HIDAYAT KE CHIRAGH
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0286) 💐
💌💌💌💌💌
27 - Rajab - 1437
05 - May - 2016
💌💌💌💌💌
🌻 HIDAYAT 🌻
💜 KE 💜
🌋 CHIRAGH 🌋
💌💌💌💌💌
🌷Msg.No.-02🌷
💌💌💌💌💌
Hazrat Umar Faruq (rd.) apney zamaana e khilaafat me Kisra ko fatah karney ke liye Hazrat S'aad bin Abi Waqqas ki imaarat me eik bada lashkar iran ki taraf rawaana farmaya,
Raastey me unhein dariya e Dajlah mila,
uus ko paar karney ke liey uun ke paas na koee kashti thi
Na koee dusra raasta
Aur dariya ka paani bhi kaafi chadha huwa tha.
Hazrat S'aad (rd.) ne logon ko dariya paar karney ki daawat di,
iss par eik jamaat taiyar ho gaee
Aur uusney apney ghodey dariya me daal diye
Phir Hazrat S'aad (rd.) ne tamaam logon ko dariya me kood jaaney ka hukm diya.
iss par tamaam log dariya e Dajlah me apney ghodey ke sath kood padey,
Ghodey dariya me iss tarah chal rahey the jaisey zameen par ho,
Aur wo log dariya paar kartey huey aapas me iss tarah baatein kar rahey the,
Jis tarah zameen par chaltey huey kiya kartey hai
Halanki dariya bahot josh me tha.
iraaniyon ne jab ye manzar dekha toa gabhra gaey
Aur apna saaz w saamaan chhod kar bhaag nikley aur musalmano ko Allah ne fatah ataa ki.
Hazrat S'aad (rd.) ki wafaat san hijri 55 me huee.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
Aap Sallallahu alaihi w sallam ne Hazrat S'aad ke haq me duaa farmaai:
Aey Allah !
S'aad ki duaaein qubul farma.
(iss ka asar ye huwa ke Hazrat S'aad (rd.) jo duaa maangtey the wo qubul ho jati thi)
(Tirmizi-3751)
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
🅾♦🅾
(401)
Comments
Post a Comment