Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 27
🌙🌙🌙
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*
PART— 27
Ramzan ke Baad Zindagi Kese Guzare,
Jab Ramzan Nizamul Avqaat ki nekiyo ki pabandi ke saath guzrega to in sha Allah ta’ala poora saal Allah ki madad, nusrat aur tofeeq ke saath guzrega,
Ramzan me Aap har aitbar se Taqwa akhtyar karo yani har burai se chahe jahiri ho ya baatini, bach jao, Allah poore saal taqwa se guzarne ki tofeeq dega,
Tauba istigfaar kasrat se karo,
Israaaf se bacho, aam tor per dekha jata he k Ramzan me israafe ta’aam aur ifraate naum me log zyada mubtila hote hai, yani zyada khana aur zyada sona,,
→ ab jahiri baat he jab zyada khakar aur sokar Ramzan guzrega to poora saal be-barkati wala hi hoga,
⇨ Ramdhan ke baad Pabandi kare:-
★ Farz Namazo ki pabandi ba-jama’at kare,,
★ Namaze vitr ki pabandi kare,,
★ Sunnan Mokada ka ahatmam kare,,
★ Qurane paak ki tilawat ki pabandi kare,,
★ Halaal rizq per guzara kare,,
★ Deen khud bhi seekhe apne maathato ko, bachcho ko bhi Deeni taleem aur tarbiyat dene ka ahatmam kare,
★ Allah ke Deen ki mehnat kare, apne jaan, maal or waqt ki tarteeb banaye,
↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 18
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ *◆ Alhamdulillah Mukammal ◆*
Comments
Post a Comment