✦ A K H L A A Q I Y A T ✦
★☆★
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ A K H L A A Q I Y A T ✦
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Apne Musalman bhai ko Neki ka hukm karna aur Buarai chhorne ki Targeeb Dena farz he, lekin Narmi, khush akhlaqi aur Mohabbat Shart he,
★ Gussa Haraam he, aur Gaaliya bakna Allah ki Nazar se gira deta he,
★Jis per kisi ne Ahsaan kiya ho wo Ahsaan karne wale ko " Jazakallah " keh de,
★ Bad akhlaaq Namazi aur Ba-Akhlaq be-namazi do no ki aapas me koi nisbat nahi,
→ Do no hi sahi raaste per nahi, do no ne deen ka ek ek hissa chhod rakha he, isliye do no naqis hai,
★ Kisi ke bare me shak aur Badgumani jaa'iz nahi,
★ Jis kaam ke bare me shak ho k jaa'iz he ya na-jaa'iz to use na kare,
★ Geebat karna, Kisi ka mazaak udana, Kisi ki Tahqeer karna, kisi ko ladana, Jhoot bolna, Jhooti kasam khana Kabira Gunah hai,
★ Jo Gunah elaaniya kiya jata ho unko bayan karna Geebat nahi,
★ Jab kisi se Geebat ho jaye to foran maafi maang le ya uske liye duae khair kar de,
★ Qibla rukh paav karna be adabi he aur peshab karna gunaah he,
★ Logo ka raasta band karna kabira Gunaah he,
★ Islaah ki niyat se gunahgar Shakhs se dosti jaa'iz he,
★ Gunahgar Aadmi ke saath dostana tallukaat na rakha jaye, lekin ek musalman ke Jo huqooq he, maslan Salam dua rakhna,bimaar pursi,namaze janaza vagera ko adaa kiya jaye,
📓 Aapke masail aur unka Hal,,
📃Jild-8, Safa-101
Comments
Post a Comment