HIDAYAT KE CHIRAGH
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0325) 💐
💌💌💌💌💌
07-shavval- 1437
13 - June - 2016
💌💌💌💌💌
💜 HIDAYAT 💜
🌋 KE 🌋
🌻 CHIRAGH 🌻
💌💌💌💌💌
Hazrat Saeed bin Zaid (Rd.) bhi uun 10 mubarak logon me se hai jinhey Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne duniya hi me Jannat ki basharat suna di thi,
Ye Hazrat Umar (Rd.) ke behnoi he
Unho ne Hazrat Umar (Rd.) se pehley islam qubul kiya,
Wo aur unki biwi Fatimah bint Khattab (Rd.) Hazrat Umar (Rd.) ke islam ka zariya baney,
Eik martaba eik aurat ne adaalat me ye da'awa kiya ke Saeed (Rd.) ne meri fulan zameen daba lee he,
Hazrat Saeed (Rd.) ko iss se badi takleef huee aur unho ne adaalat me haakim ke samney kaha:
Kya mai iss aurat ki zameen dabaaunga jab ke mainey Rasulullah sallallahu alaihi w sallam se suna he ke
jo shakhs kisi ki eik baalisht bhar zameen bhi zulman daba lega toa zameen ka wo tukda saaton zameen tak touq bana kar uskey galey me daala jaega,
iss hadees ko sunney ke baad haakim ne unko baree kar diya,
Magar unho ne dukhey huey dil se farmaya:
Aey Allah !
Tu jaanta he ke wo aurat jhuthi he
Tu usko andha kar de aur uski zameen ko uski qabr bana de
Aur aisa hi huwa,
wo andhi ho gayee aur eik din wo gaddhey me gir padee aur wo gaddha hi uski qabr ban gaya,
Hazrat Saeed bin Zaid (rd.) ka intiqaal san hijri 50 me ya uskey kuchh baad huwa,
Uus waqt unki umr 70 saal se bhi ziyadah thi.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
(403)
Comments
Post a Comment