Posts

Showing posts from September, 2016

BIMAR KI FAZILAT

πŸ”Ά      ﷽     πŸ”Ά πŸ’    (0400)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 23-zil Hajjah-1437 26-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 🌿    BIMAR    🌿 πŸ‚        KI         πŸ‚ 🌻   FAZILAT   🌻 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Hazrat Anas ibne Maalik (Rd.) farmatey hai ke mainey Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ko yeh irshad farmatey huwey suna : Jo shakhs bimar ki iyaadat karta he woh rahmat me gota lagaata he aur jab woh bimar ke paas beith jaata he ho rahmat usko dhanp leiti he. Hazrat Anas (Rd.) farmatey hai ke mainey arz kiya: Ya Rasulallah ! ye fazilat toa uus tandurast shakhs ke liye Aap ne irshad farmaee he jo bimar ki iyaadat karta he, khud bimar ko kya milta he ? Huzur sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya : uskey gunah muaaf ho jaatey hai. πŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”Ή MUSNAD E AHMAD πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’ DUSRON KO FWD KARNE KI GUZARISH ♦🌷♦

ALLAH TA'ALA KI QUDRAT

πŸ”Ά      ﷽     πŸ”Ά πŸ’    (0399)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 22-zil Hajjah-1437 25-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ    ALLAH    πŸ‚        KI       πŸ‚ 🌻  QUDRAT 🌻 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Allah T'aala ne hazaaron qism ke darkht paida farmaey, jin par beshumaar pattey hotey hai inn ke bahot saarey faidey hai ye pattey hamarey liye taazah aur sahatmand oxygen banatey hai aur zehrili gas apney andar jazb kartey rehtey hai, Agar Allah T'aala inn patton me ye salaahiyat paida na kartey toa fiza me zehrili gas pheil jaati, jis ke natijey me insaanon ko bahot si bimariyan laahiq ho jaati, aur insaanon ka jeena mushkil ho jaata, Allah T'aala ne apni qudrat se darkhton ke inn patton ko bana kar ham par bahot bada ehsaan kiya he, Waaqei wo apney bandon par bada maherbaan he. πŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”Ή ALLAHU AKBAR πŸ‚ KABIRAH πŸ‚  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (057)

ISHQ E RASUL

πŸ”Ά      ﷽     πŸ”Ά πŸ’    (0398)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 21-zil Hajjah-1437 24-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 🌻        ISHQ      🌻 πŸ‚           E          πŸ‚ πŸ’–       RASUL    πŸ’– (Sallallahu alaihi w sallam) πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Jab sulah hudaibiyah ke mouqey par Hazrat usman gani (Rd.) ko numaindah bana kar Makkah Mukarrmah bheja gaya toa Qureish e Makkah ne musalmano ko Makkah me dakhil honey ki ijaazat na di, Jab sahaba e kiraam (Rd.) ko pata chala toa bahot afsurdah (gamgeen) huey, Ba'az ne kaha ke Hazrat usman gani (Rd.) khush kismat he ke wo Baitullah shareef ka tawaaf kar ke aaengey, Aap Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya: Usman merey bagair tawaaf nahi karengey. Hazrat usman gani Makkah se jab waapas aaey toa sahaba (Rd.) ne uun se puchha ke kya aap ne Baitullah ka tawaaf bhi kiya ? Hazrat usman gani (Rd.) ne jawaab diya: Allah ki qasam Qureish mujhey tawaaf karney ke liye israar kartey rahey Agar mai wahaan (Makkah me) eik saal bhi muqeem rehta toa bhi Nabi Sallallahu alaihi

AASHIQ E RASUL

πŸ”Ά      ﷽     πŸ”Ά πŸ’    (0392)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 15-zil Hajjah-1437 18-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ πŸ’œ     AASHIQ    πŸ’œ πŸ‚          E           πŸ‚       RASUL      (sallallahu alaihi wa sallam) πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Eik aadmi Haj se waapas aaya aur 3 khajurein Hazrat Moulana Rashid Ahmad Gangohi (r.a.) ki khidmat me bheji, Aap ko jab mili toa aap ne apni hatheli par aisee rakhi jaisey duniya ki doulat aap ki hatheli me simat aaee ho, Aap ne eik shagird ko bulaya aur farmaya ke hamarey jo qareebi milney julney waley he unkey naamo ki fehrist (list) taiyar kar dena, usney fehrist banaee toa 50 naam huwey, Farmaya: inn teeno khajuron ke uun naamo ki ta'adad ke baraabar hissey kar do, Chunanchey utney hissey kiye gaey, Chhotey chhotey hissey baney, Farmaya: eik eik hissa merey har dost ko de do, Aisa malum hota tha jaisey kuchh heerey aur moti aap ke haath lag gaye hai jisey apney doston ko pesh kar rahey ho, Eik shagird ne kaha: Hazrat ! itney chhotey hissey se kya banega ? uski

ALLAH SE MUHOBBAT

πŸ”Ά      ﷽     πŸ”Ά πŸ’    (0390)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 13-zil Hajjah-1437 16-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ     ALLAH       πŸ‚        SE          πŸ‚ 🌻MUHABBAT🌻 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne deikha ke Hazrat Aa'eesha siddiqa (Rd.) beithi huee dirham (paisey) dho rahi he Rasulullah sallallahu alaihi w sallam hairaan huvey aur farmaya : Humaira ! jawab diya, Labbaik ya Rasulallah (sallallahu alaihi w sallam) Aap sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Ye kya kar rahi ho ? Hazrat Aa'eesha siddiq (Rd.)ne arz kiya: Aey Allah ke Nabi ! mai dirham dho rahi hun, Farmaya: Kis liye ? Jawab me arz kiya: Aey Allah ke Nabi ! mainey aap ki zubaan mubarak se ye baat suni he ke jab Allah ke rastey me kharch karney wala kisi sa'eel (mangney wale) ko deita he toa wo paisey sa'eel ke hath me pahuchney se pehley Allah T'aala ke hath me pahuch jatey hai, Jab se mainey ye baat suni he mai sadqa uun paiso ka deity hun jinko pehley se dho leity hun

MO'AJIZA E RASUL

πŸ”Ά      ﷽     πŸ”Ά πŸ’    (0388)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 11-zil Hajjah-1437 14-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ πŸ„ MO'AJIZA πŸ„ πŸ‚        E          πŸ‚    RASUL      (sallallahu alaihi wa sallam) πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Khaibar me Aap sallallahu alaihi w sallam eik qiley ka muhasrah (gheraav) kiye huwey the, itney me eik bakriyan charaaney wala aaya aur islam qubul kar liya aur phir kehney laga Ya Rasulallah ! inn bakriyon ka mai kya karun ? Aap sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Tum inkey munh par kankariya maar do, Allah tumhari amaanat ada kar dega aur inn sab bakriyon ko apney apney ghar pahucha dega, Chunanchey uus shakhs ne aisa hi kiya toa wo sab bakriyan apney apney ghar pahuch gayee. πŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”Ή BAIHAQI -15631  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🌷♦ (321)

BANI ISRAEEL

πŸ”Ά      ﷽    πŸ”Ά πŸ’    (0381)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 04-zil Hajjah-1437 07-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ πŸ’      BANI        πŸ’ πŸ„   ISRAEEL     πŸ„ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Bani israeel ka lafz Quraan e kareem me taqriban 40 martaba aaya he. israeel Hazrat yakub (A.S.) ka dusra naam he. uun ke 12 farzandon se jo nasal chali uunhey Bani israeel kaha jata he uun ka mazhab yahudiyyat tha Mazhabi aur qoumi eatebaar se tarikh me uun ki badi ahmiyat he Taqriban 2000 saal tak uun ke andar ambiya w mursalin paida hotey rahey aur dunyawi taraqqiyan bhi uunhey sadiyon tak haasil hoti rahi. Hazrat Dawood w Sulaiman (A.S.) jaisey Allah ke rasul aur azeem saltanat w hukumat waley baadshah aur Hazrat Yusuf (A.S.) jaisey jalilul qadr nabi aur shah e misr isee qoum me paida huey Deen e islam ke zaahir honey tak ye log apney watan Shaam se nikl kar iraq, misr, Hijaz aur uus ke atraaf pheil chukey the, Khaas tour par Madinah Munawwarah ke ird-gird uun ki aabadiyan thi, Ye log badey maaldar aur tijarat me mahir

HIDAYAT KE CHIRAGH

πŸ”Ά      ﷽    πŸ”Ά πŸ’    (0378)   πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 01-zil Hajjah-1437 04-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ πŸ’œ  HIDAYAT    πŸ’œ πŸŒ‹        KE         πŸŒ‹ πŸ’  CHIRAGH  πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Hazrat Ayaas bin Salma  apney waalid (Hazrat Salma) se naqal kartey hai ke unho ne (yani uun ke waalid ne) kaha: Eik martaba Hazrat umar bin Khattab (rd.) bazar se guzrey, uun ke hath me koda (ΰ€•ोΰ₯œा) bhi tha, unho ne aahista se wo koda mujhey maara, Jo merey kapdey ke kinarey ko lag gaya, Aur Hazrat umar (rd.) ne farmaya: Raastey se hat jaao. Jab agla saal aaya toa Hazrat Umar (rd.) ki mujh se mulaqat huee, Aur mujh se kaha: Aey salma ! Kya tumhara hajj ka iraadah he ? Mainey kaha: Jee haan. Phir Hazrat Umar (rd.) mera hath pakad kar mujhey apney ghar ley gaey. Aur mujhey 600 dirham diye aur kaha: issey apney hajj ke safar me kaam me ley lena Aur ye uus halkey kodey ke badley me hai jo mainey tum ko maara tha. Mainey kaha: Aey Amirul muamenin ! Mujhey toa wo koda yaad bhi nahi raha. Hazrat Umar (rd.

MO'AJIZA E RASUL

πŸ”Ά ﷽ πŸ”Ά πŸ’ (0376) πŸ’ πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ 29-zil Qadah-1437 02-Septembr-2016 πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ πŸ„ MO'AJIZA πŸ„ ♦ E ♦ πŸ’ RASUL πŸ’ (Sallallahu alaihi w sallam) πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ Hazrat usman bin abul Aas (Rd.) ki waalidah farmati hai ke mai Aap Sallallahu alaihi w sallam ki vilaadat ke waqt haazir thi Jab Aap Sallallahu alaihi w sallam paida huey toa mainey deikha ke sara ghar noor se bhar gaya, Sitarey qareeb aa gaey aur latak aaey the, Yahaan tak ke mujhey gumaan honey laga ke ab ye mujh par gir padengey. πŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”Ή BAIHAQI Dalaeel al nabuwwah -29 πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦πŸ…Ύ♦ (03)