Posts

Showing posts from February, 2017

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 88

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0556)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 01 -J.Aakhir -1438 01 -  March -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-88๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ghazwa e Ohad me Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke sahaaba ne jis vaalhaana muhabbat w fidakari ka muzahirah kiya uus ka tasavvur bhi rehti duniya tak aalam e islam ko ruhani jazba se maala maal karta rahega. Jab mushrikin ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka gheraav kar liya toa Aap ne farmaya: Mujh par koun apni jaan qurbaan karney ke liye taiyyar he ? Hazrat ziyaad bin sakan (rd.) chand ansaariyon ke sath aagey badhey, aur yakey baad digar Saat sahaaba (rd.) ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki hifaazat me apney aap ko qurbaan kar diya. Eik shakhs ne jab Aap Sallallahu alaihi wa sallam par talvaar ka vaar kiya toa ummey Ammarah (rd.) samney aa gaee aur uus ke vaar ko apney kandhey par rok liya... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 87

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0555)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 30 -J.Awwal -1438 28- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-87๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ uun tirandazon ke ameer Hazrat Abdullah bin Jubair (rd.) ne baar baar rokney ki koshish ki lekin unho ne fatah ki khushi me baat na suni aur pahaad se nichey utar aaey. Hazrat Khalid bin Walid jo uus waqt musalman nahi huey the aur kuffar ki taraf se lad rahey the, Jab unho ne uus jagah ko khaali deikha toa pichhey se hamla kar diya. idhar musalman befikr the. Bil'aakhir bhaagtey huey mushrikin palat kar musalmano par toot padey, Achanak hamla honey ki wajah se musalman kuffar ke bich me aa gaey. Jiski wajah se 70 sahaaba shaheed huey. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka sar mubarak zakhmi aur eik daant mubarak bhi shaheed ho gaya. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (277)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 86

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0554)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 29 -J.Awwal -1438 27- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-86๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ghazwa e Ohad me musalmano ne badi bahaduri se mushrikin e Makkah ka muqabla kiya. Jismey pehley fatah huee Magar baad me eik chuk ki wajah se nakami ka samna karna padaa. Jang shuru honey se pehley Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne 50 tirandaazon ki eik jamaat ko Ohad pahaad ki ghaati par jahaan se dushmano ke hamley ka khatrah tha muqarrar kar diya. Aur ye taakid farmaai ke jang me fatah ho ya shikast tum apni jagah se hargiz na hatna. Lekin jab musalmano ko shuru me fatah huee, toa kafiron ko bhaagta huwa deikh kar ye log bhi apni jagah se ye samajh kar hat gaey ke ab jang khatm ho chuki... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (277)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 85

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0553)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 28 -J.Awwal -1438 26- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-85๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ isee mahiney me Beer e Mauna ka dilkhraash waqiaa peish aaya. Abu Bara'a Aamir bin Maalik ne aa kar Huzur Sallallahu alaihi wa sallam se farmaish ki ke ehley Najd ko islam ki daawat deney aur deen sikhaney ke liye apney sahaaba ko rawaana farma dey. uus ki taraf se hifaazat ke vaadey par 70 badey badey quraa'a (Quraan padhney waley) sahaaba ko rawaana farma diya. Jinkey ameer Munzir bin umr (rd.) the. Jab ye daawati wafd Beer e Mauna pahucha toa uus dhokebaaz ne dusrey qabiley ke logon ko sath lekar uun par hamla kar diya aur Ka'ab bin Zaid (rd.) ke alaawah tamaam quraa'a sahaaba ko shaheed kar diya. iss alamnaak haadsey se  Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko sakht sadma pahucha aur eik mahiney tak namaaz e Fajr me Qunut e Naazilah padhi. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI T

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 84

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0552)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 27 -J.Awwal -1438 25- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-84๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Jang e Ohad ke baad mushrikin ne dhokey se musalmano ko qatl karney ki sazish shuru kardi. Maah e Safar san 4 hijri me qabilah Ghatfaan w Qaarah ke log aaey aur Huzur Sallallahu alaihi wa sallam se darkhwast ki ke ham me se kuchh log musalman ho gaey hai, uun ki taalim w tarbiyat ke liye apna moallim hamaarey sath bhej dijiye. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne uun ki darkhwast par 10 moallimo ko rawaana farmaya, Jinkey ameer Hazrat Mursad (rd.) the. Maqaam e Raji'a pahuch kar uun zaalimo ne 8 sahaaba ko shaheed kar diya. Aur Hazrat Khubeib aur Hazrat Zaid (rd.) ko Qureish e Makkah ke hath beich diya. Jinho ne dono ko suli dekar shaheed kar diya... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (277)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 83

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0551)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 26 -J.Awwal -1438 24- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-83๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam san hijri 3 me namaaz e Juma'a adaa kar ke 1000 musalmano ko lekar Ohad ki taraf rawaana huey, Magar ain waqt par munafiqon ne dhoka dey diya aur Abdullah bin oobai apney 300 aadmiyon ko lekar waapas ho gaya. Ab musalmano ki taadaad sirf 700 reh gaee. Ohad ke maqaam par ladaai shuru huee aur dono jamaatein eik dusrey par hamlaavar huee. iss jang me musalmano ko pehley fatah huee Magar eik chuk ki wajah se jang ka paasa palat gaya. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (275)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 82

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0550)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 25 -J.Awwal -1438 23- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-82๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ghazwa e Badr ki shikast se mushrikin ke honsley past ho chukey the. Magar uun me gham w ghussey ki aag bhadak rahi thi. iss aag ne unhey eik din bhi chein se bethney na diya. eik saal toa uunho ne kisi tarah guzaara. Lekin san hijri 3 me Abu Sufiyan ne mukammil taiyaari ke sath 3000 ka lashkar lekar Madinah ke baahar Ohad pahaad ke paas padaav dala. uus ke sath 3000 uunt 200 ghodey aur 700 aadmi zirah pehney huey the... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (275)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 80

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0548)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 23 -J.Awwal -1438 21- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-80๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ San hijri 2 me Ramzan ke rozey farz huey, isee saal sadqa e fitr aur zakaat ka bhi hukm naazil huwa. Ramzan ke rozey se pehley Aashurah ka roza rakha jata tha Lekin ye ikhtiyaari tha (farz nahi tha). Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam Madinah tashreef laey toa deikha ke ehley Madinah saal me do din kheil tamaashon ke zariye khushiyan manaatey hai, Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne uun se daryaaft farmaya ke inn do dino ki haqiqat kya he ? Chunanchey Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Allah T'aala ne Inn do dino ko behtar dino se badal diya he, wo Eidul Ad'ha aur Eidul Fitr he... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (273)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 81

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0549)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 24 -J.Awwal -1438 22- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-81๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Allah T'aala ne inn do dino ko behtar dino se badal diya he, wo Eidul Ad'ha aur Eidul Fitr he. Bil'aakhir 1 Shawwal san hijri 2 ko pehli martaba musalmano ne Eid manaai. Allah T'aala ne eid ki khushiyan w masrratein musalmano ke sar par fatah w izzat ka taaj rakhney ke baad ataa farmaai. Jab musalman apney gharon se nikal kar takbeer w towhid aur tasbeeh w tamheed ki aawaazein buland kartey huey maidan me jaa kar namaaz e Eid adaa kar rahey the, toa dil Allah ki di huee neamaton se bharey huey the. isee jazb e shukr me Eid ki namaaz me uun ki peshaani Allah ke samney jhuki huee thi. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (273)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 79

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0547)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 22 -J.Awwal -1438 20- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-79๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ghazwa e Badr me 70 mushrikin qaid huey, Jinko Madinah Munawwrah laya gaya. Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne qaidiyon ko sahaaba me taqseem kar diya. uun ke sath husney sulook aur bhalaai karney ka hukm diya. iss hukm ko suntey hi sahaaba e kiraam (rd.) ne qaidiyon ke sath aisa sulook kiya ke duniya ki koee qoum iss adl w insaaf aur husney sulook ki misaal peish nahi kar sakti. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke chacha Hazrat Abbas jo qaidiyon me the, uun ke baazu kamar se kasey (เคฌंเคงे) huey the, uun ke karaahney ki wajah se jab Aap Sallallahu alaihi wa sallam bechein (เคฌेเคšैเคจ) ho gaey toa sahaaba ne unki rassi dhili kardi. uun ki iss riaayat ki wajah se adl w insaaf kartey huey Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne tamaam qaidiyon ki rassi dhili karaadi. Sahaaba ke husney sul

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 78

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0546)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 21 -J.Awwal -1438 19- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-78๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Mushrikin ne pehley hi se paani ke chashmo par qabza kar liya tha. jiski wajah se musalmano ko khushk registaan me padaao dalna pada, Jahaan wuzu aur ghusal hatta ke piney ke liye bhi paani moujood nahi tha. Chunanchey Huzur Sallallahu alaihi wa sallam sahaaba ki safein durust farma kar kheimey me tashreef ley gaey aur sajdey ki haalat me ye duaa farmaai: Aey Allah ! Agar aaj tuney iss mutthi bhar jamaat ko halaak kar diya toa ruey zameen par teri ibaadat karney wala koee nahi rahega. Allah T'aala ne iss duaa ki barkat se baarish naazil farmaai. Jis se tamaam zaruratein puri ho gaee. Maidan e jang bhi saazgaar ho gaya. Jiski wajah se musalmano ko shandar fatah naseeb huee. Qureish ke 70 afraad maarey gaey, 70 afraad qaid kiye gaey. Jab ke musalmano me 14 sahaaba (rd.)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 77

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0545)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 20 -J.Awwal -1438 18- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-77๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Musalmano ko safey hasti se mitaaney ke liye mushrikin e Makkah eik hazaar (1000) ka fouji lashkar lekar Makkah se nikley. Sab ke sab hathiyaaron se less the. Jab Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam apney jaanisaar sahaaba ko lekar Madinah se nikley, Jinki ta'adaad 313 ya kuchh zaaid thi. Jab ke musalmano ke paas 70 uunt 2 ghodey aur 8 talvaarein thi. Ye Maidan e Badr me haq w baatil ki pehli jang thi. Mushrikin ne pehley hi se paani ke chashmo par qabza kar liya tha... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (269)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 76

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0544)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 19 -J.Awwal -1438 17- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-76๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Jab musalman apney deen w imaan ki hifaazat ke liye hijrat kar ke Madinah chaley gaey aur khush'gwaar maahol me logon ko islam ki daawat dena shuru ki aur log islam me dakhil honey lagey. Chunanchey musalmano ki badhti huee ta'adaat ko deikh kar kuffar e Makkah apney liye khatrah mahsoos karney lagey Toa mushrikin e Makkah ne Madinah par hamla karney ke liye jang ki taiyaariyan shuru kardi. idhar musalman Madinah me aman w sukun se rehna chahtey the, Lekin mushrikin e Makkah jang karney ke liye ehley Madinah se sharaarat kartey rehtey the Chunanchey Qureishi sardar Karz bin jaabir Fihri Madinah ki charaagah (เคšเคฐाเค—ाเคน) par hamla kar ke 100 uunt le bhaaga. Aur jang ki taiyaari ke liye Makkah ke tamaam logon ne sarmaaya laga kar eik tijaarati qaaflah mulkey Shaam rawaana kiya

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 75

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0543)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 18 -J.Awwal -1438 16- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-75๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam jab hijrat kar ke Madinah pahuchey toa yahudiyon ke mazhabi huqooq ki hifaazat aur musalmano ke deen ki daawat w asha'at ke peish e nazar unsey (yahudiyon se) muaahidah (agreement) kar liya. Yahood iskey bawajud islam aur musalmano ki badhti huee taaqat ko deikh kar hasad karney lagey aur andar hi andar islam ke khilaaf saazish karney lagey. Jab uunki nafrat w adaavat aur bad'ohdi had se badh gaee toa uun ko apni sharaarat w saazishon ki saza bhugatni padi. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (265)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 74

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0542)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 17 -J.Awwal -1438 15- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-74๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Madinah Taiyebah me mukhtalif qabiley aabaad the. inn me mushriko ke do qabiley Ous aur Khazraj the, inkey aksar afraad islam me dakhil ho gaey the, islam se pehley inn dono qabilon me hamesha ladaai raha karti thi. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki aamad ke mouqey par imaan qubul karney ki wajah se dono qabilon me muhabbat paida ho gaee, aur eik dusrey ke bhai ban gaey. isee tarah yahudiyo ke teen qabiley Banu Nadeer Banu Qureiza aur Banu Qeinuka aabaad the... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (265)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 73

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0541)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 16 -J.Awwal -1438 14- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-73๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Munafikon ka sardaar jiska naam Abdullah bin uubai tha. Jisko Madinah ka baadshah bana kar taajposhi ki taiyaariyan ki jaa rahi thi. Magar Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke Madinah tashreef laatey hi Madinah ke logon ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko apna sardaar aur Rasul tasleem kar liya Toa uus ki baadshahat khatrey me pad gaee. isliye uus ke dil me Aap Sallallahu alaihi wa sallam aur musalmano ke khilaaf dushmani,  hasad aur nafrat paida ho gaee. iss ke bawajood Aap Sallallahu alaihi wa sallam uus ke sath husney sulook kartey rahey, Jiskey natijey me uus ke betey Abdullah (rd.) ne imaan qubul kar liya. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (261)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 72

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0540)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 15 -J.Awwal -1438 13- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-72๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Munafiq uus shakhs ko kehtey hai jo zubaan se apney aap ko musalman zaahir karey Magar dil me kufr chhupaey rakhey. Jab musalman hijrat kar ke Madinah aa gaey toa logon ke imaan qubul karney ki wajah se islam tezi se pheilney laga, aur musalmano ko taaqat w quwwat haasil honey lagi toa islam aur musalmano se dushmani rakhney wali Munafiqeen ki jamaat ubhar kar samney aa gaee. Jo musalmano ki taaqat w ghalbey aur apney zaati nafa'a ke liye musalmano ke samney apney imaan ka izhaar kartey, Magar jab apney kafir doston se miltey toa kehtey ke Ham toa tumharey hi sath he, aur ham musalmano ko dhoka deney aur uun ka mazaaq uudaney ke liye uun ke paas jatey he... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (261)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 71

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0539)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 14 -J.Awwal -1438 12- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-71๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Jab Masjid e Nabwi ki taamir huee toa uus ke eik taraf chabutarah banaya gaya tha, Jisko Suffah kaha jata tha. Ye jagah islami taalim w tarbiyat aur tabligh w hidayat ka markaz thi. Jo sahaaba (rd.) yahaan raha kartey the uun ko Ashaab e Suffah kaha jata he. inn logon ne apni zindagi ko Allah ki ibaadat, Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat aur Quraan ki taalim haasil karney ke liye waqaf kar diya tha. inka na koee ghar tha na koee karobar. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke paas kabhi khana aata toa uun logon ke paas bhej deitey the, aur kabhi khud bhi uun ke sath beith kar khaya kartey the. uun ki taalim ke liye padhaaney waley muqarrir the jinsey wo log Quraan e kareem sikhtey aur ilmey deen haasil kiya kartey the isee liye uun me se aksar sahaaba Quraan ke b

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 70

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0538)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 13 -J.Awwal -1438 11- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-70๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ansaar ne apney muhajir bhai ke t'aawun aur izzat w ehtaraam me badh chadh kar hissa liya, aur uun ke sath hamdardi w muhabbat, isaar w qurbani aur maherbani w husney sulook ki aisi behtareen misaal peish ki ke aaj tak puri duniya milkar iss jaisi misaal peish nahi kar saki, Maal w daulat Zameen w baghaat balki har chiz me uun ko sharik kar liya. Magar Muhajirin sahaaba e kiraam ne bhi Ansaari bhaiyon ka har muaamley me sath diya aur apni rozi ka bzaat e khud intizaam karney ke liye tijaarat wagairah ka pesha bhi ikhtiyaar kiya. Ye bhai chaarah eik aisi misaal thi jisney nasal w rang, watan w mulk aur tehzeeb w tamaddun ke saarey imtiyaz ko amali tor par khatm kar daala. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (257)

Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai.

๐Ÿ“ฎ๐Ÿ“ฌ๐Ÿ“ฎ         ┄─━━━━◇━━━━─┄          *Bismillahirrahmanirrahim​*         ┄─━━━━◇━━━━─┄ *๐Ÿ”žValentine’s day manaana Ghair Islaami hai.* ♨ Kai baar shaitaan Musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur hume lagta hai ke Ghair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achcha hai. ♨ Aaj ke daur me gairo ke saath musalman ladke aur ladkiya bhi Valentine’s day manaate hain aur wish karte hain, Haath milaate hain aur Gale milte hain aur Rose, Chocolate, Card aur Gift dete hain. Ye sab behayaai ke kaam hain aur gunaah e kabirah hai. Aur Gift wagairah dene me maal zaaya karna hai aur Fuzul kharchi bhi gunaah hai. ♨ Aur kisi ko shehwat (lust) se dekhna ya chhuna ya is ke baare me baat karna ye sab behayaai aur bad-nigaahi aur shehwat ka gunaah hai. Aur kuchh log to Jima’a (sohbat) bhi karte hain. Kisi se bagair nikaah ke sohbat karna ‘Zina’ hai aur gunaah e kabeerah hai. ♨ Ab hame ye tay karna hai ke hume Islaami tareeqa apnana hai ya ghairo ka? Pyare Aaqa Sayyed ul ambiya Muhammad Mustafa sallalla

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 69

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0537)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 12 -J.Awwal -1438 10- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-69๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Makkah ke musalman jab kuffar w mushrikin ki taklifon se pareshaan hokar sirf Allah, uus ke Rasul aur Deen e islam ki hifazat ke liye apna maal w daulat, saazo saman aur mahboob watan chhod kar Madinah Munawwrah hijrat kar gaey. iss mouqey par Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam uun musalmano ki diljoee ke liye aapas me Bhai chaara qaaim farmaya. aur Muhajirin (yaani wo sahaaba e kiraam jo Makkah Mukarramah se hijrat kar ke Madinah chaley gaey) uun me se eik eik ko Ansaar (yaani wo sahaaba e kiraam jinho ne Madinah Munawwrah me Muhajirin ki nusrat w madad ki) uun ka bhai bana diya. Ansaar ne apney muhajir bhai ke t'aawun aur izzat w ehtaraam me badh chadh kar hissa liya... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (257)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 68

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0536)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 11 -J.Awwal -1438 09- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-68๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Hazrat ibney Umar (rd.) farmatey hai ke Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne jamaat ki namaaz ke liye musalmano ko jamaa karney ka mashwarah kiya toa sahaba e kiraam (rd.) ne mukhtalif raai peish ki, Kisi ne yahud ki tarah buk (เคฌ्เคฏुเค—เคฒ) bajaaney aur kisi ne isaaiyon ki tarah naakus (เค˜ंเคŸी) bajaaney ka mashwarah diya, Lekin Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne pasand nahi farmaya. Balki sochney ka mouqa diya, isee raat Hazrat Umar (rd.) ne khwaab me azaan suni, aur eik sahaabi Hazrat Abdullah bin Zaid (rd.) ne bhi khwaab me deikha ke eik shakhs azaan ke kalimaat keh raha he, unho ne uun kalimaat ko yaad kar liya, aur aankh khultey hi Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ke paas tahajjud ke waqt pahuchey, aur khwaab keh sunaya. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Bilal (rd.

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 67

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0535)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 10 -J.Awwal -1438 08- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-67๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Hijrat ke baad Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Madinah Munawwrah me sab se pehley eik masjid ki taamir farmaai, Jisko aaj Masjid e Nabwi ke naam se jaana jaata he, iss ke liye wohi jagah muntakhab ki gaee thi, jahaan Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki uuntni beithi thi, Ye zameen Banu Najjar ke do bachchon ki thi, Jisko Aap ne qimat dekar kharid liya tha, iski taamir me Aap Sallallahu alaihi wa sallam bhi patthar uthatey the. Sahaba e kiraam josh me ye ash'aar padhtey the, aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam bhi uun ke sath aawaaz milatey aur padhtey ๐ŸŒฟ๐Ÿ‚๐ŸŒฟ๐Ÿ‚๐ŸŒฟ (TARJUMA) Aey Allah ! Asal ujrat toa aakhirat ki ujrat he, Aey Allah ! Ansaar w Muhajirin par raham farma. ๐ŸŒฟ๐Ÿ‚๐ŸŒฟ๐Ÿ‚๐ŸŒฟ Ye masjid islam ki saadgi ki sachchi tasveer thi. iss masjid ke 3 darwazey ban

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 66

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0534)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 09 -J.Awwal -1438 07- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-66๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ isliye shah Tubbagh ne Yasrab me eik makaan Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke liye taiyaar kar ke eik Yahudi aalim ke hawaaley kar diya aur vasiyyat ki ke ye makaan Nabi e aakhiruz zamaan (Sallallahu alaihi wa sallam) ki aamad par unhein de dena, Agar tum zindah na raho toa apni aulaad ko iski vasiyyat kar dena. Chunanchey Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki uuntni Hazrat Abu Aiyyub Ansaari (rd.) ke makaan par ruki thi. Hazrat Abu Aiyyub (rd.) uun aalim hi ki aulaad me se the jinko Shah e Tubbagh ne makaan hawaaley kiya kiya tha, sath hi Shah e Tubbagh ne eik khat bhi Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke naam likha tha. Jis me Aap Sallallahu alaihi wa sallam se muhabbat, imaan laaney aur ziyaarat ke shoq ko zaahir kiya tha. Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki hijrat ke baad

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 65

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0533)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 08-J.Awwal -1438 06- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-65๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Tufaan e Nooh ke baad Hazrat Nooh (a.s.) ke parpotey (เคชเคฐเคชोเคคे) imlaaq bin Arfakhshad bin Saam bin Nooh yaman me bas gaey the. Allah T'aala ne uun ko arabi zubaan ilhaam ki, Phir uun ki aulaad ne arabi bolna shuru kar diya, Ye zubaan Arab ke ilaaqon me chaaron taraf pheil gaee, iss tarah purey jazira e Arab me arabi zubaan aam ho gaee. isee zamaaney me Madinah ki buniyad padi. Imlaaq ki aulaad me Tubbagh naami eik baadshah tha, Jisney yahudi ulma se aakhri Nabi ki taarif aur Yasrab (Madinah) me uun ki aamad ki khabar sun rakhi thi... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (251)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 63

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0531)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 06-J.Awwal -1438 04- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-63๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Yahi wo masjid he jiski shaan me Quraan Majeed me ye aayat naazil huee (Aayat ka tarjuma) iss masjid ki buniyad pehley hi din se parhezgaari par rakhi gaee he, Wo iss baat ki ziyadah mustahiq he ke Aap Sallallahu alaihi wa sallam iss me namaaz ke liye khadey ho, iss me aisey log hai jinko safaai bahot pasand he, aur Allah T'aala paak w saaf rehney walon ko pasand karta he. Huzur Sallallahu alaihi wa sallam yahaan 14 din qayaam farma kar 12 Rabiul awwal san hijri 1 ko juma ke din rawaana huey, Bani Saalim ke gharon tak pahuchey the ke Juma ka waqt ho gaya, Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne juma ki namaaz adaa farmaai aur khutba diya. Ye islam me juma ki pehli namaaz thi, Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath taqreeban 100 aadmi namaaz me sharik the. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI T

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 61

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0529)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 04-J.Awwal -1438 02- February -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-61๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Jab Madinah Tayyibah ke logon ko ye maalum huwa ke Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam Makkah se hijrat kar ke Madinah shareef tashreef la rahey hai toa uun ki khushi ki intiha na rahi, Bachchiyan apney gharon ki chhaton par beith kar Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke aaney ki khushi me taraaney gaati thi, Rozana jawaan, badey, budhey shahar se baahar nikal kar Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki tashreef aawri ka intezaar kartey the, Eik din wo log intezaar kar ke waapas ho hi rahey the ke eik yahudi ki nazar Aap Sallallahu alaihi wa sallam par padi toa wo fowran pukar uutha: Logon ! Jin ka tumhein shiddat se intezaar tha wo aa gaey. Bas phir kya tha, uus ki aawaaz ko suntey hi saarey shahar me khushi ki lehar doud gaee aur pura shahar ALLAHU AKBAR ke naaron se gunj uuth