Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 23
🌙🌙🌙
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*
PART— 23
(Subeh se Shaam Tak Ke Amaal)
☆ Asr se Magrib tak ke Amaal,
✾ 1- Azaan se pehle ya kam se kam Azaan hote hi Masjid ki taraf chal de,
✾ 2- Asr se pehle ki 4 raka’at Sunnat gair mokada Ada kare,
✾ 3- Agar sunnato ki adaaygi ke baad waqt ho to Tilawate Quran me masroof ho jaiye,
✾ 4- Safe avval me Namaz padhne ka ahatmam,
✾ 5- Namaz ke baad Azkaar aur Tasbihaat ka ahatmam,
✾ 6- Tafseer, Taleem vagera ho rahi ho to usme zarur bethe,
✾ 7- Aftaar se 15-20 minutes pehle Dua me poore itminan ke saath lag jaiye, aur khoob ro ro kar apne liye aur poori ummat ke liye Duae’n kare,
✾ 8- Khajoor se aftaar kare, ho sake to Masjid me aftaar kare,
✾ 9- Aftaari khane me itni der na lagaye k raka’at ya Namaze Magrib hi chhoot jaye,
↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 24
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 24, Soon inSha Allah
Comments
Post a Comment