Posts

Showing posts from April, 2017

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 129

🔶      ﷽      🔶 💐    (600)     💐 💌💌💌💌💌 22 - Rajab  - 1438 20 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝    NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-129🌻 💌💌💌💌💌 Huzur Sallallahu alaihi wa sallam maah e safar san hijri 11 ko jannatul bakia me duaa e maghfirat ke liye tashreef ley gaey. Waapasi par sar me dard aur bukhar ki haraarat shuru ho gaee. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne bimari ke aalam me azwaaj e mutahhraat se ijaazat ley kar Hazrat Aaisha (rd.) ke yahaan qayaam farma liya. Aur bimari ki haalat me 11din tak imaamat kartey rahey. Magar jun jun waqt guzarta gaya marz badhta gaya Hatta ke eik din tabiyat ziyadah nasaaz ho gaee aur namaaz e isha ka waqt tha Hazrat Abu Bakr (rd.) ko namaaz padhney ka hukm diya. unho ne taqreeban 17 namaazein Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki maujudgi me padhai. Eik din tabiyat kuchh sambhali toa Hazrat Ali (rd.) aur Hazrat Abbas (rd.) ke sahaarey namaaz e Zuhar ke liye tashreef laaey. Haz

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 128

🔶      ﷽      🔶 💐    (0598)     💐 💌💌💌💌💌 20 - Rajab  - 1438 18 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝    NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-128🌻 💌💌💌💌💌 Hajjtul widaa ke mouqey par jab deen ki takmeel ho gaee aur purey arab me islam pheil gaya toa Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke haalat se andazah honey laga ke ab aakhirat ka safar honey wala he. Chunanchey Aap Sallallahu alaihi wa sallam har saal Ramzan me das din ka eatikaaf kartey the. iss saal 10 hijri san me bees din ka eatikaaf farmaya. Har saal Jibraeel Amin ke sath eik martaba Quraan ka dour kartey the iss Ramzan me do martaba dour farmaya. Hajjtul Widah ke mouqey par Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne khutbah detey huey farmaya: Shayad iss ke baad tum logon se mulaqaat na ho sakey. Jamrah e ukbah ke paas kankari maartey huey hukm diya ke tum mujhsey Haj ke aamaal seikh lo. iss se pehley jab Surah Bakarah naazil huee jis me Allah T'aala ki taraf se fatah w

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 127

🔶      ﷽      🔶 💐    (0597)     💐 💌💌💌💌💌 19 - Rajab  - 1438 17 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝    NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-127🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam par maidaan e Arfaat me Juma'a ke din Asr ke baad aakhri Haj ke mouqey par eik laakh se zaaid sahaaba e kiraam (rd.) ke darmiyaan Quraan ki aayat naazil huee. Vahi ke bojh se Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki uuntni beith gaee. iss me Allah T'aala ne khush khabri detey huey farmaya: Aaj mainey tumharey liye tumhara deen mukammil kar diya aur tum par apni neamat puri kardi aur hamesha ke liye tumharey liye deen e islam ko pasand kar liya. iss aayat me ealaan kar diya gaya ke islam hi eik aisa mazhab he jo Qayamat tak aaney wali nasaley insaani ki hidayat aur rahbari aur duniya w aakhirat me kaamyaabi ki zmaanat dey sakta he. iss ke alaawah duniya ka koee mazhab insaano ki najaat ka zariye aur Allah ke yahaan qabuliyat w kaamya

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 126

🔶      ﷽      🔶 💐    (0596)     💐 💌💌💌💌💌 18 - Rajab  - 1438 16 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝    NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-126🌻 💌💌💌💌💌 9 Zil Hajjah san hijri 10 me Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne maidaan e Arfaat me eik laakh se ziyadah sahaaba e kiraam (rd.) ke saamney aakhri khutbah diya. Jo ilm o hikmat se bhara huwa tha. iss me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Aey logon ! Meri baatein ghour se suno ! Shaayad aaindah saal meri tumsey mulaqat na ho sakey. Logon tumhari jaanein izzat w aabru aur maal aapas me eik dusrey par haraam he. Mainey zamaana e jaahiliyat ki tamaam rasmon ko apney pairon taley rond diya he. Deikho merey baad gumraah na ho jaana ke eik dusrey ko qatl karney lago. Mai tumharey liye Allah ki kitaab chhod kar ja raha hun. Agar tum isko mazbuti se pakdey rahogey toa kabhi gumraah nahi hogey, Tumhara aurton par aur aurton ka tum par haq he, Kisi aurat ko apney shohar

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 125

🔶      ﷽      🔶 💐    (0595)     💐 💌💌💌💌💌 17 - Rajab  - 1438 15 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-125🌻 💌💌💌💌💌 Fatah Makkah ke baad jab purey arab me Mazhab e islam ki khubiyan achchhi tarah waazea ho gaee, aur log fouj dar fouj shirk w bootparasti ko chhod kar islam qubul karney lagey, toa ab waqt tha ke Huzur Sallallahu alaihi wa sallam khud amali tor par fariza e Haj ko anjaam dekar islam ke iss azeem rukn ki shaan o showkat aur uski adaaigi ke sahih tariqon ko bayaan farmaein aur shirk ki baaton aur jahaalat ki rasmon w aadaton se usey paak kardey. Chunanchey Rasulullah ne Haj ka iradah kiya aur 25 ya 26 Zil Qadd san hijri 10 ko Zuhar ki namaaz ke baad Madinah Munawwrah se rawaana huey, tamaam azwaaj e mutahhraat aur saiyidah Fatimah (rd.) Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath thi, aur sahaaba e kiraam (rd.) eik laakh se zaaid (ziyadah) ki taadaad me Aap Sallallahu alaihi wa sall

FAZAAIL E NAMAAZ

🔶      ﷽      🔶 💐    (0594)     💐 💌💌💌💌💌 16 - Rajab  - 1438 14. -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 🌻 FAZAAIL  🌻 🌹       E        🌹 💜 NAMAAZ  💜 💌💌💌💌💌 Nabi sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya : Tum me se wo shakhs uus waqt tak namaaz ka sawaab paata rehta he jabtak wo namaaz ke intizaar me rehta he, farishtey uskey liye ye duaa kartey rehtey hai : Ya Allah ! iski magfirat farmaaiyye aur ispar raham farmaaiyye, (Namaaz ke baad bhi) jabtak namaaz ki jagah baawuzu beitha rehta he farishtey uskey liye yahi duaa kartey rehtey hai 🔹🔹🔹🔹🔹 BUKHARI 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNE KI GUZARISH 🌷♦🌷 💜 PYAREY  💜 💝    NABI     💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 🌹Msg-no-125🌹 🔹Insha Allah kal🔹

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 124

🔶      ﷽      🔶 💐    (0593)     💐 💌💌💌💌💌 15 - Rajab  - 1438 13 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-124🌻 💌💌💌💌💌 Haj islam ke paanch arkaan me se eik rukun he Jo san hijri 9 me farz kiya gaya iss farizey ki adaaigi ke liye isee saal Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Bakr (rd.) ko ameer e haj banaya aur musalmano ko haj karaaney ki zimmedari supurd ki. Hazrat Abu Bakr (rd.) Madinah se 300 aadmiyon ka qaaflah lekar haj ke liye rawaana huey aur sath me qurbani ke liye 5 jaanvar bhi ley liye Khud Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne bhi qurbani ke 20 jaanvaron ko gardan me qalaadah pehna kar sath me rawaana kiya iskey baad Surah Bara'at ki aayaton ke e'alaan ke liye Hazrat Ali (rd.) ko rawaana kiya. Jab sab log Meena me jamaa ho gaey Hazrat Ali (rd.) ne e'alaan farmaya: Jannat me koee kafir dakhil nahi hoga aur iss saal ke baad koee mushrik haj nahi kar

FAZAAIL E NAMAAZ

🔶      ﷽      🔶 💐    (0592)     💐 💌💌💌💌💌 14 - Rajab  - 1438 12 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 🌻 FAZAAIL  🌻 🌹       E        🌹 💜 NAMAAZ  💜 💌💌💌💌💌 Huzur sallallahu alyhi wassallam ne irshad farmaya: Jab tum me se koi shakhs apney ghar se wuzu kar ke masjid aata hai toh ghar waapas aaney tak uusey namaaz ka sawaab milta rehta hai, uskey baad Huzur sallallahu alyhi w sallam ne apney hathon ki ungliyan eik dusrey me dakhil ki aur irshad farmaya usey aisa nahi karna chahiye. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSTDRK HAAKIM 💝💝💝💝💝 Faidah: Matalab ye hai ke jaisey namaaz ki haalat me dono hathon ki ungaliyan eik dusrey me daalna durust nahi aur bila wajah aisa karna pasandidah amal nahi isee tarah jo ghar se wuzu kar ke namaaz ke iradey se masjid aaey uskey liye bhi ye munasib nahi kyun ke namaaz ka sawaab haasil karney ki wajah se ye shakhs bhi namaaz ke hukm me hota he jaisa ke digar rivaayaton me iski wazaahat hai. 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNE KI GUZARISH 🌷♦🌷 💜 PYARE

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 123

🔶      ﷽      🔶 💐    (0591)     💐 💌💌💌💌💌 13 - Rajab  - 1438 11 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-123🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne jis ladaai me b'zaat  e khud shirkat farmaai he uus ko Ghazwaah kehtey hai Aur jis ladaai me sirf sahaaba e kiraam (rd.) ko bheja gaya usko Sarya kehtey hai Aap Sallallahu alaihi wa sallam hamesha dushmano ke sath sulah ke khwahishmand rehtey the Musalmano ne kabhi bhi jang ki ibtida'a nahi ki. Balke khud dushmano ne hamla kiya ya hamley ka iradah kiya Toa musalmano ne uska hifaazati jawaab diya islam ki tamaam jangein iss baat ki shahaadat ke liye kaafi hai. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke Ghazwaat ki taadaad 27 aur saraaya ki taadaad 43 he Baaz muarrkhin (इतिहास लिखने वाले) ne dono ki taadaad 82 bataai he inn tamaam jangon me musalman shaheedon ki taadaad 259 aur mukhalif maqtulin ki taadaad 759 he Jinki majmuee taada

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 122

🔶      ﷽      🔶 💐    (0590)     💐 💌💌💌💌💌 11 - Rajab  - 1438 09 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-122🌻 💌💌💌💌💌 Fatah Makkah ke baad purey Arab me islami daawat w tabligh ki asal haqiqat vaaze'a ho gaee aur log islam me jouq dar jouq dakhil honey lagey. Aisey mouqey par Rumi hukumat ne apney liye khatrah mehsoos kartey huey Madinah par hamley ka iradah kar liya aur uski taiyaariyan shuru kardi. Shaam se aaney waley qafiley ne musalmano ko iski ittila'a di. Rum ki saltanat aadhi duniya par hukumat karti thi aur uus zamaaney me sab se badi taaqat shumaar hoti thi. isliye musalman bahot pareshaan the. Eik taraf be'sar w saamaani ki haalat aur arab ki sakht garmi zoron par thi aur dusri taraf dur daraaz ka safar tha. Magar khamosh beithna bhi kisi tarah munasib nahi tha. Chunanchey Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne jang ki taiyaari ka e'alaan kar diya aur maah

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 121

🔶      ﷽      🔶 💐    (0589)     💐 💌💌💌💌💌 10 - Rajab  - 1438 08 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-121🌻 💌💌💌💌💌 Hunein Makkah aur Taif ke darmiyaan eik Wadi he Fatah Makaan ke baad mulk Arab ke log jouq dar jouq islam ki sachchai ko deikh kar deen e haq qubul kar rahey the Lekin iss mahol me bhi qabilah Hawaazin aur qabilah Saqeef ke mushrikin apni jangi taaqat par ghamand kartey huey islam aur musalmano ke khilaaf taqreeban 20,000 par mushtamil lashkar lekar muqabley ke liye nikal padey Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko jab iski khabar huee toa 10 Shawwal san hijri 8 me das hazaar musalmano ke sath maidaan me pahuchey. iss mouqey par chand musalmano ki nigaah Allah se hat kar apni ta'adaad aur aslaha par chali gaee aur ye baat zubaan se nikal gaee ke aaj hamaari taaqat ko koee shikast nahi de sakta. Allah T'aala ko musalmano ki ye baat pasand na aai isliye uun ki ibra

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 120

🔶      ﷽      🔶 💐    (0588)     💐 💌💌💌💌💌 08 - Rajab  - 1438 06 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-120🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Juma'a ki subah 21 Ramzanul Mubarak san hijri 8 ko das hazaar (10,000) sahaaba (rd.) ka azimusshaan lashkar lekar surah Fatah ki tilawat kartey huey faatehaana shaan se Makkah me dakhil huey Ehley Makkah ne jo zulm w sitam 13 saal ke dowr me Huzur Sallallahu alaihi wa sallam aur sahaaba (rd.) par dhaaya tha Aaj wo kuffar soch rahey the ke ham se har eik zulm ka badla liya jaega Magar Rahmat e aalam Sallallahu alaihi wa sallam ke afuw w darguzar ka haal dekhiye ke jin dushmano ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko gaaliyan di thi raastey me kaantey bichhaye the Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke jism mubarak par namaaz ki haalat me gandgi daali thi Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko diwaana aur paagal kaha tha hatta ke mahboob wat

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 119

🔶      ﷽      🔶 💐    (0587)     💐 💌💌💌💌💌 05 - Rajab  - 1438 03 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI    💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-119🌻 💌💌💌💌💌 Musalman sirf teen hazaar aur kuffar eik laakh the. Musalmano ne chaha ke Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko iski khabar ki jaey Magar Abdullah bin Rawaaha (rd.) ne himmat dilaai aur kaha: Ham dushman ka muqabla ta'adad aur quwwat ki buniyad par nahi kartey Ham toa uun ka muqabla uus Deen ki taaqat se kartey hai Jiskey zariye Allah ne hamein izzat di he Aagey badho do kamiyabiyo me se eik tumhein zarur milegi Fatah ya shahaadat uuskey baad musalman aagey badhey aur Allah ne unhein fatah naseeb farmaai. Sahaaba (rd.) ki tarikh Imaan ko taazah karti he Kahaan eik laakh kuffar aur uun ke muqabley me sirf teen hazaar musalman ! iss ke bawajood musalmano hi ko Fatah haasil huee. 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (327)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 118

🔶      ﷽      🔶 💐    (0586)     💐 💌💌💌💌💌 03 - Rajab  - 1438 02 -  April  -  2017 💌💌💌💌💌 💜 PYAREY 💜 💝   NABI.   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 🌻Msg-No-118🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne da'awat e islam ke liye mukhtalif baadshahon ke naam khutoot rawaana kiye the. unmey eik Bashrah ke baadshah Surjeel bin Amr ke naam bhi rawaana kiya tha Jo Rumi saltanat ke maa tahat tha Haaris bin umer (rd.) jab khat lekar Surjeel ke paas pahuchey toa wo khat padh kar aag babula ho gaya aur Hazrat Haaris (rd.) ko shaeed kar diya. Kyunki qaasidon ka qatl kisi bhi qoum me jaiz nahi tha isliye Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne 3000 mujahidon ka eik lashkar uun ke muqabley ke liye mulk e Shaam ki taraf rawaana kiya. Surjeel ne uun ke muqabley ke liye eik laakh (1,00000) ki fouj taiyaar ki Muqabla bada sakht tha Musalman sirf teen hazaar aur kuffar eik laakh the... 🔹🔹🔹🔹🔹 ISLAMI TARIKH 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARN