Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 26
🌙🌙🌙
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*
PART— 26
(Subeh se Shaam Tak Ke Amaal)
☆ Sone se Pehle Nafs ka Muhasba kijiye,
⇨⇨ Apne Nafs se Puchhiye:
✾ 1- Ay nafs ! Kya tune aaj mahaz Allah ke liye sadqa khairat kiya,
✾ 2- Ay nafs ! Kya tune aaj kisi insaan ko nafa pahunchaya,
✾ 3- Ay nafs ! Kya tune aaj Silah Rahmi ki,
✾ 4- Ay nafs ! Kya tune aaj koi Deen ki baat sikhi,
✾ 5- Ay nafs ! Kya tune aaj Amr bil ma’aroof nahi Anil munkar (Bhalai ka hukm aur Buarai se rokna) kiya,
✾ 6- Ay nafs ! Kya tune apne aapko geebat, jhoot, aur digar gunaho se bachaya,
✾ 7- Ay nafs ! Kya tu badnazri se bacha raha,
✾ 8- Ay nafs ! Kya tune tamaam Namaze aur Mamulaat pure kar liye,
⇒ Jab nafs kahe Haa’n to ” Alhamdulillah, ” padhte hue so jaiye,
Aur agar nafs inkaar kare to ” istigfaar ” karte hue Aainda karne ki niyat karke so jaiye,
*⊙ KHULASA ⊙*
● Khulasa ye he k Ramzan ki koi ghadi besood na guzarne de aur baar baar Allah ki ibaadat aur makhlooq ki khidmat me apne aapko lagaye rakhe,
◆ Agar hum is tarah Ramzan guzarenge to fir dekhiye k kya inqlaab barpa hota he,
*_ Ramzanul Mubarak Kï Khaas Duao'n me is Gunahgar ko bhi Zaroor Yaad rakhiye ,Allah Apni Rahmat Se mujhe Bhi bakhsh de ,
↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 26
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 27, Soon inSha Allah
Comments
Post a Comment