Posts

Showing posts from December, 2016

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 29

🔶      ﷽      🔶 💐    (0496)     💐 💌💌💌💌💌 02-R.Aakhar-1438 01- January -2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-29🌻 💌💌💌💌💌 Jab Makkah ke kuffar w mushrikin ne musalmano ko be'hadd satana shuru kiya toa Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaba e kiraam (rd.) ko ijaazat dey di ke jo chahey apni jaan aur imaan ki hifazat ke liye Mulk e Habsha chala jaey, Wahaan ka baadshah kisi par zulm nahi karta, Wo eik achchha mulk he, iss ke baad sahaba ki eik chhoti si jamaat maah e Rajab san 5 nabwi me Habsha rawaana huee, uun me khalifa e raashid Hazrat Usman ghani (rd.) aur uun ki zawja mohtarma aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki sahabzadi Hazrat Ruqaiyya (rd.) bhi thi. Kuffar ne inn logon ki hijrat khabar sunkar pichha kiya... 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (207)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) part 28

🔶      ﷽      🔶 💐    (0496)     💐 💌💌💌💌💌 01- R.Aakhar - 1438 31-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-28🌻 💌💌💌💌💌 Koee shaair kehta toa koee jadugar, Toa koee paagal aur diwaana, (MaazAllah) Kabhi kuffaro ne namaaz ki haalat me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke jism mubarak par uunt ki oujadi daali, Toa kabhi Aap ke galey me chaadar ka phanda daal kar khincha, isee deen ki khaatir Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ki 2 betiyon ko talaaq di gaee, Magar Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam baraabar sabr w istiqaamat ke sath Allah ke deen ki daawat me mashghul rahey, Aur kuffar e Makkah Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko taklifein pahuchaney ke bawajud deen e haq ki daawat w tabligh se rokney me nakam rahey. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (203)

New Year (31st) Night

*نیو ائیر(ٹھرٹی فرسٹ)نائٹ منانا      مسلمانوں سے مشابہت یا  غیروں سے؟؟؟* عیسوی (انگریزی) سال کے ختم  پر ۳۱؍ دسمبر کو (ٹھرٹی فرسٹ نائٹ )منانا یہ کئی برائیوں کا مجموعہ ہے، جو شباب،کباب، شراب ، ناچ گانے اور گھومنے پھرنےپر مشتمل ہوتا ہے۔ اور عیسائی قوم اسے جشن کے طور پر مناتی ہے ۔ یہ غیروں کی  رسم اور صرف مال و وقت کا ضائع کرناہے جس کی اسلام میں کوئی گنجائش نہیں ہے۔اس لئے شریعت میں ٹھرٹی فرسٹ منانا، یا نئے سال کے آنے پر مبارکباد دینا اور دوکانوں مکانوں کو سجانا  سب منع ہے۔ (کتب الفقہ) *New Year (31st) Night Manaana Musalmaanon Se Mushaaba’hat Yaa Gairon Se???* Es’wee (Angrezi) Saal Ke Khatam Par 31st December Ko (Thirty First Night) Manaana Yeh Kai Buraaiyon Ka Maj’mooah Hai, Jo Shabaab, Kabaab, Sharaab, Naach-Gaane Aur Ghumne Phirne Par Mushtamil Hota Hai. Aur Esaai Qaum Ise Jashn Ke Taur Par Manaati Hai. Yeh Gairon Ki Rasm Aur Sirf Maal-o-Waqt Ka Zaaye Karna Hai Jis Ki Islaam Me Koi Gunjaaish Nahi Hai. Is Liye Sharee’at Me Thirty First Manaana Yaa Naye Saal Ke Aane Par Mubaarak Baad

NEW YEAR NIGHT

.         *🚫NEW YEAR NIGHT🚫*      *⚠KIS BAAT KI KHUSHI❓* *📌Hamari Zindagi Ka Ek Saal Kam Hogaya.* *📌Ham Apni Maut Aur Aakhirat Ke Mazeed Qareeb Ho Gaye.* *📌2016 Me Ham Allah Ki Na Farmani Aur Gunaho Me Lage Rahe.* *📌2016 Me Shaam, Misr, Barma, Aur Digar Mumalik Me Hazaro Musalmano Mard, Aurte, Bachche Shaheed O BeGhar Kar Diye Gaye.*    *⚠Phir Khushi Kis Baat Ki❓* _Hame To AllahTaala Ke Samne Gid Gida Ke Tauba O Astagfar Karna Chahiye..._     ▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂▂     *Please Share To All MUSLIM*

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 27

🔶      ﷽      🔶 💐    (0495)     💐 💌💌💌💌💌 30- R.Awwal - 1438 30-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-27🌻 💌💌💌💌💌 Jaisa ke har dour ke logon ne apney zamaaney ke Nabi ka inkaar kiya aur uun ke sath bura sulook kiya, Aisey hi balki uus se bhi ziyadah bura sulook Nabi e kareem Sallallahu alaihi wa sallam ke sath kuffar e Makkah ne kiya, Chunanchey Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ka irshaad he: Tamaam Nabiyon me mai sab se ziyadah sataaya gaya hun, Kuffar e Makkah ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam aur Aap ke sahaaba ko sataaney me koee kasar na chhodi, Koee Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke raastey me kaantey bichhata, Toa koee Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka mazaaq uudata.. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (203)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 26

🔶      ﷽      🔶 💐    (0494)     💐 💌💌💌💌💌 29- R.Awwal - 1438 29-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-26🌻 💌💌💌💌💌 Chacha ki zubaan se ye baat sunkar Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki aankhon me aansu bhar aaey, aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Chacha jaan ! Allah ki qasam agar ye log mere eik hath me suraj aur dusrey hath me chaand laa kar rakh dey tab bhi mai apney iss kaam se baaz na aaunga, Ya toa Allah ka deen zindah hoga Ya mai iss raastey me halaak ho jaunga, Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki iss guftagu ka Abu Taalib par bada asar huwa Chunanchey unho ne kaha: Jis tarah chahey tum apney deen ki daawat do Mai tumhey kisi ke hawaaley nahi karunga. Abu Taalib ka ye jawaab sunkar kuffar e Makkah mayus ho kar chaley gaey. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (201)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 25

🔶      ﷽      🔶 💐    (0493)     💐 💌💌💌💌💌 28- R.Awwal - 1438 28-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-25🌻 💌💌💌💌💌 Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam logon ki narazgi ki parvaah kiye bagair baraabar bootparasti se roktey rahey Aur logon ko sachchey deen ki daawat detey rahey, toa Qureish ke sardaron ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke chacha Abu Taalib se shikayat ki ke tumhara bhatija hamaarey ma'abudon ko bura bhala kehta he, Hamaarey baap dadaon ko gumraah kehta he, Jisey ham bardasht nahi kar saktey, isliye ya toa aap uun ki himayat band kar dein Ya phir aap bhi faislakun jang ke liye maidaan me aa jaein Yu sunkar Abu Taalib gabhra gaey aur Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko bula kar kaha: Bhatijey ! Mujh par itna bojh na dalo ke mai uutha na sakun... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (201)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 24

🔶      ﷽      🔶 💐    (0492)     💐 💌💌💌💌💌 27- R.Awwal - 1438 27-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-24🌻 💌💌💌💌💌 Jo anqareeb tum par hamla karney wala he Toa kya tum iss baat ka yaqeen karogey ? Sab eik zubaan ho kar boley: Kyun nahi ! Aap toa sadiq aur ameen he. Phir Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Logon ! Eik Allah par Imaan laao aur booton ki ibaadat chhod do, Mai tum ko eik sakht azaab se daraaney aur aagaah karney aaya hun jo bilkul tumharey saamney he Ye sunkar sabhi log sakht naraz huey. uun me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka saga chacha Abu Lahab Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath sakht kalaami se peish aaya, Jis ke jawaab me Allah T'aala ne Abu Lahab aur uus ki biwi ummey jameel ki tabaahi ke baarey me Surah Lahab naazil farmaai. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (199)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 23

🔶      ﷽      🔶 💐    (0491)     💐 💌💌💌💌💌 26- R.Awwal - 1438 26-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-23🌻 💌💌💌💌💌 Nubuwwat milney ke baad Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam 3 saal tak poshidah  tor par (chhup kar) deen ki daawat detey rahey, Phir Allah T'aala ki taraf se Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko khullam khulla islam ki daawat deney ka hukm huwa, iss hukm ke baad Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Safaa pahaad ki choti par chadh kar Makkah ke tamaam khandan walon ko aawaaz di, Jab sab log jamaa ho gaey toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Aey logon ! Agar mai tum se ye kahun ke iss pahaad ke pichhey eik lashkar aa raha he, Jo anqareeb tum par hamla karney wala he, Toa kya tum iss baat ka yaqeen karogey ?... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (199)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 22

🔶      ﷽      🔶 💐    (0490)     💐 💌💌💌💌💌 25- R.Awwal - 1438 25-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-22🌻 💌💌💌💌💌 Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki ye adaa Allah T'aala ko pasand aai, aur surah Mudassir ki ibtidaai aayatein naazil farmaai. (Tarjuma) Aey kapdey me lipatney waley ! Khadey ho jaaiyye, aur (logon ko) daraaiyye, Aur apney Rabb ki badaai bayaan kijiye, Aur apney kapdon ko paak saaf rakhiye, Aur har qism ki napaaki se dur rahiye, iss tarah Allah T'aala ki taraf se Aap ko daawat w tabligh ka bhi hukm diya gaya, Chukey puri duniya sadiyon se shirk w bootparasti me mubtila thi, aur khullam khulla daawat dena mushkil tha, isliye shuru me poshidah (chhup kar) Aap ne islam ki daawat dena shuru ki, Aap ki daawat se aurton me sab se pehley Aap ki zawja mohtarma Hazrat Khadija (rd.) ne, Mardon me Hazrat Abu Bakr siddiq (rd.) ne, Aur bachchon me Hazrat Ali (rd.) ne islam qub

Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat

📮📬📮         ┄─━━━━◇━━━━─┄          *Bismillahirrahmanirrahim​*         ┄─━━━━◇━━━━─┄ *➠ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat* ​☞ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, Holi, Diwali aur *Christmas* wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain: (1) In tehwaaron ka manaana. (2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona. (3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna. (4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena. (5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna. (6) Mazhabi juloos mein shareek hona. ​☞ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga. ​☞ Ham tamaam musalmaan kuffaar ke mazhabi tehwaaron ko na manaate hain aur na un mein shareek hot

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 21

🔶      ﷽      🔶 💐    (0489)     💐 💌💌💌💌💌 24- R.Awwal - 1438 24-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-21🌻 💌💌💌💌💌 Nubuwwat milney ke baad bhi Huzur Sallallahu alaihi wa sallam b'dastoor Ghaar e Hara jaya kartey the, Shuru me sura e Alaq ki ibtidaai 5 aayatein naazil huee, Phir kaeen dino tak koee vahi naazil nahi huee, Eik roz Aaj Sallallahu alaihi wa sallam ghaar e Hara se tashreef laa rahey the ke eik aawaaz aai, Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne charon taraf ghoom kar deikha, magar koee nazar nahi aaya Jab nigaah uupar uuthai toa deikha ke zameen w aasmaan ke darmiyaan Hazrat Jibraeel (a.s.) eik takht par beithey huey hai. Hazrat Jibraeel (a.s.) ko iss haalat me deikh kar Aap par khouf taari ho gaya. aur ghar aa kar chaadar oudh kar leit gaye. 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (197)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 20

🔶      ﷽      🔶 💐    (0488)     💐 💌💌💌💌💌 23- R.Awwal - 1438 23-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-20🌻 💌💌💌💌💌 Hazrat Khadija (rd.) ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko tasalli di aur kaha: Aap neki kartey hai, Sadqa detey hai, Zarurat'mandonko khana khilatey hai Allah T'aala Aap ko hargiz zaaya nahi karega. Phir Hazrat Khadija Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko apney chachazaad bhai warqah bin Nawfal ke paas le gaee, Wo Towraat w injeel ke badey aalim the, uun se saara waaqia bayaan kiya, uunho ne kaha ke Khadija ! Ye toa wohi farishta he jo Hazrat Moosa (a.s.) ke paas aaya karta tha, Aur ye iss ummat ke Nabi he. Kaash ! Mai uus waqt tak zindah rahun jab qoum inko nikaal degi taki mai inki madad karun. Huzur sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Kya meri qoum mujhey Makkah se nikaal degi ? Warqah bin Nawfal ne kaha: Haan ! Jo bhi Nabi aaein hai uun ke sath q

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 19

🔶      ﷽      🔶 💐    (0487)     💐 💌💌💌💌💌 22- R.Awwal - 1438 22-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-19🌻 💌💌💌💌💌 Ghaar e Hara me Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko Nubuwwat milney aur vahi naazil honey ka jo waaqia peish aaya tha, Wo zindagi ka pehla waaqia tha, isliye fitri tor par Aap ko gabhrahat mehsoos huee, Aur isee haalat me ghar tashreef laaey aur kaha ke: Mujhey chaadar uudha do, Mujhey chaadar uudha do. Chunanchey Hazrat Khadija (rd.) ne Aap ko chaadar uudha di, aur Aap leit gaey. Jab kuchh der baad Aap ko sukun huwa toa saara waaqia Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Khadija (rd.) se bayaan farmaya. Wo Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki jaanisaar aur aqalmand biwi thi, uunho ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko tasalli di aur kaha: Aap neki kartey hai, Sadqa detey hai, Zarurat'mandon ko khana khilatey hai... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLA

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 18

🔶      ﷽      🔶 💐    (0486)     💐 💌💌💌💌💌 21- R.Awwal - 1438 21-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-18🌻 💌💌💌💌💌 Rasulallah Sallallahu alaihi wa sallam ghaar e Hara me Allah T'aala ki ibaadat aur zikr me mashghul the ke Hazrat Jibraeel (a.s.) aaey aur uunho ne kaha: Padhiye (IQRA) ! Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Mai padha huwa nahi hun. Aap sallallahu alaihi wa sallam farmatey hai iss ke baad uunho ne mujhey pakad kar itna dabaya ke meri quwwat nichod di, phir mujhey chhod diya aur kaha: Padhiye ! Mainey kaha: Mai padha huwa nahi hun. uunho ne dubara pakad kar dabaya phir kaha: Padhiye ! Mainey kaha: Mai padha huwa nahi hun, uunho ne mujhey tisri martaba pakad kar dabaya aur chhod diya phir kaha: Padhiye ! (Phir Hazrat Jibraeel (a.s.) ne surah ALAQ ki pehli 5 aayatein padhi). Chunanchey mai padhney laga. Ye 5 aayatein naazil huee, Jo sab se pehli vahi thi, Aur

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 17

🔶      ﷽      🔶 💐    (0485)     💐 💌💌💌💌💌 20- R.Awwal - 1438 20-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-17🌻 💌💌💌💌💌 Jab duniya me basney waley insaan zillat w gumraahi me bhatktey huey aakhri hadd tak pahuch gaey, Toa Allah T'aala ne uun ki hidayat w rahnumaai ka faisla farmaya, Aur shirk w bootparasti se nikaal kar imaan w towhid ki doulat se nawaazney ka faisla farmaya aur jis roshni ki aamad ka eik zamaaney se intizaar ho raha tha, uus ke zaahir honey ka waqt aa gaya, aur mahroom aur badnaseeb duniya ki qismat jaag uuthi, Rasulallah Sallallahu alaihi wa sallam ghaar e Hara me Allah T'aala ki ibaadat aur zikr me mashghul the ke Hazrat Jibraeel (a.s.) aaey... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (193)

Hamaare Nabi ﷺ

❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥         *🌻 Hamaare Nabi ﷺ 🌻* ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥ ✺ Hamaare Nabi ﷺ sab se muhabbat se milte the, Aap kisi ko bura bhala nahin kehte the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot bahaadur aur taaqatwar the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ mazboot iraade waale aur buland himmat the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sakhi the, kabhi kisi ko khaali haath nahin lautaate the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ kabhi apni zaat ke liye kisi se badla nahin lete the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ takleef pahonchaane waalon ke liye duaa-e-khair karte the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ susti aur kaahili ko bahot na pasand farmaate the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ ameer-o-gareeb, aaqaa-o-gulaam har ek ke saath baraabari ka sulook karte the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ apne oopar zulm karne waalon ko maaf kar diya karte the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sharmeele the, hamesha nigaah neechi rakhte the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ khaane peene aur pehanne mein saadgi ikhtiyaar karte the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot mehmaan nawaaz the. ✺ Hamaare Nabi ﷺ musee-baton aur aazma-aishon par sabr karte the. ✺ Hamaare

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 16

🔶      ﷽      🔶 💐    (0484)     💐 💌💌💌💌💌 19- R.Awwal - 1438 19-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-16🌻 💌💌💌💌💌 ...Jab tak khaana khatm na hota tha Aap shahar waapas nahi aatey the, Jab Makkah ki wadiyon se guzartey toa darakhton aur pattharon se salaam karney ki aawaaz aati, Aap daaein baaein aur pichhey mood kar deikhtey toa darakhton aur pattharon ke siva kuchh nazar na aata tha, isee zamaaney me Aap ko aisey khwaab nazar aaney lagey, Ke raat me jo kuchh deikhtey wohi din me zaahir hota tha, Yehi silsilah chalta raha ke nubuwwat ki ghadi aa pahochi, Aur Allah T'aala ne Aap ko nubuwwat ataa farmaai. (Sallallahu alaihi wa sallam) 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (191)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 15

🔶      ﷽      🔶 💐    (0483)     💐 💌💌💌💌💌 18- R.Awwal - 1438 18-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-15🌻 💌💌💌💌💌 Nubuwwat milney ka waqt jitna qareeb hota gaya uutna hi Rasulallah Sallallahu alaihi wa sallam tanhaai ko ziyadah pasand karney lagey Sab se alag ho kar akeiley rehney se Aap ko bada sukoon milta tha. Aap aksar khaney Piney ka saamaan lekar kaeen kaeen din tak Makkah se dur ja kar 'Hara' naami pahaad ke eik ghaar me beith jatey, aur ibrahimi tariqey aur apni paakizah fitrat ki rehnumaai se Allah T'aala ki ibaadat aur zikr me mashghul rehtey the, Allah T'aala ki qudrat me gour (गौर) w fikr kartey rehtey the, aur qoum ki buri haalat ko deikh kar bahot ghamzadah rehtey the... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (191)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 14

🔶      ﷽      🔶 💐    (0482)     💐 💌💌💌💌💌 17- R.Awwal - 1438 17-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-14🌻 💌💌💌💌💌 ..toa eik budhey shakhs ne raai di ke kal subah jo shakhs sab se pehley Masjid e Haraam me dakhil hoga wohi iss ke faisla karega. Sab ne ye raai pasand ki. Dusrey din sab se pehley Nabi e kareem Sallallahu alaihi wa sallam dakhil huey, Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko deikhtey hi sab bol uuthey: 'Ye ameen hai Ham inn ke faisley par raazi hai' Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne eik chaadar mangvaai aur Hajrey Aswad ko uus par rakha, Aur har qabiley ke sardaron se chaadar ke koney pakdwa kar uus ko Kaaba tak le gaey, Aur apney hath mubarak se Hajrey Aswad ko uus ki jagah rakh diya, iss tarah Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke zariye eik badey fitna ka khaatma ho gaya. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (189)

Aaj Juma ka din hain

Image

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 13

🔶      ﷽      🔶 💐    (0481)     💐 💌💌💌💌💌 16- R.Awwal - 1438 16-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-13🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ki nubuwwat se chand (चंद) saal qabl (pehley) Khana e Kaaba ko dubarah taamir karney ki zarurat peish aai, Tamaam qabiley ke logon ne mil kar Khana e Kaaba ki taamir ki, Lekin jab Hajrey Aswad ko rakhney ka waqt aaya toa sakht ikhtilaaf paida ho gaya, Har qabila ye chahta tha ke uus ko ye sharf (संम्मान) haasil ho, Lihaza har taraf se talvaarein khinch gaee Aur qatl aur khoon ki noubat aa gaee, Jab maamla iss tarah na suljha toa eik budhey shakhs ne raai di... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (189)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 12

🔶      ﷽      🔶 💐    (0480)     💐 💌💌💌💌💌 15- R.Awwal - 1438 15-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-12🌻 💌💌💌💌💌 ...Aur Abu Taalib bani Hashim aur Mudeer ke sardaaron ko lekar Hazrat Khadija (rd.) ke makaan par gaey, Abu Taalib ne nikaah ka khutba padha, uus waqt Hazrat Khadija (rd.) ki umr 40 saal aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki umr shareef 25 saal thi, Hazrat Khadija (rd.) aakhri waqt tak Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki jaanisaar aur gamkhwaar biwi rahein, uun ki wafaat ke baad bhi Aap Sallallahu alaihi wa sallam uun ki khubiyon ka tazkirah kartey rehtey the. Hazrat ibrahim (rd.) alaawah Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki sab aulaad Hazrat Khadija (rd.) se hi hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (183)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 11

🔶      ﷽      🔶 💐    (0479)     💐 💌💌💌💌💌 14- R.Awwal - 1438 14-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-11🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ka pehla nikaah Makkah ki eik shareefa khaatun Khadija (rd.) bin khowaileed se huwa, Hazrat Khadija (rd.) eik bewah aurat thi, iss se pehley uun ki do shaadiyan ho chuki thi, uunho ne Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki amaanat w diyaanat aur husney akhlaaq jaisi sifaat ko deikh kar nikaah ka paighaam diya tha, Halanki uus se pehley wo Qureish ke badey badey sardaron ke paighaam thukra chuki thi, Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne iss paighaam ka tazkirah apney chacha Abu Taalib se kiya Jisko uunho ne b'khushi qubul kar liya... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (183)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 10

🔶      ﷽      🔶 💐    (0478)     💐 💌💌💌💌💌 13- R.Awwal - 1438 13-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-10🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam rishton ka khyaal rakhtey, Logon ka bojh halka kartey, Waadey ko pura karney ka bahot ehtimaam kartey the, Hazrat Abdullah bin Hamsa (rd.) bayaan kartey hai ke Nabuwwat se pehley Aap Sallallahu alaihi wa sallam se eik muaamley par mainey ye waadah kiya ke phir aaunga Lekin mai bhool gaya, aur tisrey din udhar gaya toa deikha ke Aap Sallallahu alaihi wa sallam ab tak waheen intizaar kar rahey hai, iss ke bawajood meri uus waada khilaafi par bilkul ghussa nahi huey, aur sirf itna farmaya ke tumney mujhey takleef di Mai isee jagah (tumharey waadah karney ki wajah se) teen din se moujood hun. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (181)

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 9

🔶      ﷽      🔶 💐    (0477)     💐 💌💌💌💌💌 12- R.Awwal - 1438 12-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-09🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ki tarbiyat w parvarish shuru hi se Allah T'aala ne apni khaas rahmat se makhsoos tariqey par farmaai thi, Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne bachpan se hi intihaai paak w saaf zindagi guzaari, Jis maahol me Aap Sallallahu alaihi wa sallam paida huey the, uus me kufr w shirk aur bootparasti aam thi, Har taraf tarah tarah ki buraiyan aur akhlaaqi gandgiyan pheili huee thi, Magar iss maahol se dur reh kar Aap Sallallahu alaihi wa sallam zindagi guzaartey, Bootparasti se Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko pehley se hi nafarat thi, Qoum me Aap Sallallahu alaihi wa sallam sab se ziyadah sharm w haya waley aur sachchi guftgu karney waley the. 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZA

Sone se pehle ki Dua

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨    *🌙 Sone se pehle ki Dua 🌙*                اَللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا         "Allaahumma bismika            Amootu wa ahyaa" 📃Tarjama: Aye Allah ! Mein        tere hi naam se marta         hoon Aur Jeeta hoon. 📨📨📨📨📨📨📨📨📨📨           📩(Bukhari:6314)📩 ✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 8

🔶      ﷽      🔶 💐    (0476)     💐 💌💌💌💌💌 11- R.Awwal - 1438 11-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-08🌻 💌💌💌💌💌 Phir uus raahib Buhera ne apni aadat ke bar'khilaaf iss qaafiley ki daawat ki, Jab log daawat me gaye toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko km umar honey ki wajah se eik darakht ke paas bitha diya, Magar Buhera ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko bhi bulwaya, aur apni goud me bitha kar mohar e nabuwwat deikhney laga, uunho ne Towraat w injeel me aakhri nabi se mutaallliq saari nishaniyon ko Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke andar moujood paya, Phir Raahib ne Abu Taalib se kaha ke tumhara bhatija aakhri nabi banney wala he, inn ko mulk e Shaam na le jana, Warna yahudi inn ko qatl karney ki koshish karenge inhein waapas le jaao aur yahud se inn ki hifazat karo, Chunanchey Abu Taalib iss mukhtsar si guftagu ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko lekar b'hifazat Makk

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 7

🔶      ﷽      🔶 💐    (0475)     💐 💌💌💌💌💌 10- R.Awwal - 1438 10-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-07🌻 💌💌💌💌💌 Dada Abdul Muttalib ke intiqaal ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam apney chacha Abu Taalib ke sath rehney lagey, Wo apni aulaad se ziyadah Aap Sallallahu alaihi wa sallam se muhabbat kartey the, Jab wo tijaarat ki gharz se shaam janey lagey toa AapSallallahu alaihi wa sallam apney chacha se lipat gaye Abu Taalib par iss ka bada asar pada, aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko bhi safar me sath le liya, uus qafiley ne Shaam pahuch kar Maqaam e Basrah me qayaam kiya, Yahaan Buhera naami raahib (पादरी) rehta tha, Jo isaaiyyat (ईसाईयत) ka bada aalim tha uus ne deikha ke baadal Aap Sallallahu alaihi wa sallam par saya kiye huey hai Aur darakht ki tehniyan Aap Sallallahu alaihi wa sallam par jhuki huee he... 🔹🔹🔹🔹🔹 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝

KYA JUMAH MUBARAK KAHNA BIDDAT HAI ?

🔵KYA JUMAH MUBARAK KAHNA BIDDAT HAI   ?????????    〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 JAB YEH SAWAL ULMA SE KIA GAYA TO ONHONE YEH JAWAB DIA ################ 🔷 MAULANA IBRAHIM ALYANI SAHAB NE KAHA ♦G nahi kehna chahiye aage bidat hojayegi .....is ka subut hamare nabi se nahi na sahaba se he na tabeen se ################# 🔷MUFTI REYAZUDDIN QASMI SAHAB NE KAHA ♦ . .g. . . Bidat he Kuch log kehte hen . K . Hadees mein . Jume ko momin ki eid kaha gaya . He . . . . Beshak . . Bilkul . . . . Lekin . Ye . . Eid . Huzur .shaba . Akabireen e ummat k zamane mein bhi to ayi hogi. . . . . . . To . Unho ne kabhi . . . . . Aesi mubarak bad di?????. . . . Nai . . Na . To . . Phir . Aj . Ki . Ummat . Kiyun . Age . Badhna chahti he . Apne nabi se . . . . Goor . Karen . . . Our apne . Ap ko badlen . . . . .wallahu alam . . . . Bissawab Kuch log. Jume ki fazilat ko .. Daleel banakar . .juma mubarak kehte .hen . . . . . To. Fazilat to . Wuzu ki bhi . Bohat . To . Kaha jaye . Wuzu mubarak . . Namaz ki bhi badi fa

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 6

🔶      ﷽      🔶 💐    (0474)     💐 💌💌💌💌💌 09- R.Awwal - 1438 09-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-06🌻 💌💌💌💌💌 Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki paidaish se pehley hi waalid maajid Abdullah ka Madinah me intiqaal ho gaya tha, Aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam yateemi ki haalat me paida huey, Jab umar mubarak 6 saal ki hui toa waalidah Aamenah aap ko lekar apney rishtedaron se milney Madinah Munawwrah chali gaee, Waapasi me maqaam Abwa par bimar hui aur waheen intiqaal farma gaee, Ab Aap Sallallahu alaihi wa sallam apni mahboob Maa ki shafaqqat w muhabbat se mahroom ho gaey, iss ke baad dada Abdul Muttalib ki shafaqqat me Paley badey, Wo Aap ko dil w jaan se ziyadah chahtey the Kisi waqt bhi Aap se ghaafil nahi rehtey, Aur Kaaba ke saaye me apney sath bithatey the, Jab ke khandan me se kisi aur ko uun ke sath beithney ki himmat nahi hoti thi, Magar 2 saal baad sirf 8 saal ki umar

Aaj Juma ka din hai

Image

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 5

🔶      ﷽      🔶 💐    (0473)     💐 💌💌💌💌💌 08- R.Awwal - 1438 08-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-05🌻 💌💌💌💌💌 Bala'aakhir unhon ne shohar se mashwarah karney ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko parvarish ke liye qubul kar liya uusi waqt se uun ki aankhein Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki wajah se be'panaah barkaton ka mushahida karney lagi wo kamzor sawaari jo aatey waqt baar baar qafiley se pichhey reh jati thi Ab sab se aagey itni teiz raftaari se chal rahi thi ke qafiley walon ko kehna padta ke Haleema ! zara aahista chalo. Aur ghar pahoch kar bhi barkaton ka mushahida honey laga ke bakri ka than (थन) faaqey ki wajah se khushk ho gaya tha wo dudh se bhar gaya Chunanchey uunhoney aur uun ke shohar ne peit bhar kar piya iss ke baad Hazrat Haleema rozana Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki wajah se barkaton ko deikhti rehti thi Sakht qahatsaali ke iss dowr me bhi uun k

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 4

🔶      ﷽      🔶 💐    (0472)     💐 💌💌💌💌💌 07- R.Awwal - 1438 07-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-04🌻 💌💌💌💌💌 Arab me sakht qahat (सुखा,दुकाल) pada huwa tha, Qabilah Banu S'aad ki aurtein bachchon ki parvarish ke liye Makkah Mukarramah aai huee thi, uunhi me se Haleema s'aadiyah apney shohar ke sath dubli patli sawaari par aai thi, Taqreeban saari aurtein Makkah ke maaldar gharaano ke bachchey le chuki thi Sirf Hazrat Haleema hi ko koee bachcha nahi mila tha uun ko maalum huwa ke Abdul Muttalib ka pota Muhammad bin Abdullah abhi moujood he, Magar yateem he, Aur saari aurton ne uun ki yateemi ko deikh kar uun ko chhod diya tha, Ke jab uun ke waalid hi zindah nahi he toa puri uujrat (paisey) milney ki uummid bhi nahi he, Hazrat Haleema hairaan thi, Khaali haath waapas honey ki himmat nahi thi, aur idhar uun ki yateemi ka khayaal tha.... 💜💜💜💜💜 Baqi kal insha Allah 🔹🔹🔹

Aaj Wednesday hai

Image

Islaam hamein yeh hukm deta hai

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂 *Islaam hamein yeh hukm deta hai ke* ✿ Ham maan baap ke saath achchha sulook karein, ✿ Bhaai behnon ke saath muil jul kar rahein, ✿ Rishtedaaron ke saath silah rehmi karein, ✿ Kisi ka haq na dabaaein, ✿ Kisi ke saath badsulooki aur badtameezi na karein, ✿ Badon ki izzat aur chhoton par raham karein, ✿ Hamesha sach bolein kabhi jhoot na bolein, ✿ Sab ke saath insaaf ka muaamla karein, ✿ Kisi par zulm na karein, ✿ Padosiyon aur hamsaayon ke saath achchha bartaao karein, ✿ Koi beemar ho jaaye to us ki ayaadat ke liye jaayein, ✿ Dil mein keena na rakhein, ✿ Kisi ki geebat na karein, ✿ Doosron ke saath bhi khair khwaahi ka muaamla karein, ✿ Kisi ke haq mein bura na chaahein, ✿ Halaal rozi kamaayein aur haraam kamaai se bachein, ✿ Zabaan se bhali baatein hi nikaalein aur gaali galoch aur buri baaton se parhez karein, ✿ Kisi se kuchh waada karein, to us ko poora karein, 🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂

Zaruri Elaan

*🌙 Zaruri Elaan 🌙* Markazi Ruyate Hilal Committee Masjid-e-Jama Mumbai ne tareekh ki tabdeeli ka elaan kiya hai InshaAllah 12 Dec ko 12 Rabi ul Awwal hai.

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 3

🔶      ﷽      🔶 💐    (0470)     💐 💌💌💌💌💌 05- R.Awwal - 1438 05-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-03🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam Arab ke baa'izzat qabilah Qureish ke khandan Bani Hashim me paida huey Khud Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya; Allah T'aala ne Ismaeel ki nasal me se 'kinaanah' (khandan) ko mumtaz banaya aur kinaanah me se Qureish ko izzat ataa farmaai aur Qureish me Bani Hashim ko imtiyaz bakhsha aur Bani Hashim me se mujhey muntakhab farmaya. (Muslim-5938) Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki waalidah Bibi Aamenah khandan e Banu Zahrah ki moazziz khatun thi Paidaish ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko Sobiya ne dudh pilaya Arab ke shurfa ka dastoor tha ke bachchon ko parvarish ke liye deihaat ki aurton ke hawaaley kartey the Taaki wahaan ki saaf w shaffaf hawa ki wajah se bachchey sahatmand aur tandrust rahey is

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 2

🔶      ﷽      🔶 💐    (0469)     💐 💌💌💌💌💌 04- R.Awwal - 1438 04-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-02🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ki paidaish se pachaas (50) din pehley as'haab e feel ka waqiaa pesh aaya, Yaman ka baadshah Abraha haathion ke eik badey lashkar ko lekar Baitullaah shareef ko dhaaney (todney) ke liye Makkah aaya, Magar Allah T'aala ne uus purey lashkar ko tabaah kar ke Baitullaah ki hifazat farmaai, Morrakhin (historians -tarikh likhney waley) ka bayaan he ke jis waqt Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam paida huey thik uusi waqt Kisra ke shaahi mahal me sakht zalzala aa gaya, aur uus ke 14 kungrey (छोटे गुम्बद) gir gaey isee tarah faaris (iraan) ke aatish qadey ki aag jo baraabar eik hazaar (1000) saal se jal rahi thi, eikdam se bujh gayi, Goya Allah T'aala ki taraf se eik tarah ka ye ealaan tha ke ab iss duniya me wo hasti paida ho chuki he

PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 1

🔶      ﷽      🔶 💐    (0468)     💐 💌💌💌💌💌 03- R.Awwal - 1438 03-December-2016 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-no-01🌻 💌💌💌💌💌 Hamarey pyarey Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wa sallam ki mubarak paidaish Makkah Mukarramah me maah e Rabiul Awwal mutabiq maah e April 571 Iswi ke din aisey maahol me huee ke puri duniya par kufr w shirk ka andhera chhaya huwa tha Aur insaaniyat gumraahi me bhatak rahi thi, Goya ruhaani tor par har taraf andhera pheila huwa tha, Aur jo Allah har roz chaand suraj aur sitaron ke zariye saarey aalam ko roshan karta tha, Aaj uus ne insaano ke taarik w bojhal dilon ko apni ibaadat w bandagi ki roshni ataa karney ke liye apney pyarey bandey Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wa sallam ko hidayat ka aaftab banaa kar saiyyedah Aamenah ke ghar paida farmaya Paidaish ke baad dada Abdul Muttalib ne 'Muhammad' naam rakha, Ye naam Arab me bilkul anokha tha, Logon ne Abdul Mu