Posts

Showing posts from March, 2017

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 117

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0585)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 02 - Rajab  - 1438 01 -  April  -  2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-117๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Khaibar Madinah se shimaal ki jaanib 100 mile ki duri par he. Yahudi Madinah se jila watan hokar yahaan musalmano ke khilaaf sazish karney lagey. uunho ne Madinah par hamley ke liye Banu Ghatfaan aur dusrey qabaail ko Madinah ki aadhi paidavaar deney ki laalach me apney sath mila liya tha. Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam san 7 hijri ke shuru me 1600 sahaaba ko lekar Khaibar ki taraf rawaana ho gaey aur saamney wo log taqreeban 25000 moujood the 3 roz baad eik aisey maidaan me padaav dala jo Khaibar aur Ghatfaan ke darmiyaan tha Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne qillo ko fatah karna shuru kar diya Qamus naami qiley ka sardaar Arab ka mash'hur pahelvaan jiska naam Marhab tha Jo 1000 sheh sawaar pa

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 116

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0584)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 29 -J.Aakhir -1438 29 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’    NABI    ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-116๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Aur islam qubul kar ke khat ka jawaab likhwaya ke Aey Allah ke Nabi ! Aap par Allah ki salaamati, rahmatein aur barktein ho. uus ke siwa koee Ma'abud nahi jisney mujhey islam ki hidayat farmaai Aap ka farmaan merey paas pahucha. Hazrat isaa (a.s.) ke baarey me jo kuchh Aap ne likha he wo bilkul durust aur sach he. Aap ke chachazaad bhai Ja'afar merey paas aaraam se hai. Mai uun ke hath par Allah aur uus ke Rasul ki farmabardari ki beiat karta hun. Aur apney beitey Arha ko Aap ki khidmat me rawaana kar raha hun Agar Aap ka mansha ho toa mai zarur Aap ki khidmat me haazir hunga. Rajab san hijri 9 me Najjashi ne wafaat paai. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (323)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 115

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0583)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 28 -J.Aakhir -1438 28 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-115๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Amr bin Umaiyyah ke zariye Habash ke baadshah Najjashi ke paas da'awati khat bheijey. Jismey towhid w risaalat aur imaan qubul karney ki daawat aur Hazrat isaa (a.s.) ke bagair baap ke paida honey aur uun ki nabuwwat ka tazkirah kiya aur imaan qubul karney par duniya w aakhirat ki bhalaai w salaamati ki khush khabri sunaai. Najjashi ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke khat ko aankhon se laga kar kaha: Mai gawaahi deita hun ke ye wohi Nabi he jinka ehley kitaab ko intizaar tha. Aur islam qubul kar ke khat ka jawaab likhwaya ke... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (323) *๐ŸŒIslamicgrp.weebly.com*

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 114

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0581)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 26 -J.Aakhir -1438 26 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-113๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Mai tumhey Allah ke paigaam ki daawat deta hun. Mai tamaam logon ki taraf Allah ka Rasul bana kar bheja gaya hun. Taaki jo shakhs zindah rahey usey (burey anjaam se daraaney) aur kafiron par haq baat saabit ho jaey. islam qubul karlo salaamat rahogey Aur agar tumney inkaar kiya toa tamaam majoos (paarsi) qoum ka gunah tum par hoga. Ye khat suntey hi Kisra aag b'gula ho gaya aur ghussey me aa kar Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke khat mubarak ko phaad daala. Ye khabar sunkar Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Allah T'aala iss ke mulk ke tukdey tukdey kar dega aur mera deen w hukumat wahaan tak pahuchegi. Chunanchey Kisra ke betey ne khud apney baap ko qatl kar diya aur uus ka mulk bhi tukdey tukdey ho gaya. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ D

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 113

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0581)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 26 -J.Aakhir -1438 26 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-113๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullah bin Huzafa  (rd.) ko da'awati khat lekar Shah e iraan Khusru Parvez ke paas bheja jiska mazmoon ye tha BISMILLAH HIRRAHMANIR RAHIM Allah ke Rasul Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ki taraf se Faaris ke baadshah kisrah ke naam. uus par salaamati ho jo hidayat ki pervi karey. Allah aur uus ke Rasulon par imaan laey aur gawaahi de ke Allah ke siwa koee Ma'abud nahi. Wo akela he uus ka koee sharik nahi. Aur Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) Allah ke bandey aur uus ke Rasul he. Mai tumhey Allah ke paigaam ki daawat deta hun... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (321) *๐ŸŒIslamicgrp.weebly.com*

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 112

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0580)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 25 -J.Aakhir -1438 25 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-112๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Aey ehley kitaab ! Eik aisi baat ki taraf aao Jo hamaarey aur tumharey darmiyaan baraabar he Wo ye ke ham Allah ke alaawah kisi ki ibaadat na karein Aur ham me se koee Allah ke alaawah kisi ko Rab aur Ma'abood na bananey Aur agar tum nahi maantey toa gawaah raho ke ham Allah ki taabedari kartey hai Baadshah Hirakal ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke mubarak khat ko adab w ehtaraam ke sath soney (golden) ke qalamdaan me rakha aur Abu sufiyan ki zubaani haalaat sunkar kaha: Mai khoob jaanta hun ke Aap Sallallahu alaihi wa sallam sachchey Nabi hai Lekin agar imaan qubul kar liya toa meri hukumat jati rahegi Aur Rum ke log mujhey qatl kar dalengey. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (319)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 111

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0579)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 24 -J.Aakhir -1438 24 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-111๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Dahiya Kalbi (rd.) ke hath Rum ke baadshah Hirakal ke naam da'awati khat bheja. Jiska mazmun ye tha. Bismillah Hirrahmanir Rahim Ye khat Allah ke Rasul Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ki taraf se Rum ke baadshah Hirakal ke naam he Jo hidayat ki ittiba karey Mai tumhey Deen e islam ki taraf bulaata hun. islam qubul karlo Salaamat rahogey Allah T'aala tumko dugna ajr ataa farmaega Aur agar tumney nahi maana toa tamaam riaaya islam na laaney ka gunah bhi tum par hoga... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (319)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 110

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0578)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 23 -J.Aakhir -1438 23 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-110๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke jaanisaar sahaaba ye hukm suntey hi fowran ita'at ke liye taiyaar ho gaey aur b'tor mashwarah arz kiya: Ya Rasulallah ! Ye dunyawi baadshah bagair muhar ke kisi khat ko qaabil e eatebaar nahi samajhtey aur na usey padhney ki zehmat gawara kartey hai isliye muhar laga kar khutoot rawaana kiye jaein. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaaba ke mashwarey se muhar laganey ke liye chaandi ki anguthi banaai Jis par MUHAMMAD RASULULLAH likha huwa tha. iskey baad Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne baadshahon ke naam muhar laga kar da'awati khutoot bhejney ka silsilah shuru farmaya. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (317)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 109

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0577)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 22 -J.Aakhir -1438 22 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-109๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Sulah Hudeibiyah ke baad haalaat qudrati tor par kuchh behtar ho gaey toa Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne arab ke amiron aur duniya ke baadshahon ke naam da'awati khutoot bhejney ka iradah kiya aur iss baarey me sahaaba e kiraam (rd.) ko Masjid e Nabwi me jamaa kar ke khitaab farmaya: Aey logon ! Allah T'aala ne mujh ko purey aalam ke liye rahmat w Rasul bana kar bheja he isliye meri taraf se duniya ko ye paigaam pahochaao Allah T'aala tum par raham karega aur dekho Hazrat isaa (a.s.) ke Hawaariyon ki tarah ikhtilaaf na karna ke unhein qareeb bhejney ko kaha toa razamand ho gaey aur kaheen dur janey ka hukm diya toa zameen par bojh ban kar beith gaey... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (317)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 108

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0576)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 21 -J.Aakhir -1438 21 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-108๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 3 roz Hudeibiyah me qayaam kar ke Waapasi ke waqt Huzur Sallallahu alaihi wa sallam par surah Fatah ki ye aayat naazil huee. Tarjuma Hamney Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko eik khuli huee fatah ataa farmaai. Hazrat Umar (rd.) jo iss muhaaidey ki sharton ko apney liye beizzati ka sabab samajh rahey the inn aayaton ke naazil honey ke baad puri tarah mutmaeen ho gaey iss muhaaidey ki wajah se kuffar e Makkah karobar ke liye Madinah aatey jatey toa wo musalmano ke akhlaaq neki ikhlaas w mehmaan nawaazi se bahot ziyadah muta'assir hotey. iss husney suluk ki wajah se Hazrat Khalid bin Walid (rd.) aur Amr bin Aas (rd.) ke sath beshumar logon ne sulah Hudeibiyah aur fatah Makkah ke dowraan islam qubul kar liya. Algharz iss muhaaidey se islam ke aagey badhney me zabardast kamyabi

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 107

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0575)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 20 -J.Aakhir -1438 20 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-107๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Jab Huzur Sallallahu alaihi wa sallam aur mushrikin ke darmiyaan Hudeibiyah ki sulah aur muhaaidey (agreement) par dastakhat ho gaey Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaaba e kiraam (rd.) ko qurbani karney aur sar mundvaney ka hukm diya. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka ye hukm sahaaba (rd.) par bahot dushwaar guzra. Bilaakhir Hazrat Ummey Salma (rd.) ne haalaat ko samajhtey huey Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko mashwarah diya aur kaha: Aap hi pehley sar mundva lijiye. Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne iss mashwarey par amal kartey huey sar mundva liya. Ye deikh kar sahaaba e kiraam (rd.) ne bhi iss par amal kiya. 3 roz Hudeibiyah me qayaam kar ke Waapasi ke waqt Huzur Sallallahu alaihi wa sallam par surah Fatah ki ye aayat naazil huee... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TA

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 106

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0574)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 19 -J.Aakhir -1438 19 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-106๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 3-Musalman Makkah me hathiyaar nahi laengey uun ke paas sirf talvaarein hongi aur wo bhi niyaam me rahegi. 4-Ehley Madinah Makkah ke me rehney waley musalmano ko apney sath nahi ley jaengey Aur agar koee musalman Makkah me rehna chahey toa uus ko koee nahi rokega. 5-Ehley Makkah me se koee Madinah chala jaey toa musalman usey waapas karenge lekin agar koee musalman Makkah waapas aa jaega toa mushrikin usey waapas nahi karengey. 6- 10 saal tak dono fariqon me ladaai band rahegi. 7-Arab qabilon ko kisi bhi fariq ke sath muaahidah karney ka ikhtiyaar hoga. iss tarah musalmano ne dab kar sulah ki. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (313)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 105

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0573)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 18 -J.Aakhir -1438 18 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-105๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Hudeibiyah ke mouqey par mushrikin ne andazah laga liya tha ke Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) apney jaanisaar sahaaba ke jazbaat aur umrah ki khwahish ko pura kiye bagair nahi reh saktey isliye unho ne musalmano ke sath aman w muhaaidey ki guftagu ke liye Sohel bin Amr ko qaasid bana kar bheja Bilaakhir guftagu ke baad dono fariq 10 saal tak chand sharton par sulah karney par raazi ho gaey 1-Musalman iss saal umrah kiye bagair Madinah waapas chaley jaey. 2-Musalman agley saal umrah adaa karengey Lekin Makkah me 3 din se ziyadah nahi thehrengey... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (313)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 104

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0572)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 17 -J.Aakhir -1438 17 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-104๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Phir Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Usman Ghani (rd.) ke zariye Qureish e Makkah ke paas paigaam bheja toa unho ne Hazrat Usman (rd.) se kaha: Tum agar tawaaf karna chahtey ho toa kar saktey ho. Hazrat Usman (rd.) ne jawaab diya: Mai Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam se pehley hargiz tawaaf nahi karunga. Toa phir Qureish e Makkah ne kaha ke Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) apney sathiyon ko lekar iss saal Makkah me dakhil nahi ho saktey aur Hazrat Usman (rd.) ko nazarband kar diya. idhar musalmano me uun ke qatl ki khabar mashhur kardi gaee. Toa Hazrat Usman (rd.) ki shahadat ka badla leney ke liye Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne eik darakht ke nichey sahaaba e kiraam (rd.) se bei'at li. iss bei'at ko BEI'AT-E-RIZWAAN kaha jata he. ๐Ÿ”น

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 103

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0571)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 16 -J.Aakhir -1438 16 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-103๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne eik martaba khwaab deikha ke Makkah me dakhil hokar Baitullah ka tawaaf kar rahey hai. Ye khwaab suntey hi sahaaba e kiraam (rd.) Baitullah ki ziyarat aur umrah ki adaaigi ke shouq me bechain ho gaey. Chunanchey maah e Zil Qadah san hijri 6 me Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam 1400 sahaaba e kiraam (rd.) ke sath umrah karney ke liye rawaana huey aur Hudeibiyah pahuch kar qayaam farmaya aur eik shakhs ko ye paigaam lekar Qureish e Makkah ke paas bheja ke ham sirf Baitullah ki ziyarat aur umrah karney ke liye aaey hai Hamaara maqsad ladna nahi he Magar ehley Makkah ne badsuluki kartey huey wo sahaabi ke uunt ko maar diya aur wo sahaabi mushkil se jaan bacha kar waapas aaey... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARN

IMPORTANT MESSAGE

๐Ÿ“ตAjeeb Riwaj Nikla Hai Yeh๐Ÿ“ต ✉ Yeh Message 9 Logo Ko Send Karo Murad  Puri Hongi ๐Ÿšซ ✉ Yeh Message 10 Logo Ko Send Karo Warna 10 Saal Ke Liye Bad Qismat Ho Jaonge ๐Ÿšซ ✉ 5 logo ko bejho Sab se badi Problem hal ho jayegi ๐Ÿ“ฑKiya Ab Qismat Ke Faisale Mobile karenge❓ ๐Ÿ˜Š 5 Dino Mein Khush khabri Milengi ๐Ÿšซ ๐Ÿก Jannat Milengi etc. ๐Ÿšซ ❔Kya Hum Apne DEEN Ko Itna Hi Jante Hain Ke Button Press Karne Se ๐Ÿ“ฒ ๐Ÿ”บ Jannat Mil Jaye❓ ๐Ÿ”บBad Qismat Ho Jaye❓ ๐Ÿ Phir Namaz, Roza, Hajj, Zakat, Jihad, Iqhlaq, Maa baap ki khidmat etc Aamaal Kis Kam Ke❓ ๐Ÿ”บKya Messages ๐Ÿ“ฉ Send Karne Se Murad Puri Hongi❓ ๐Ÿ‘‰ Toh ALLAH Ke Samne Rona, Haath Phelana Kis Kam Ka❓ Aur Yeh Message Zyada Se Zyada Logon Ko Forward Karen Ta Ke Yeh Fitna Khatam Ho. ❌ ⚠ AISE MESSAGE AAYE TOH PEHLE DELETE KAREN ๐Ÿšฎ

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 102

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0570)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 15 -J.Aakhir -1438 15 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-102๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Bilaakhir muhaasra (เค˜ेเคฐाเคต) tang honey par yahudiyon ne sulah ke muaamley ko pehley Hazrat Lababa (rd.) aur phir Hazrat Sa'ad bin Muaaz (rd.) ke supurd kar diya ke inka har faisla hamein manzur he. uun dono sahaaba (rd.) ne Towraat ke mutabiq faisla kiya ke tamaam ladney waley mardon ko qatl kar diya jaey aurton aur bachchon ko ghulaam bana liya jaey Jaidaad aur maal w doulat musalmano me taqseem kar di jaey iss faisley ke mutabiq Banu Qureiza ko girftaar kar ke Madinah lakar qatl kiya gaya. Hai bin Akhtab aur Banu Qureiza ke sardar  Ka'ab bin Asad ko bhi qatl kar diya gaya taaki ahad shikni (เคตाเคฆा เค–िเคฒाเคซी) karney walon aur dhoka baazon ko hamesha ke liye sabaq mil jaey aur aaney wali naslein ibrat haasil karey. iss tarah Madinah hamesha ke liye dushmano ki saazishon se

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 101

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0569)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 14 -J.Aakhir -1438 14 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-101๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Banu Qureiza ne ahad shikni (เคตाเคฆा เค–िเคฒाเคซी) kar ke Makkah ke mushrikin ka sath diya tha. Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Ghazwa e khandaq se Madinah aa kar hathiyaar utaar diye toa Jibraeel (a.s.) ne aa kar arz kiya: Ya Rasulallah ! Allah T'aala ne hukm diya he ke Aap lashkar lekar Banu Qureiza rawaana ho jaein. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaaba ko Asr ki namaaz Banu Qureiza me padhney ka hukm diya. Hazrat Ali (rd.) islami jhanda aur sahaaba ka lashkar lekar wahaan pahuchey. Yahudiyon ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko bura bhala kaha aur masaalihat (sulah) ke liye bhi taiyaar nahi huey toa uun ke qiley (เค•िเคฒा-fort) ka muhaasra (เค˜ेเคฐाเคต) taqreeban 25 din tak jaari rakha... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 100

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0568)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 13 -J.Aakhir -1438 13 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-100๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ghazwa e khandaq me mushrikin ne 10,000 ka lashkar lekar Madinah ka muhaasra (เค˜ेเคฐाเคต) kar rakha tha Dono taraf se tirandaazi aur sangbaari ka tabaadla hotey huey do haftey guzar gaey Toa Qureish ne tamaam fouj ko jamaa kar ke hamla karney ka mansuba banaya ittifaaq se eik maqaam par khandaq ki chowdaai km thi toa Arab ka mash'hur bahadur umr bin Abdu aur uus ke sathiyon ne ghodon ko aid laga kar khandaq ko paar kar liya aur musalmano ko 3 martaba muqabley ke liye lalkaara. Toa Hazrat Ali (rd.) muqabley ke liye aagey badhey Thodi der dono ne apney apney jouhar dikhaey Bilaakhir Hazrat Ali (rd.) ne uus ko nimta diya Ye manzar deikh kar mushrikin par roab taari ho gaya aur muqabley ki taab na laa kar bhaag gaey Hamley ka ye bada sakht din tha Kuffar w mushrikin ki taraf s

Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat

๐Ÿ“ฎ๐Ÿ“ฌ๐Ÿ“ฎ         ┄─━━━━◇━━━━─┄          *Bismillahirrahmanirrahim​*         ┄─━━━━◇━━━━─┄ *➠ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat* ​☞ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, *Holi,* Diwali aur Christmas wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain: (1) In tehwaaron ka manaana. (2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona. (3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna. (4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena. (5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna. (6) Mazhabi juloos mein shareek hona. ​☞ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga. ​☞ Ham tamaam musalmaan kuffaar ke mazhabi tehwaaron ko na manaate hain aur na un mein shareek hot

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 99

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0567)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 12 -J.Aakhir -1438 12 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-99๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ iss bad'ohadi (เคตाเคฆा เค–िเคฒाเคซी) se musalmano ko bada sadma huwa Dusri taraf Munafiqeen musalmano se bahaaney baazi kar ke maidan chhod kar bhaag rahey the. iss tarah musalman andruni aur beiruni hamley ke bich aa gaey Muhaasra (เค˜ेเคฐाเคต) ki shiddat aur sakhti ke baais Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Banu Ghatfaan ko Madinah ki eik tihaai (1/3) paidavaar dekar Abu Sufiyan ke lashkar se alag ho janey par sulah ka iradah farmaya. Magar Sa'ad bin Muaaz (rd.)  aur Sa'ad bin ubaadah (rd.) jaisey bahadur sahaaba ne arz kiya: Ya Rasulallah ! Ham talvaaron ke alaawah uun ko apna maal hargiz nahi dengey (Yani ham uun se jang karna chahtey hai) wo jo karna chahey kar le Ham muqabley ke liye taiyaar hai. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 98

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0566)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 11 -J.Aakhir -1438 11 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-98๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Abu sufiyan ki sardaari me 10000 ka muttahidah lashkar Madinah pahucha. Shahar ki hifaazat ke liye khodi huee khandaq ko deikh kar mushrikin heiraan reh gaey. Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne 3000 sahaaba ko uun ke muqabley ke liye rawaana kiya. Dono lashkar ke darmiyaan khandaq haail thi. Abu sufiyan Madinah ka muhaasra (เค˜ेเคฐाเคต) kar chuka tha. Banu Qureiza (yahudi qabilah)  aur musalmano ke darmiyaan muaahidah (agreement) tha isliye wo jang me shareek nahi huey. Banu Nadeer (ye bhi yahud qabilah) ke sardaar Hai bin Akhtab ne badi jiddo jahad aur koshish ke baad Banu Qureiza ke sardaar Ka'ab bin Asad ko laalach dekar musalmano se bad'ohadi (เคตाเคฆा เค–िเคฒाเคซी) par aamadah kar ke apney sath shamil kar liya... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 97

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0565)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 10 -J.Aakhir -1438 10 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-97๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Sahaaba e kiraam (rd.) ne sakht sardi, besaro samani (เคฌेเคธเคฐो เคธाเคฎाเคจि) aur faqa kashi ke bawajood puri himmat w istiqaamat ke sath khandaq khodney ka kaam anjaam diya. Hazrat Abu Talha (rd.) ne bhuk ki shiddat se apna peit khol kar dikhaya, jis par eik patthar bandha huwa tha. Ye deikh kar Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne apney peit mubarak se kapda hataya toa sahaaba ne deikha uus par do patthar bandhey huey the. Eik din Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne subah saverey sakht sardi aur bhuk pyaas ki haalat me sahaaba ko khandaq khodtey deikh kar ye duaa di, (Tarjuma): Aey Allah ! Asal zindagi toa aakhirat ki zindagi he Tu Ansaar w Muhajirin ki maghfirat farma. Ye sunkar sahaaba josh e muhabbat me kehney lagey (Tarjuma): Hamney martey dam tak Muhammad Sallallah

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 96

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0564)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 09 -J.Aakhir -1438 09 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-96๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Aur b'zaat e khud Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne nishaan laga kar har 10 sahaaba ko khandaq khodney ke liye 10-10 gaz zameen taqseem farmadi. Sahaaba e kiraam shab w roz (เคฐाเคค-เคฆिเคจ) khandaq khodney me masruf the ke iss dowraan eik sakht chattan aa gaee. Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Allah ka naam lekar uus chattan par teen (3) martaba kudaal maari jis se chattan rezah rezah ho gaee. Aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne mulk e Shaam, iraan aur Yaman ki fatah ki khush khabri sunaai. Gharz 3000 jaanisaar sahaaba ne 6 din me taqreeban 3 kilometer lambi aur 5 gaz choudi aur 5 gaz gehri khandaq khod kar taiyaar kardi. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (297)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 95

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0563)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 08 -J.Aakhir -1438 08 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-95๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Shawwal san hijri 5 me Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko ittila'a mili ke Qureish aur yahud muttahid (eik sath) ho kar Madinah par hamla karna chahtey hai aur musalmano ke wajud ko hamesha ke liye mitana chahtey hai Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaaba e kiraam (rd.) se mashwarah talab kiya. toa unho ne Madinah me qilahband ho kar dafaai (defensive) jang karney ka iradah zaahir kiya. iss mouqey par Hazrat Salman farsi (rd.) ne ghod sawaaron ke hamley se bachney ke liye khandaq khodney ka mashwarah diya Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko ye raai pasand aai aur dushman se hifazat ke liye Madinah ke shimaali maidaan aur khuley hissey me khandaq khodney ka hukm diya... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (297)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 94

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0562)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 07 -J.Aakhir -1438 07 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-94๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Abu Sufiyan ne jang e Ohad se Waapasi ke waqt ealaan kiya tha ke agley saal hamaara tumhara muqabla Badr me hoga. Hasbey vaadah Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullah bin Rawaaha (rd.) ko Madinah ka ameer banaya aur Shaban san hijri 4 me 1500 Sahaaba e kiraam ko lekar Badr ke liye rawaana huey. Musalmano ki peish qadmi ki khabar sunkar Abu Sufiyan na chahtey huey bhi 2000 ka lashkar lekar majburan Makkah se rawaana huwa. Lekin jab maqaam Zahraan pahuch kar musalmano ke lashkar ki ta'adad maalum huee toa usey muqabla karney ki himmat na huee aur iss bahaney se waapas lowt gaya ke iss saal Makkah me qahatsaali (เคฆुเค•ाเคฒ) he Wo zarurat ke mutaabiq jangi hathiyaar aur saman wo apney sath nahi la sakey. Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam 8 roz tak Badr me uun

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 93

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0561)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 06 -J.Aakhir -1438 06 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-93๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Qureish aur yahood ne Madinah Munawwrah aur Makkah Mukarramah ke darmiyaan tamaam qabaail ko musalmano ke khilaaf dil khol kar bhadkaya. Jis ke natijey me bahot se qabaail musalmano par hamla karney ki taiyaari me masruf ho gaey. Jamadil Awwal san hijri 4 me qabilah Ghatfaan ki shaakh Banu Maharib aur Banu Sa'alba ne Madinah par hamla karney ke liye eik mushtark (เคธंเคฏुเค•เคค) lashkar taiyaar kiya. Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili toa 400 jaanisaar sahaaba ka lashkar lekar muqabley ke liye nikley. iss ghazwey me sahaaba e kiraam ke paas sawaariyan bahot km thi. Paidal chalney se zakhmi honey ke sabab pairon par pattiyan bandhni padi. isliye iska naam Zaatur Riqa'a (pattiyon wala) Ghazwa pad gaya. Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne eik pah

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 92

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0560)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 05 -J.Aakhir -1438 05 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-92๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Hatta ke (sharaab) aql w hosh tak ko khatm kar deti he. Chunanchey baaz logon ne usey chhod diya Phir dusra hukm naazil huwa ke sharaab aur nashey ki haalat me namaaz ke qareeb mat jao. Chunanchey sahaaba ne uus ko tark kar diya ke jab nashey ki haalat me namaaz nahi padh saktey toa uus se bachna chahiye. Phir sharaab ke muta'alliq Surah Maaidah ki tisri aayat naazil huee. ismey qata'ee tor par sharaab ko haraam qaraar dey diya gaya. Sahaaba e kiraam ke imaani jazbey ka haal ye tha ke hukm miltey hi sharaab ke bartan aur matkey toud daley. Yahaan tak ke Madinah ki galiyon aur sadkon par sharaab behti nazar aa rahi thi. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (283)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART, 91

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0559)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 04 -J.Aakhir -1438 04 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-91๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Allah T'aala ne musalmano ko islami maahol me zindagi guzaarney aur ahkaam e ilaahi par amal karney ke liye Madinah ka sazgaar maahol ataa kiya. Taaki zamana e jaahiliyat ki tamaam rasmo aur buri aadaton ko khatm kar ke islami muaashrey ka amali namuna duniya ke samney aa jaey. uun ki sab se buri aadat sharaab noshi thi. uus ki muhabbat arabon ki ghutti me padi huee thi. Chunanchey sharaab aur juey ke baarey me pehla hukm san hijri 3 me naazil huwa Ke ismey bhalaai ke muqabley buraai aur gunah ziyadah he... ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (283)

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 90

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0558)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 03 -J.Aakhir -1438 03 -  March - 2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-90๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Ghazwa e Ohad ke baad Abu Sufiyan apna lashkar lekar Makkah jatey huey maqaam e Ruha me pahuch kar kehney laga: Hamein mukammil tor par fatah haasil karna chahiye toa (เคจाเค‰เคœुเคฌिเคฒ्เคฒाเคน) Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ko qatl kyun na karun ? Chalo waapas ja kar musalmano ko safaa e hasti se mita kar aaein. Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sirf uun musalmano ko uun ka pichha karney ka hukm diya jo jang e Ohad me shareek the. Musalman zakhmi aur khasta haal honey ke bawajood fowran taiyaar ho gaey Aur Madinah se 8 meel dur Hamra ul asad maqaam par padaav dala. Jab Abu Sufiyan ko inki bahaduri aur shuja'at ka pata chala ke Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) phir apney sathiyon ko lekar muqabley ke

PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 89

๐Ÿ”ถ      ﷽      ๐Ÿ”ถ ๐Ÿ’    (0557)     ๐Ÿ’ ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ 02 -J.Aakhir -1438 02 -  March -2017 ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ ๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’ (Sallallahu alaihi wa sallam) ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ ๐ŸŒปMsg-No-89๐ŸŒป ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ Hazrat Abu Dujanah (rd.) Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke samney dhaal ban kar khadey ho gaey Yahaan tak ke uun ki peeth teeron se chhalni ho gaee. Hazrat Talha (rd.) ne dushman ke teer aur talvaar ko hathon par roka jiski wajah se uun ka eik hath kat kar gir gaya. Dushman ki eik jamaat aagey badhi toa tanha Hazrat Ali (rd.) ne rukh pheir diya Gharz sahaaba e kiraam ne jaanisari aur fidakari ki wo misaal qaaim ki jiski Nazir nahi milti. ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น ISLAMI TARIKH ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦๐ŸŒท♦ (279)