Posts

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 29

🔶      ﷽      🔶 💐    (0496)     💐 💌💌💌💌💌 02-R.Aakhar-1438 01- January -2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-29🌻 💌💌💌💌💌 Jab Makkah ke kuffar w mushrikin ne musalmano ko be'hadd satana shuru kiya toa Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaba e kiraam (rd.) ko ijaazat dey di ke jo chahey apni jaan aur imaan ki hifazat ke liye Mulk e Habsha chala jaey, Wahaan ka baadshah kisi par zulm nahi karta, Wo eik achchha mulk he, iss ke baad sahaba ki eik chhoti si jamaat maah e Rajab san 5 nabwi me Habsha rawaana huee, uun me khalifa e raashid Hazrat Usman ghani (rd.) aur uun ki...

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) part 28

🔶      ﷽      🔶 💐    (0496)     💐 💌💌💌💌💌 01- R.Aakhar - 1438 31-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-28🌻 💌💌💌💌💌 Koee shaair kehta toa koee jadugar, Toa koee paagal aur diwaana, (MaazAllah) Kabhi kuffaro ne namaaz ki haalat me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke jism mubarak par uunt ki oujadi daali, Toa kabhi Aap ke galey me chaadar ka phanda daal kar khincha, isee deen ki khaatir Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ki 2 betiyon ko talaaq di gaee, Magar Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam baraabar sabr w istiqaamat ke sath Allah ke deen ki daawat me mashghul rah...

New Year (31st) Night

*نیو ائیر(ٹھرٹی فرسٹ)نائٹ منانا      مسلمانوں سے مشابہت یا  غیروں سے؟؟؟* عیسوی (انگریزی) سال کے ختم  پر ۳۱؍ دسمبر کو (ٹھرٹی فرسٹ نائٹ )منانا یہ کئی برائیوں کا مجموعہ ہے، جو شبا...

NEW YEAR NIGHT

.         *🚫NEW YEAR NIGHT🚫*      *⚠KIS BAAT KI KHUSHI❓* *📌Hamari Zindagi Ka Ek Saal Kam Hogaya.* *📌Ham Apni Maut Aur Aakhirat Ke Mazeed Qareeb Ho Gaye.* *📌2016 Me Ham Allah Ki Na Farmani Aur Gunaho Me Lage Rahe.* *📌2016 Me Shaam, Misr, Barma, Aur Digar Mumalik Me Hazaro Musalmano Mard, Aurte, Bachche Shaheed O BeGhar Kar Diye Gaye.*    *⚠Phir Khushi Kis Baat Ki❓* _Hame To AllahTaala Ke Samne Gid Gida Ke Tauba O Astagfar Karna Chahiye..._     ▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂     *Please Share To All MUSLIM*

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 27

🔶      ﷽      🔶 💐    (0495)     💐 💌💌💌💌💌 30- R.Awwal - 1438 30-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-27🌻 💌💌💌💌💌 Jaisa ke har dour ke logon ne apney zamaaney ke Nabi ka inkaar kiya aur uun ke sath bura sulook kiya, Aisey hi balki uus se bhi ziyadah bura sulook Nabi e kareem Sallallahu alaihi wa sallam ke sath kuffar e Makkah ne kiya, Chunanchey Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ka irshaad he: Tamaam Nabiyon me mai sab se ziyadah sataaya gaya hun, Kuffar e Makkah ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam aur Aap ke sahaaba ko sataaney me koee kasar na chhodi, Koee Aap Sallalla...

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 26

🔶      ﷽      🔶 💐    (0494)     💐 💌💌💌💌💌 29- R.Awwal - 1438 29-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-26🌻 💌💌💌💌💌 Chacha ki zubaan se ye baat sunkar Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki aankhon me aansu bhar aaey, aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Chacha jaan ! Allah ki qasam agar ye log mere eik hath me suraj aur dusrey hath me chaand laa kar rakh dey tab bhi mai apney iss kaam se baaz na aaunga, Ya toa Allah ka deen zindah hoga Ya mai iss raastey me halaak ho jaunga, Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki iss guftagu ka Abu Taalib par bada asar huwa Chunan...

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 25

🔶      ﷽      🔶 💐    (0493)     💐 💌💌💌💌💌 28- R.Awwal - 1438 28-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-25🌻 💌💌💌💌💌 Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam logon ki narazgi ki parvaah kiye bagair baraabar bootparasti se roktey rahey Aur logon ko sachchey deen ki daawat detey rahey, toa Qureish ke sardaron ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke chacha Abu Taalib se shikayat ki ke tumhara bhatija hamaarey ma'abudon ko bura bhala kehta he, Hamaarey baap dadaon ko gumraah kehta he, Jisey ham bardasht nahi kar saktey, isliye ya toa aap uun ki himayat band kar dein Ya p...