2018

16 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 16

Image

Ramadhan Day 15

Image

15 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 15

Image

Ramadhan Day 14

Image

14 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 14

Image

Ramadhan Day 13

Image

13 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 13

Image

Dua

Image

Ramadhan Day 12

Image

12 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 12

Image

Ramadhan Day 11

Image

11 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 11

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 26

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 26 (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Sone se Pehle Nafs ka Muhasba kijiye, ⇨⇨ Apne Nafs se Puchhiye: ✾ 1- Ay nafs ! Kya tune aaj mahaz Allah ke liye sadqa khairat kiya, ✾ 2- Ay nafs ! Kya tune aaj kisi insaan ko nafa pahunchaya, ✾ 3- Ay nafs ! Kya tune aaj Silah Rahmi ki, ✾ 4- Ay nafs ! Kya tune aaj koi Deen ki baat sikhi, ✾ 5- Ay nafs ! Kya tune aaj Amr bil ma’aroof nahi Anil munkar (Bhalai ka hukm aur Buarai se rokna) kiya, ✾ 6- Ay nafs ! Kya tune apne aapko geebat, jhoot, aur digar gunaho se bachaya, ✾ 7- Ay nafs ! Kya tu badnazri se bacha raha, ✾ 8- Ay nafs ! Kya tune tamaam Namaze aur Mamulaat pure kar liye, ⇒ Jab nafs kahe Haa’n to ” Alhamdulillah, ” padhte hue so jaiye, Aur agar nafs inkaar kare to ” istigfaar ” karte hue Aainda karne ki niyat karke so jaiye,                 *⊙ KHULASA ⊙* ● Khulasa ye he k Ramzan ki

Ramadhan Day 10

Image

10 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 10

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 25

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 25 (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Isha aur Raat ke Mamulaat, ✾ 1- Isha ki Namaz mukammal jama’at ke saath Ada kare, Safe avval ki koshish kare, ✾ 2- Isha ke baad Dua aur azkaar ka ahatmam kare, ✾ 3- Do raka’at sunnat Mokada aur 2 raka’at gair mokada Ada kare, ✾ 4- Taraveeh mukammal 20 raka’at takbeer Avla ke saath salaam tak Ada kare, ✾ 5- Vitr bhi jama’at ke saath Ada kare, ✾ 6- Taraveeh ke baad baqiya isha ki 2 sunan gair mokada Ada kare, ✾ 7- Masjid se sidhe ghar jaye, Khana vagera khaakar jald se jald so jaiye, ✾ 8- Sone se pehle Sone se pehle ke azkaar aur Duae’n na bhoole, ✾ 9- Vazu karke soiye, ✾ 10- Subeh jald uthne ka ahatmam karke soiye, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 26, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 24

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 24 (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Magrib se Isha tak ke Amaal, ✾ 1- Magrib ki Namaz ke baad Dua, Tasbihate Fatima aur Namaz ke baad ke azkaar na chhode, ✾ 2- Do raka’at sunnat Mokada aur do raka’at sunnat gair mokada Ada kare, ✾ 3- Namaze Avvabeen jitni ho sake Ada kare, 2-4-6-8-10-12,,,, ✾ 4- Kuchh waqt apne ghar walo ke saath guzare, ✾ 5- Isha ki Azaan se pehle ya Azaan hote hi masjid me haazir ho jaye, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 25 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 25, Soon inSha Allah

Ramadhan Day 9

Image

9 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 9

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 23

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 23 (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Asr se Magrib tak ke Amaal, ✾ 1- Azaan se pehle ya kam se kam Azaan hote hi Masjid ki taraf chal de, ✾ 2- Asr se pehle ki 4 raka’at Sunnat gair mokada Ada kare, ✾ 3- Agar sunnato ki adaaygi ke baad waqt ho to Tilawate Quran me masroof ho jaiye, ✾ 4- Safe avval me Namaz padhne ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad Azkaar aur Tasbihaat ka ahatmam, ✾ 6- Tafseer, Taleem vagera ho rahi ho to usme zarur bethe, ✾ 7- Aftaar se 15-20 minutes pehle Dua me poore itminan ke saath lag jaiye, aur khoob ro ro kar apne liye aur poori ummat ke liye Duae’n kare, ✾ 8- Khajoor se aftaar kare, ho sake to Masjid me aftaar kare, ✾ 9- Aftaari khane me itni der na lagaye k raka’at ya Namaze Magrib hi chhoot jaye, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 24 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 24, Soon inSha Allah

Ramadhan Day 8

Image

8 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 8

Image

Zakaat

Image

Ramadhan Day 7

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 22

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 22 (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Zuhar Se Asr Tak Ke Amaal, ✾ 1- Masjid me jaldi aakar Tahayatul Masjid v Vaju ki 2 raka’at, Fir Qurane paak ki Tilawat aur Pehli Saf ka ahatmam, ✾ 2- Zuhar se pehle ki 4 raka’at Sunnat Mokada ka ahatmam, ✾ 3- Khushu Khuzu ke saath Namaze Zuhar ki 4 raka’at Farz Ada kare, *__Mobile Ghar Chhor kar aaiye, ✾ 4- Namaz ke baad Dua aur Tasbihaat aur Namaz ke baad ke azkaar ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad 2 raka’at sunnat Mokada aur 2 raka’at Sunnat gair Mokada Ada kare, ✾ 6- Fir Koi kaam ho to kuchh der usse faarig hokar Quran Paak ki Tilawat kare, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 23 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 23, Soon inSha Allah

7 Ramdhan Dua

Image

Ramadhan Day 7

Image

Ramzaan Ke Aamaal

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 21

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 21 (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Fajar se Zuhar Tak ke Amaal, ✾ 1- Subeh Tahajjud ka ahatmam karna chahiye chahe 2 raka’ate hi kyu na ho, ✾ 2- Subeh Savere kam se kam ek para Quran Paak ki Tilawat, ✾ 3- Masjid me jaldi jaakar pehli saf me bethne ka ahatmam aur 2 raka’at Sunnat, ✾ 4- Khushu v Khuzu ke saath 2 raka’at Farz ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad Tasbihaat fir Dua ka ahatmam, ✾ 6- Namaz ke baad Subeh ke masnoon Azkaar ka ahatmam, ✾ 7- Suraj Tulu hone tak na soiye balki Tulu ke 20 minutes baad Namaze ishraak padhe, Fir chahe thodi der so jaiye, ✾ 8- Zawaal se pehle Namaze Chaasht ka ahatmam, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 22, Soon inSha Allah

6 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 6

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 20

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 20 ☆ Sadqa e Fitr Ada karna, ✾ Ramzan me hi sadqa e Fitr Ada karne ka ahatmam kare,               *Al-Hadees * ✾” Hadees paak me Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne sadqa e Fitr ko wajib karaar diya he,” ↳® Bukhari, Muslim, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 21, Soon inSha Allah

5 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 5

Image

Ramzaan Ka Istaqbaal

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 19

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 19 ☆ Shabe Qadar ki talaash karna, ✾ Khususan Ramzan ke Aakhri ashre ki Taak raato (21,23,25,27,29) me shabe Qadar ki talaash me rahe,               *Al-Hadees * ✾ ” Hadees paak me aaya he k shabe Qadar ko Ramzan ke Aakhri ashre ki taak raato me talaash karo, ” ↳® Bukhari, Muslim Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 20, Soon inSha Allah

4 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 4

Image

Ramzan Special

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 18

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 18 ☆ Akhri ashre ka Aitkaaf karna, ✾ Ramzan Mubarak me Aakhri ashre ka Aitkaaf karne ka ahatmam kare,               *Al-Hadees * ✾ ” Hadees Sharif me aata he k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke akhri ashre ka aitkaaf farmaya karte the,” ↳® Bukhari Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 19, Soon inSha Allah

3 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 3

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 17

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 17 ☆ Tahajjud ki namaz Ada karna, ✾ Rozana tahajjud ki namaz ka ahatmam karna,                *Al-Quran * ✾ “Allah ta’aala ka irshad he, unke pehlu bistaro se door rehte hai aur khof aur ummeed ke saath apne rab ko pukarte hai aur Jo humne unko de rakha he usko raahe Khuda me kharch karte hai,”. ↳® Al Qur’an ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 18, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 16

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 16 ☆ Maahe Ramzan me zakaat Ada karna, ✾ Agar maale nisaab ko pahunche to maal ki zakaat Ada karne ka ahatmam kare,                *Al-Quran * ✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k namaz qaayam karo aur zakaat Ada karo aur ruku karne walo ke saath ruku karo yani jamaat ke saath namaz Ada kiya karo,” ↳® Surah Al- Baqrah, 43 ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 17, Soon inSha Allah

2 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 2

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 15

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 15 ☆ Duao ka ahatmam karna, ✾ Har roz khaas tor per 30 minutes Dua maangne ka ahatmam kare,                *Al-Quran * ✾ “Allah ta’aala ka irshad he k Jo mujhse dua maangta he, me uski duae qubool karta hu,” ↳® Al- Quran, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 16, Soon inSha Allah

1 Ramadhan Dua

Image

Ramadhan Day 1

Image

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 14

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 14 ☆ Har namaz ke baad zikr karna, ✾ Rozana har namaz ke baad zikr ki pabandi kare, khaskar Tasbihe Fatima zaroor padiye,                *Al-Quran * ✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k Allah ta’ala ka kasrat se zikr karne wale mard aur Aurato ke liye magfirat aur ajre azeem ka vaada he,” ↳® Al- Quran, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 15, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 13

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 13 ☆ Chast ki namaz ki pabandi karna, ✾ Chast ki namaz ki rozana pabandi kare, ☆ Vitr ki namaz ka ahatmam karna, ✾ Vitr ki namaz ka rozana sone se pehle ahatmaam kare,               *Al-Hadees * ✾ ” Hadees Sharif me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai k mujhe mere khaleel Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne 3 cheezo ki vasiyat farmayi, 1- Har maah 3 roze rakhne ki, 2- Chast ki namaz padne ki, or 3- Sone se pehle Vitr ki namaz ada karne ki, ↳ Tirmizi sharif ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 14, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 12

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 12 ☆ Har Jumeraat (Shab guzari) ya juma ko Aitkaaf karna, ✾ Jumeraat ko apni masjid me shab guzari kare aur ho sake to Kam se kam Fajar ki namaz se lekar ishraak tak rozana aitkaaf kar liya kare,               *Al-Hadees * ✾” Hadees paak me Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, ” Jis shakhsh ne fajar ki namaz bajama’at padi aur fir zikre ilaahi me mashgool ho gaya, yaha tak k suraj tulu’a ho gaya fir usne 2 raka’at padhi, to usko ek mukammal hajj aur umrah ka sawab milega ,” ↳® Tirmizi Sharif ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 13, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 11

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 11 ☆ Dawate illallah dena, ✾ Rozana kam se kam ek Aadmi ko Allah ke deen ki taraf bulaya kare,               *Al-Hadees * ✾ ” Hadees me aata he, k agar Allah ta’ala Teri vajah se ek Aadmi ko bhi hidayat de de to tere liye surkh ounto se zyada behtar he,” ↳® Muslim Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 12, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 10

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 10 ☆ Islamic Kitaabe’n Padhna aur Bayanaat sunna, ✾ Rozana kam se kam 15-20 minutes Islamic Kitaabo ka muta’ala ya 1 ghanta Islamic bayanaat sunne ka ahatmam kare, ☆ Ek mareez ki ayadat karna, ✾ Rozana ya hafte me kam se kam ek mareez ki ayadat ka ahatmam kare, (agar mareez ho to),              *⚡Al-Hadees ⚡* ✾” Jo sakhsh Shaam ke waqt kisi mareez ki ayadat kare to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he’n, Jo subeh tak uske liye istigfaar karte he’n, Aur Jo sakhsh subeh ke waqt kisi mareez ki ayadat ko jaye to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he’n Jo Shaam tak uske liye istigfaar karte he’n, ↳® Abu Dawood, 2/442 ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 11, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 09

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 09 ☆ Ek martaba umrah karna, ✾ Ho sake to poore mahine me ek martaba umrah kare,               *Al-Hadees * ✾ Hadees me aaya he k, ” Ramzanul Mubarak me umrah karna hajj ke barabar he,” ↳® Bukhari Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 10, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 08

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 08 ☆ Janaze ki namaz me shirkat ✾ Agar kisi ka inteqal ho jaye to janaze ki namaz me shirkat kare ya fir janaze ke saath chale,               *Al-Hadees * ✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, ” Jisne janaze me janaze ki namaz padhi aur Tadfeen me shareek nahi hua to usko ek kiraat sawab milega Aur Tadfeen me shareek hua, usko 2 kiraat sawab milega, Kiraat ki kam se kam miqdaar uhad pahaad ke barabar he,” ↳® Muslim Sharif ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 09, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 07

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 07 ☆ Rozedaro ko aftaar karana, ✾ Rozedaro ko aftaar karane ka ahatmam kare, roz karaye to bahut achhha he,               *Al-Hadees * ✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, ” Jisne rozedaro ko aftaar karaya usko rozedaro ke barabar sawab milega Aur rozedaro ke sawab me kuchh bhi kami nahi kiya jayega,” ↳® Tirmizi Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 08, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 06

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 06 ☞ Allah ke Raaste me sadqa dena, ✾ Kam se kam hafte me ek baar Allah ke Raaste me sadqa dene ka ahatmam kare,               *Al-Hadees * ✾ ” Hadees paak me he k, ” Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam sabse zyada sakhi the, aur Ramzan Mubarak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat aur zyada hoti thi, ” ↳® Bukhari Sharif ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 07, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 05

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 05 ☞ Qareebi Rishtedaro ke saath silah- rehmi karna, ✾ Rozana rishtedaro se mulakaat kare, kam se kam hafte me ek din iske liye khaas kare,                *Al-Hadees * ✾ ” Hadees paak me aaya he k, ” Rishtedari Arshe ilaahi ke saath latak kar kehti he k jisne mujhe joda Allah usko jode aur jisne mujhe kaata Allah usko kaate, ” ↳® Muslim Sharif , ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 06, Soon InSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 04

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 04 ☞ Namaze Taraveeh ka ahatmam karna, ✾ Namaze Taraveeh ka ahatmam Pure Ramzan kiya jaye,              *Al- Hadees * ✾ ” Hadees paak me Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, ”Jisne ramzan Mubarak me Eymaan ke saath sawab ki niyat se qayaam kiya (yani taraveeh padhi) to uske agle pichhle gunaah maaf kar diye jate hai’n ,” ↳® Bukhari Sharif ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 05, Soon InSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 03

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 03 ☞ Quran paak ka kam se kam ek paara hifz karna, ✾ Rozana 5 aayaat hifz kare to poore mahine me ek paara hifz ho ja’ega,               *Al-Hadees * ✾” Hadeese paak me aaya he k, ” jis dil me Quran paak ka koi hissa mojood na ho wo veerane ghar ki tarah he, ” ↳® Bukhari Sharif ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 04, Soon InSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 02

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 02 ☞ Ramzan me Kam se Kam 2 Qurane Paak Khatm Karne Ka Ahatmaam, ✾ kam se kam 2 Quran paak ramzan ul Mubarak me khatam karne ka ahatmam kare,              *Al-Hadees * ✾ Hadees paak me he k ➣, Qurane paak ki tilawat kiya karo, kyuki ye (Quran paak) qayamat ke din apne padne walo ke liye Shafi’ bankar aa’ega, ” ↳® Muslim Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 03, Soon in Sha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 01

🌙🌙🌙        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*                      PART— 01 ☞ Paancho Namazo me Takbire Avla Ka Ahatmaam, ✾ Takbeere aula ka ahatmam kijiye, ➤ yani namazo ko safe avval me takbeere avla ke saath Ada kiya jaye,          Al-Hadees ✾” Hadees paak me he k Jis shakhsh ne 40 din tak takbeere avla ke saath namaz Ada ki to uske liye 2 bara’ate likhi jati he’n, Avval jahannam se khalasi (Azaadi) Aur doosri Nifaak se khalasi, ” ↳® Tirmizi Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 02, Soon in Sha Allah