BANI ISRAEEL
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0381) 💐
💌💌💌💌💌
04-zil Hajjah-1437
07-Septembr-2016
💌💌💌💌💌
💝 BANI 💝
🍄 ISRAEEL 🍄
💌💌💌💌💌
Bani israeel ka lafz Quraan e kareem me taqriban 40 martaba aaya he.
israeel Hazrat yakub (A.S.) ka dusra naam he.
uun ke 12 farzandon se jo nasal chali uunhey Bani israeel kaha jata he
uun ka mazhab yahudiyyat tha
Mazhabi aur qoumi eatebaar se tarikh me uun ki badi ahmiyat he
Taqriban 2000 saal tak uun ke andar ambiya w mursalin paida hotey rahey
aur dunyawi taraqqiyan bhi uunhey sadiyon tak haasil hoti rahi.
Hazrat Dawood w Sulaiman (A.S.) jaisey Allah ke rasul aur azeem saltanat w hukumat waley baadshah aur Hazrat Yusuf (A.S.) jaisey jalilul qadr nabi aur shah e misr isee qoum me paida huey
Deen e islam ke zaahir honey tak ye log apney watan Shaam se nikl kar iraq, misr, Hijaz aur uus ke atraaf pheil chukey the,
Khaas tour par Madinah Munawwarah ke ird-gird uun ki aabadiyan thi,
Ye log badey maaldar aur tijarat me mahir samjhey jaatey the
Allah T'aala ne Quraan e kareem me baar baar inn par apney khususi in'aamat ka tazkirah farmaya he,
Saath hi inn ki bad'aamali, bad'ohdi, musalmano aur Allah ke paigmbaron ke saath bad'suluki aur dusri bahot si buraiyon ka zikr kiya he
aur uunhey apni haalat durust karney ka hukm diya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(079)
Comments
Post a Comment