ALLAH SE MUHOBBAT
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0390) 💐
💌💌💌💌💌
13-zil Hajjah-1437
16-Septembr-2016
💌💌💌💌💌
ALLAH
🍂 SE 🍂
🌻MUHABBAT🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne deikha ke Hazrat Aa'eesha siddiqa (Rd.) beithi huee dirham (paisey) dho rahi he
Rasulullah sallallahu alaihi w sallam hairaan huvey aur farmaya :
Humaira !
jawab diya,
Labbaik ya Rasulallah (sallallahu alaihi w sallam)
Aap sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Ye kya kar rahi ho ?
Hazrat Aa'eesha siddiq (Rd.)ne arz kiya:
Aey Allah ke Nabi ! mai dirham dho rahi hun,
Farmaya:
Kis liye ?
Jawab me arz kiya:
Aey Allah ke Nabi ! mainey aap ki zubaan mubarak se ye baat suni he ke
jab Allah ke rastey me kharch karney wala kisi sa'eel (mangney wale) ko deita he toa wo paisey sa'eel ke hath me pahuchney se pehley Allah T'aala ke hath me pahuch jatey hai,
Jab se mainey ye baat suni he mai sadqa uun paiso ka deity hun jinko pehley se dho leity hun taaki merey Allah ke hath me paak aur saaf maal pahuch jaey.
🍂🌻🍂
Allahu akbar,
ye he muhabbat,
deikhiye
jis se muhabbat hoti he toa usko phulon ki tokri bhi bhejta he toa gift-pack kar ke bhejta he
Mangni aur Eid par agar biscuit ka dibba ho toa usko bhi gift-pack bhejtey hai
Allah waley bhi isee tarah jab
Allah Rabbul izzat ki ibadat kartey hai toa wo bhi apni namazon ko muhabbat ke gilaaf me pack kar ke Allah ke huzur me bhej rahey hotey hai.
🔹🔹🔹🔹🔹
TAMANNA E DIL
safah-51
Hazrat Peer Zulfiqar Naqshbandi D.B.
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
Comments
Post a Comment