KAB KIYA BEHTAR
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0291) 💐
💌💌💌💌💌
02-Shaban- 1437
10 - May - 2016
💌💌💌💌💌
💝 KAB 💝
💢 KYA 💢
🍄 BEHTAR 🍄
💌💌💌💌💌
Hazrat imran bin Hattan (Rh.) se rivaayat he ke mai Hazrat Abu Zar (Rd.) ki khidmat me hazir huwa toa mainey uunko masjid me iss haalat me deikha ke eik kaali kamlee lapeitey huey akeiley beithey hai,
Mainey arz kiya:
Abu Zar!
ye tanhaai aur yaksui kaisee he,
yani aap ne bilkul akeiley aur sab se alag thalag rehna kyun ikhtiyar farmaya he?
uunho ne jawaab diya ke mainey Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ko ye irshaad farmatey huey suna:
Burey saathi ke saath beithney se akeiley rehna achchha he,
aur achchhey saathi ke saath beithna tanhaai se behtar he,
aur kisi ko achchhi baatein batana khamoshi se behtar he,
aur buree baatein bataney se khamosh rehna behtar he.
🔹🔹🔹🔹🔹
BAIHAQI- 4/256
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾
(M.A./791)
Comments
Post a Comment