HIDAYAT KE CHIRAGH
๐ถ ๏ทฝ ๐ถ
๐ (0378) ๐
๐๐๐๐๐
01-zil Hajjah-1437
04-Septembr-2016
๐๐๐๐๐
๐ HIDAYAT ๐
๐ KE ๐
๐ CHIRAGH ๐
๐๐๐๐๐
Hazrat Ayaas bin Salma apney waalid (Hazrat Salma) se naqal kartey hai ke unho ne (yani uun ke waalid ne) kaha:
Eik martaba Hazrat umar bin Khattab (rd.) bazar se guzrey,
uun ke hath me koda (เคเฅเฅเคพ) bhi tha,
unho ne aahista se wo koda mujhey maara,
Jo merey kapdey ke kinarey ko lag gaya,
Aur Hazrat umar (rd.) ne farmaya:
Raastey se hat jaao.
Jab agla saal aaya toa Hazrat Umar (rd.) ki mujh se mulaqat huee,
Aur mujh se kaha:
Aey salma !
Kya tumhara hajj ka iraadah he ?
Mainey kaha:
Jee haan.
Phir Hazrat Umar (rd.) mera hath pakad kar mujhey apney ghar ley gaey.
Aur mujhey 600 dirham diye aur kaha:
issey apney hajj ke safar me kaam me ley lena
Aur ye uus halkey kodey ke badley me hai jo mainey tum ko maara tha.
Mainey kaha:
Aey Amirul muamenin !
Mujhey toa wo koda yaad bhi nahi raha.
Hazrat Umar (rd.) ne farmaya:
Lekin mai toa uusey nahi bhula,
Yaani mainey maar toa diya
Lekin saara saal khatkta raha.
๐น๐น๐น๐น๐น
HAYATUS SAHABA
JILD-2
Safar-145
๐๐๐๐๐
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
โฆ๐
พโฆ
(BM-1/35)
Comments
Post a Comment