Posts

Showing posts from June, 2016

⊙  IED – SPECIAL ☆  Part- 01 ☆

★☆★     ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁        вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм               ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                   ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰                ⊙  IED – SPECIAL ⊙                                               ☆  Part- 01 ☆           ┄┅════┅┅════┅┄          IEDAIN  MEIN  UMDAH      ITR  LAGANA  SUNNAT  HAI      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄     AAp  SαLLαLLαhu         ALαyhi  WαsαLLαm              Ne  Irshααd  Fαrmαyα:           Hαz. Hαsαn  bin           αLee  Rαz.  Anhum           Mαrwee  hei           Ke……hαm  L0g0n           K0  ααp  sαLLαLLαhu           αLαyhi  wαsαLLαm           Ne  hukm  diα           Ke  ied  mein  mαujood           Itr  mein  se           Behtαreen  itr  LαGααyein.      ⚀•RєԲ:➻┐                       Tαbrααni.        ─━━━════●■●════━━━─           jistαrαh  jumα           Ke  din  itr  αur  khusboo           LαGααnα  sunnαt           Hai…….usi tαrαh           iedαin  ke  mαuqe           Pαr  umdαh  se  umdαh           Khu

  Aitikaaf  Ki  Tareef

🕌⚡                                      ┌╦═══════────────┐        │║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ        └╩═══════────────┘                         Aitikaaf  Ki  Tareef           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄ ❉ Aitikaaf ke lafzi maani ” Theharna aur  Rukna ” he, Aitkaaf karne wala  kuchh muddat ke liye ek khaas jagah me yani Masjid me aur Aurat ghar ke khaas hisse me jisko usne muntkhab kiya hota he, Thehra aur Ruka rehta he, isliye ise Aitkaaf kehte he’n,            ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴ 📚 Aitikaaf Course, (By Maulana ilyaas Gumaan DB)

Aitkaafe Masnoon Ki Sharayat*       

🕌⚡                                      ┌╦═══════────────┐        │║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ        └╩═══════────────┘      *Aitkaafe Masnoon Ki Sharayat*            ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄       ⇨Aitkaafe masnoon ke sahi hone ke liye ye cheeze zaruri he’n:- ❉ 1- Musalman hona, ❉ 2- Aaqil hona, ❉ 3- Aitkaaf ki niyat karna, ❉ 4- Mard ka Masjid me Aitkaaf karna, ❉ 5- Mard aur Aurat ka janabat yani gusl waajib hone wali haalat se paak hona, lihaza agar koi shakhs haalate janabat me Aitkaaf shuru kar de to Aitkaaf to ho jayega lekin ye shakhs gunahgaar hoga, ❉ 6- Aurat ka haiz v nifaas se khali hona, ❉ 7- Roze se hona, agar Aitkaaf ke dauran koi ek Roza na rakh sake ya kisi vajah se Roza toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi toot jayega,   ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴ 📚 Aitikaaf Course, (By Maulana ilyaas Gumaan Sahab)

Kisi ne aankhon men surma dala ya sar pr tel lagaya or ye samja k roza toot gia or phir jaan booj kr kha pi lia to kia hukm he.??

🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰         🌹MASAILE RAMZAN🌹         MAS,ALA NO..26 SAWAL, Kisi ne aankhon men surma dala ya sar pr tel lagaya or ye samja k roza toot gia or phir jaan booj kr kha pi lia to kia hukm he.??     JAWAB. 🔸Jis aadmi ne aankhon men surma dala ya sar pr tel lagaya or ye samja k roza toot gia or phir jaan booj kr kha pi lia to us ka roza toot jay ga. 🔸Or us pr roze ki qaza bi or kaffara bi ada krna wajib he. 📙:-Behishti zewar &  Aap k masail or un ka hal      DUA FOR ✏ⓂMaulana Shahzad __________________________________

💎 Sadqa-e-Fitr ke Masail 💎

🌷Bismillaahirrahmanirrahim🌷 ▫▫ ▪▪ ▫ ▪▪ ▫▫ 💎 Sadqa-e-Fitr ke Masail 💎 ⭐ Eid-ul-Fitr ke din jo sadqa gareebon ko dena waajib hai, use “Sadqa-e-Fitr” kehte hain. 💎 Sadqa-e-Fitr kis par Waajib hai? ⭐ Sadqa-e-Fitr har aise musalmaan mard aur aurat par waajib hai jo Eid-ul-Fitr ke din nisaabe Zakaat ka maalik ho ya us ke paas nisaab ki qeemat ke baqadr istemaal se zaaid kapde, bartan, furniture, zeb-o-zeenat aur aaraaish ka saamaan ya zaroorat se ziyaada makaan ya zameen ho, khwaah us par saal na guzra ho. (Shaami: 7/273, Baabu Sadqatil Fitr) ⭐ Masla: Jis shaks par Sadqa-e-Fitr waajib ho, woh apni taraf se aur apni naabaalig aulaad ki taraf se Sadqa-e-Fitr ada kare. (Shaami: 7/281, Baabu Sadqatil Fitr) ⭐ Masla: Agar zaroorat se zaaid makaan kiraaye par diya huwa ho aur us ke kiraaye par guzar auqaat ho to us ki wajah se Sadqa-e-Fitr waajib na hoga aur agar zarooriyaate Zindagi doosre zaraaye se haasil hojaati hon to us ki wajah se Sadqa-e-Fitr waajib hoga. (Shami: 7/238, 239, Baa

SHAB E JUM'AA

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 🌋    SHAB     🌋 🍂        E        🍂 💜  JUM'AA   💜 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: jo shaks jum'aa ki raat SURA E DUKHAN (para no-25) padhega uski bakhshish kardi jaeygi, dusri riwayat me hai, subah tak 70 hazar farishtey uskey liye istigfaar kartey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 Attargeeb wat tarheeb 1/345 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾🌷🅾

Aitkaaf Ki Haalat me Jaa’iz Kaam

🕌⚡                                      ┌╦═══════────────┐        │║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ        └╩═══════────────┘                Aitkaaf Ki Haalat me Jaa’iz Kaam           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄       ❉ 1- Khana peena ( Basharte k masjid ko ganda na kiya jaye ) ❉ 2- Sona, ❉ 3- Zarurat ki baat karna, ❉ 4- Apna ya doosre ka Nikaah ya koi aur Aqd karna, ❉ 5- Kapde badalna, ❉ 6- Khushbu lagana, ❉ 7-Tail lagana, ❉ 8- Kanghi karna (Basharte k masjid ki chatai aur qaaleen vagera kharab na ho ), ❉ 9- Masjid me kisi mareej ka muaena karna, nuskha likhna ya dava dena, lekin ye kaam bager ujrat ke ho to jaa’iz he varna makrooh he, ❉ 10- Bartan dhona, ❉ 11- Zaruriyaat Zindgi ke liye khareed farokht karna Basharte k sauda masjid me na laya jaye, ❉ 12- Aurat ka Aitkaaf ki haalat me bachcho ko doodh pilana, ❉ 13- Moatkif ka apni nashishtgah ke ird gird chaadare lagana, ❉ 14- Moatkif ka masjid me apni jagah badalna, ❉ 15- Baqadre zarurat bistar, saabun, khane pe

☞ Aitikaaf  Ki  Tareef

🕌⚡                                      ┌╦═══════────────┐        │║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ        └╩═══════────────┘           ☞ Aitikaaf  Ki  Tareef           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄ ❉ Aitikaaf ke lafzi maani ” Theharna aur  Rukna ” he, Aitkaaf karne wala  kuchh muddat ke liye ek khaas jagah me yani Masjid me aur Aurat ghar ke khaas hisse me jisko usne muntkhab kiya hota he, Thehra aur Ruka rehta he, isliye ise Aitkaaf kehte he’n, ❉ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati he’n k, *_Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke aakhri ashre ka Aitkaaf farmaya karte the, *_Yaha tak k Allah ta’ala ne aapko wafaat de di, *_Fir aapke baad aapki Azwaaj Mutahraat Raziyallahu Anhum Aitkaaf farmati rahi, 📚 ʀεғεʀεηcε - Sahih Bukhari, 1/271   ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴ 📚 Aitikaaf Course, (By - Maulana ilyaas Gumaan Sahab)

☞  Aitkaaf kyu’n ??

🕌⚡                                      ┌╦═══════────────┐        │║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ        └╩═══════────────┘             ☞  Aitkaaf kyu’n ??            ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄ ❉  RamZan ke akhri 10 din me aitkaaf karna bahut badi ibaadat he, ❉ Ummul momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati he’n  k, *_Huzoor Sallallahu Alaihivasallam har saal Ramzan ke Aakhri ashre me aitkaaf farmaya karte the, 📚 ʀεғεʀεηcε- Bukhari, Muslim   ❉ isliye Allah ta’ala tofeeq de to har musalman ko is sunnat ki barkato se faayda uthana chahiye, ⇨ Masjide Allah ta’ala ka ghar he’n  aur Kareem Aaqa ke darwaze per sawali bankar Beth Jana bahut badi sa’adat he,            ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴ 📚 Aapke Masqil aur Unka Hal,3/ 320

۞ Roza Rakhne ke Baad Bimaar Ho Gaya,

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ۞ Roza Rakhne ke Baad Bimaar Ho Gaya, ★ Agar koi shakhs Roza rakhne ke baad is qadar shadeed Bimaar ho jaye k Roza na todne ki soorat me marj ki shiddat ya bad Jane ka khatra ho to Aftaar kar lena jaa’iz he, Baad me qaza waajib he, Kaffara nahi, ★ Agar injection se ilaaj ho sake Dava pilakar Roza todne ki zarurat na ho to Roza todna jaa’iz nahi balki injection hi se ilaaj kare, ⚀•RєԲ:➻┐ Fatawa Aalamgeer,1/307 Fiqhul ibadaat, 329 ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 27

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 27 Ramzan ke Baad Zindgi Kese Guzare,  Jab Ramzan Nizamul Avqaat ki nekiyo ki pabandi ke saath guzrega to in sha Allah ta’ala poora saal Allah ki madad, nusrat aur tofeeq ke saath guzrega,  Ramdhan me Aap har aitbar se Taqwa akhtyar karo yani har burai se chahe jahiri ho ya baatini, bach jao, Allah poore saal taqwa se guzarne ki tofeeq dega,  Tauba istigfaar kasrat se karo, Israaaf se bacho, aam tor per dekha jata he k Ramzan me israafe ta’aam aur ifraate naum me log zyada mubtila hote hai, yani zyada khana aur zyada sona,, →ab jahiri baat he jab zyada khakar aur sokar Ramzan guzrega to poora saal be-barkati wala hi hoga, ⇨ Ramdhan ke baad Pabandi kare:- ★ Farz Namazo ki pabandi ba-jama’at kare,, ★ namaze vitr ki pabandi kare,, ★ Sunnan Mokada ka ahatmam kare,, ★ Qurane paak ki tilawat ki pabandi kare,, ★ Halaal rizq per g

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 26    (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Sone se Pehle Nafs ka Muhasba kijiye, ⇨⇨Apne Nafs se Puchhiye: — ✾ 1- Ay nafs ! Kya tune aaj mahaz Allah ke liye sadqa khairat kiya, ✾ 2- Ay nafs ! Kya tune aaj kisi insaan ko nafa pahunchaya, ✾ 3- Ay nafs ! Kya tune aaj Silah Rahmi ki, ✾ 4- Ay nafs ! Kya tune aaj koi Deen ki baat sikhi, ✾ 5-Ay nafs ! Kya tune aaj Amr bil ma’aroof nahi Anil munkar ( Bhalai ka hukm aur Buarai se rokna ) kiya, ✾ 6- Ay nafs ! Kya tune apne aapko geebat, jhoot, aur digar gunaho se bachaya, ✾ 7- Ay nafs ! Kya tu badnazri se bacha raha, ✾ 8- Ay nafs ! Kya tune tamaam Namaze aur Mamulaat pure kar liye, ⇒ Jab nafs kahe Haa’n to ” Alhamdulillah, ” padhte hue so jaiye, Aur agar nafs inkaar kare to ” istigfaar ” karte hue Aainda karne ki niyat karke so jaiye,                 ⊙ KHULASA ⊙ ● Khulasa ye he k Ramzan ki

MUNKIRAAT E RAMZAN*    [PART— 06]

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           *Bismillahirrahmanirrahim*   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔          *MUNKIRAAT E RAMZAN*                     [PART— 06] ☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: —- ✾  10- Khatme Taraveeh ke Din Masajido me decorations, ⇒ Khatme Taraveeh ke din masjido me decoration, Sajawat me fizool kharchi aur digar gair zaruri intezamaat me waqt ki barbadi ke saath saath muntazeem ki taraveeh tak tark ho jati he aur ibaadat ki taraf se aamtar tavajjah hatkar israaf me lag jati he, Isliye is fizool ligting, Decorations, Sajawat vagera se bachna bhi behad zaruri he, ✾ 11- Takseem e Mithai aur Hadiya, ⇒ Khatme Taraveeh ke din takseeme Mithai aur Huffaaz kiraam ko Hadiya dene ke liye Jo aam chande ki soorat akhtyar ki jati he’n inme bahut saari kharabiya’n he, ◆  Kitne hi log Jabran naami ke khof se dete he’n, kitne hi log jinke paas maali intezam nahi hota lekin apni izzat rakhne ki khatir unhe

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 25

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 25    (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Isha aur Raat ke Mamulaat, ✾ 1- Isha ki Namaz mukammal jama’at ke saath Ada kare, Safe avval ki koshish kare, ✾ 2- Isha ke baad Dua aur azkaar ka ahatmam kare, ✾ 3- Do raka’at sunnat Mokada aur 2 raka’at gair mokada Ada kare, ✾ 4- Taraveeh mukammal 20 raka’at takbeer Avla ke saath salaam tak Ada kare, ✾ 5- Vitr bhi jama’at ke saath Ada kare, ✾ 6- Taraveeh ke baad baqiya isha ki 2 sunan gair mokada Ada kare, ✾ 7- Masjid se sidhe ghar jaye, Khana vagera khaakar jald se jald so jaiye, ✾ 8- Sone se pehle Sone se pehle ke azkaar aur Duae’n na bhoole, ✾ 9- Vazu karke soiye, ✾ 10- Subeh jald uthne ka ahatmam karke soiye, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 26, Soon inSha Allah

*MUNKIRAAT E RAMZAN*

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           *Bismillahirrahmanirrahim*   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔          *MUNKIRAAT E RAMZAN*                     [PART— 05] ☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he:- ✾ 9 – Dawat e Aftaar ka Rivaaj, ⇒ Dawate aftaar ab ye ibaadat ki shakl chhodkar rivaaj aur fashion ki shakl akhtyar kiye ja raha he, ✾  Dawat e Aftaar bahut achchha kaam he lekin iske saath kuchh kharji kharabiya’n esi shamil ho gayi he’n k Riyakaari, Dikhawapan,fizool kharchi ki Vajah se ye ibaadat dawate rehmani se mehroomi ka sabab saabit ho rahi he, Aftaar ibaadat  Aftaar Parti hoti ja rahi he, ⇒ Jama’at chhot rahi he, kam se kam masjid ki jama’at to aftaar ki nazar ho hi jati he, ◆ Aftaar ke waqt Duao’n ka ahatmam nahi hota, Gairo ki shirkat hone lagi, Bepardgi, Besharmi  aur digar kharabiyo ki vajah se Allah maaf kare baaz Dawate to shirkat ke laayaq bhi nahi hoti he’n, ↳ Next -06, insha Allah ta’ala, ↳® Ramzan k

Kisi k zimma qaza roze baqi hon or wo roze rakhne ki taqat bi rakhta ho to wo qaza rozon k badly men fidya ada kr sakta he ya nahi.??

🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰   🌹MASAILE RAMZAN🌹        MAS,ALA NO..12 SAWAL, Kisi k zimma qaza roze baqi hon or wo roze rakhne ki taqat bi rakhta ho to wo qaza rozon k badly men fidya ada kr sakta he ya nahi.??   JAWAB. 🔹Jo shakhs qaza roze rakhne ki taqat rakhta ho us k liy qaza roze rakhna hi zarori he. Yani qaza k badle fidya dena sahi nah. 🔸Agar us ne fidya de bi dia to tab bi qaza roze us k zimma baqi rahen ge yani us ko qaza roze rakhna hi parhen ge. 📙:-Fatawa Usmani      DUA FOR ✏ⓂMaulana Shahzad __________________________________

*MUNKIRAAT E RAMZAN* [PART— 04]

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           *Bismillahirrahmanirrahim*   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔          *MUNKIRAAT E RAMZAN*                     [PART— 04] ☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he:- ✾ 7- Kamsin Bachcho se Roza rakhwana, ⇒  Baaz log kamsin Bachcho se Roza rakhwate he’n, Photo khichwate he’n aur akhbaraat me chhapwate he’n, inme do badi khatabiya he’n, 1- Tasveer ( Photo) khichwana, 2- Bachcho ke zahan me nav umr ( Bachpan ) se hi riyakaari, dikhawa ke beej bo dena, Ibaadat me ikhlaas zaruri he, isliye is galat Rasmiyat se parhez kiya jaye, ✾ 8- Aurto’n ka Taraveeh na padhna, ⇒ Bahut si Aurte’n taraveeh ki Namaz nahi padhti he’n aur isko sirf Mardo ka kaam samajhti he’n, ★• Halanki Namaze Taraveeh Baalig Mard, Aurat sabke liye Sunnate Mokada he, ↳ Next -05, insha Allah ta’ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 23

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 23   (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Asr se Magrib tak ke Amaal, ✾ 1- Azaan se pehle ya kam se kam Azaan hote hi Masjid ki taraf chal de, ✾ 2- Asr se pehle ki 4 raka’at Sunnat gair mokada Ada kare, ✾ 3- Agar sunnato ki adaaygi ke baad waqt ho to Tilawate Quran me masroof ho jaiye, ✾ 4- Safe avval me Namaz padhne ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad AZkaar aur Tasbihaat ka ahatmam, ✾ 6- Tafseer, Taleem vagera ho rahi ho to usme zarur bethe, ✾ 7- Aftaar se 15-20 minutes pehle Dua me poore itminan ke saath lag jaiye, aur khoob ro ro kar apne liye aur poori ummat ke liye Duae’n kare, ✾ 8- Khajoor se aftaar kare, ho sake to Masjid me aftaar kare, ✾ 9- Aftaari khane me itni der na lagaye k raka’at ya Namaze Magrib hi chhoot jaye, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 24 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 24, Soon inSha Allah

*MUNKIRAAT E RAMZAN* [PART— 03]

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           *Bismillahirrahmanirrahim*   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔          *MUNKIRAAT E RAMZAN*                     [PART— 03] ☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he:- ✾ 5- Fizuliyaat aur T V, ⇒  Fizuliyaat ( Mosiqi ki cheeze )  aur T V se bilkul bachna chahiye, balki T V ko ghar se bahar kar dena chahiye kyuki T V Deen ke liye TB he, ✾ 6- Taraveeh se Ji churana, ⇒ Taraveeh se Ji churana ya is tarah padhna k jab imaam ruku me jaye tab shamil hona, Tab tak bethe rehana ya baate karte rehna Jo kai gunaho ka sabab he, ★• Masjid me baat karne ka gunah, logo ko takleef pahunchane ka gunah, logo ki Namaz se khushu v khuzu ke chale Jane ka sabab banne ka gunah aur Ramzan jese afzal maah ki be-hurmati ka gunah, ★• Lihaza nafs se majahida karke mukammal taraveeh Ada kare, ↳ Next -04, insha Allah ta’ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 29

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 22

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 22   (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Zuhar Se Asr Tak Ke Amaal, ✾ 1- Masjid me jaldi aakar Tahayatul Masjid v Vaju ki 2 raka’at, Fir Qurane paak ki Tilawat aur Pehli Saf ka ahatmam, ✾ 2- Zuhar se pehle ki 4 raka’at Sunnat Mokada ka ahatmam, ✾ 3- Khushu Khuzu ke saath Namaze Zuhar ki 4 raka’at Farz Ada kare, *___Mobile Ghar Chhor  kar aaiye, ✾ 4- Namaz ke baad Dua aur Tasbihaat aur Namaz ke baad ke azkaar ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad 2 raka’at sunnat Mokada aur 2 raka’at Sunnat gair Mokada Ada kare, ✾ 6- Fir Koi kaam ho to kuchh der usse faarig hokar Quran Paak ki Tilawat kare, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 23 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 23, Soon inSha Allah

*MUNKIRAAT E RAMZAN*   [PART— 02]

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           *Bismillahirrahmanirrahim*   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔          *MUNKIRAAT E RAMZAN*                     [PART— 02] ☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he, :- ✾ 3- Raat me jaagna, Khel kood me Waqt barbaad karna, ⇒ Aksar nojawan raat me mehfile bithate he’n, Cricket, Volibaal, Caramboard  vagera khelna ya Raat der tak tafreeh karna, Hotlo, Choraho per bethna, ★• ye sab umoor khilafe shara he’n, inse bilkul ahatyaat zaruri he,  ✾ 4- Logo ke saamne apne Roze me shiddate bhook ya pyaas ka mujahra karna, ⇒ Baaz log apne Roze me shiddate bhook ya pyaas ka mujahra karte he’n aur kehte he’n k bhook lagi he, Pyaas lagi he vagera, ★• Ye bhi galat he, Ramzab Sabr ka mahina he, lihaza sabr karna chahiye, ↳ Next- 03, in sha Allah ta’ala, ↳® Ramzan kis  Tarah Guzare, 28

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 21

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 21    (Subeh se Shaam Tak Ke Amaal) ☆ Fajar se Zuhar Tak ke Amaal, ✾ 1- Subeh Tahajjud ka ahatmam karna chahiye chahe 2 raka’ate hi kyu na ho, ✾ 2- Subeh Savere kam se kam ek para Quran Paak ki Tilawat, ✾ 3- Masjid me jaldi jaakar pehli saf me bethne ka ahatmam aur 2 raka’at Sunnat, ✾ 4- Khushu v Khuzu ke saath 2 raka’at Farz ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad Tasbihaat fir Dua ka ahatmam, ✾ 6- Namaz ke baad Subeh ke masnoon Azkaar ka ahatmam, ✾ 7- Suraj Tulu hone tak na soiye balki Tulu ke 20 minutes baad Namaze ishraak padhe, Fir chahe thodi der so jaiye, ✾ 8- Zawaal se pehle Namaze Chaasht ka ahatmam, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 22, Soon inSha Allah

*MUNKIRAAT E RAMZAN* [PART— 01]

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           *Bismillahirrahmanirrahim*   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔          *MUNKIRAAT E RAMZAN*                     [PART— 01] ☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he:- ✾ 1- Kasrat se Sona, ⇒ Ramzan me itna sote he’n k saal bhar itna nahi sote, Ye gaflat ki alaamat he, esa nahi hona chahiye, ✾ 2- Kasrat se Khana, ⇒ Sahar aur Aftaar me hamesha aitdaal se kaam Lena chahiye, Jab Aadmi zyada khata he to shahwaniyat ubharti he aur fir gunaho me mubtila hota he, ★• Lihaza Roze ke maqsad ko samajhte hue khane me qadre ahatyaat karna chahiye, ★• Kyuki Roze ka maqsad nafs ko kamzor karke gunaho se bachana he,  ↳ Next -02 , in sha Allah ta’ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 27

Masla Roza

Image

  Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat   PART— 20

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 20 ☆ Sadqa e Fitr Ada karna, ✾ Ramzan me hi sadqa e Fitr Ada karne ka ahatmam kare,           Al- Hadees ✾” Hadees paak me Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne sadqa e Fitr ko wajib karaar diya he,” ↳® Bukhari, Muslim, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 21, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 19

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 19 ☆ Shabe Qadar ki talaash karna, ✾ Khususan Ramzan ke Aakhri ashre ki Taak raato (21,23,25,27,29) me shabe Qadar ki talaash me rahe,                Al-hadees  ✾ ” Hadees paak me aaya he k shabe Qadar ko Ramzan ke Aakhri ashre ki taak raato me talaash karo, ” ↳® Bukhari, Muslim Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 20, Soon inSha Allah

  Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 18

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 18 ☆ Akhri ashre ka Aitkaaf karna, ✾ Ramzan Mubarak me Aakhri ashre ka Aitkaaf karne ka ahatmam kare,                Al-Hadees ✾ ” Hadees Sharif me aata he k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke akhri ashre ka aitkaaf farmaya karte the,” ↳® Bukhari Sharif, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 19, Soon inSha Allah

MO'AJIZA E RASUL

🔶      ﷽    🔶 💐    (0317)   💐 💌💌💌💌💌 28-Shaban- 1437 05 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 💜 MO'AJIZA 💜 🌋       E         🌋    RASUL     (sallallahu alaihi w sallam) 💌💌💌💌💌 Bibi Fatima (Rd.) rotiyan paka rahi thi, Aap Sallallahu alaihi w sallam ne bhi eik do roti bana kar dee, Kaafi der ke baad sab roti pak gaee toa Bibi Fatima (Rd.) hairaan huee ke unmey se eik do roti pak hi nahi rahee, Nabi Sallallahu alaihi w sallam ne puchha: Beiti ! kya huwa? Bibi Fatima ne arz kiya: Abbujaan ! Do teen rotiyan aisee he jo pak nahi rahee, Aap Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya: Beiti ! ye wohi rotiyan hogi jin par terey Abbu ke haath lag gaye hai, ab aag uus par asar nahi kar sakti. 🍂 SUB'HANALLAH Nabi Sallallahu alaihi w sallam jis chiz ko chhu leitey uus par yun asaraat ho jatey. 🔹🔹🔹🔹🔹 KHUTBAT E ZULFIQAR safah-92  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (ATW -114

RAMAZAN KI PEHLI RAAT

🔶      ﷽    🔶 💐    (0316)   💐 💌💌💌💌💌 27-Shaban- 1437 04 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 💜  RAMZAN 💜 🌋       KI        🌋 💝    PEHLI    💝 🌻    RAAT     🌻 💌💌💌💌💌 Hazrat Anas (rd.) farmatey hai Jab maah e Ramzan qareeb aa gaya toa Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne Maghrib ke waqt mukhtsar bayaan farmaya uus me irshaad farmaya Ramzan tumharey saamney aa gaya he, Aur tum iss ka istiqbaal karney waley ho Gour se suno ! Ramzan ki pehli raat hi me ehley Qiblah (Musalmano) me se har eik ki maghfirat kar di jaati he. 🔹🔹🔹🔹🔹 HAYAATUS SAHABA JILD-3 SAFA-439/440 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (BM-4/208)

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 17

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 17 ☆ Tahajjud ki namaz Ada karna, ✾ Rozana tahajjud ki namaz ka ahatmam karna,                Al-Quran  ✾ “Allah ta’aala ka irshad he, unke pehlu bistaro se door rehte hai aur khof aur ummeed ke saath apne rab ko pukarte hai aur Jo humne unko de rakha he usko raahe Khuda me kharch karte hai,”. ↳® Al Qur’an ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 18, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat  PART— 16

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 16 ☆ Maahe Ramzan me zakaat Ada karna, ✾ Agar maale nisaab ko pahunche to maal ki zakaat Ada karne ka ahatmam kare,              Al-Quran  ✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k namaz qaayam karo aur zakaat Ada karo aur ruku karne walo ke saath ruku karo yani jamaat ke saath namaz Ada kiya karo,” ↳® Surah Al- Baqrah, 43 ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 17, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 15

*   ▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁           Bismillahirrahmanirrahim   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat                      PART— 15 ☆ Duao ka ahatmam karna, ✾ Har roz khaas tor per 30 minutes Dua maangne ka ahatmam kare,                Al-Quran ✾ “Allah ta’aala ka irshad he k Jo mujhse dua maangta he, me uski duae qubool karta hu,” ↳® Al- Quran, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ┄─━━━━□□□━━━━─┄ ╟❥ Next Post - 16, Soon inSha Allah