RAMAZAN KE AAKHRI JUMA KE BAARE ME EK GALAT HADEES KI TARDEED
*🔴 RAMAZAN KE AAKHRI JUMA KE BAARE ME EK GALAT HADEES KI TARDEED 🔴*
⭕ Pichhle kuchh saalo se Jaise hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social media me aik galat aur juthi hadees badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa hai ki
🚫 "Jis aadmi ki zindagi me bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski ta'dad bhi na maalum ho to agar wo ramazan ke aakhri jumuah ko 4 ra'kat qaza e umri ki niyyat se parh le aur usme ye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichli qazaa namazo ka kaffarah ho jayega....🚫"
👆🏿Awwal to yeh baat masail k aitibaar se bilkul durust nahin hai kyunki qazaa namazo ko pura parhna bilkul zaruri hai,
Neez is hadees ke baare me Ulama e hadees ke aqwaal bhi dekh le:
قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: "حديث من قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمره إلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً........
(الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)
Hazrat Allahma Abdul Hai lucknowi rahmatulahi alayhi farmate hai ki Mulla Ali Qari Rh. ne use bilkul batil aur juthi likha hai,
وقال الشيخ الشوكاني: "حديث من صلى في آخر جمعة من رمضان الخمس الصلوات المفروضة في اليوم الليلة قضت عنه ما أخل به من صلاة سنته.
هذا: موضوع لا إشكال فيه ولم أجده في شيء من الكتب التي جمع مصنفوها فيها الأحاديث الموضوعة.........
(الفوائد المجموعة ص 54)
Allahma shawkani rh. farmate hai ki yeh hadees aikdam-bilkul juthi hai jisme koi shak nahin,muje un kitabo me bhi nahin mili jisme mouzu (juthi) ahaadees ko jama kiya gaya hai.
Khulasah e kalaam yeh ki yeh bilkul juthi hadees hai lihaza
1. Aisi hadiso ko social media me failane se bachna chahiye warna Aap صلی الله عليه وسلم ki is riwayat ka hum bhi misdaq ban jayenge ki
(من كذب علي متعمداً فليتبوأ مقعده من النار)رواه البخاري
"Jisne meri jaanib jaan bujh ker juthi baat (hadis) mansub ki wo apna thhikana jahannum me bana le"
2. Deen ki koi bhi baat kisi muatabar aalime deen se puchhe bina social media me hargiz na felaye.
*Allah taala hame deen ki sahih samajh ataa farmaye.*
Jazakallahu khairan 💐
✏By (Shaikhul hadees) Hazrat Mufti Khalil Ahmed Kawiwala db
✒Tasdeeq: Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
📽http://youtube.com/Islamicgroup
💻 http://www.aajkasawal.page.tl
📲 https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
Comments
Post a Comment