BIKHRE MOTI_389

http://www.bikhremoti.hpage.com

✨💓✨💓✨💓✨💓✨
  ✨💓BIKHRE MOTI💓✨
✨💓✨💓✨💓✨💓✨
┊  ┊  ┊  🌟
┊  ┊  🌟
┊  🌟
🌟
👌🏻 389

🌟NABI ﷺ KE GHAR KA ZAAHIDAANA MAAHOL🌟

🔹Fakro zabuhaali us waqt bhi qaayim rahi jab Aap ﷺ ke paas maalo daulat ke dher aakar lagne lage the,

🔹Jis din maal aataa, Aap us waqt tak ghar ke ander tashrif na le jaate jab tak woh taksim na ho jata,

🔹Fidak se kuchh galla anaaj aaya, Haz. Bilal rd. ne woh bech kar woh karz adaa kiya jo ek yahudi se Aap ﷺ ne kisi deenee zarurat ke liye liya tha,

🔹Aap ﷺ ne Haz. Bilal rd. se (jo gharelu umoor ki nigrani karte the) puchha : ke kuchh bachaa to nahin ?

🔹Unhone kaha : kuch bach rahaa hai,

🔹Farmaya : jab tak kuch bachaa rahegaa me ghar ke andar nahin jaa sakta,

🔹Unhone arz kiya : Allah ke Rasul ﷺ kyaa karu ? Koi saaeel bhi to nahin,

🔹Magar Aap ﷺ ne raat masjid me hi basar ki,

🔹Dursre din Haz. Bilal rd. Ne khabar di : Allah ke Rasul ﷺ Allah ne aap ko subukdosh kar diya, yaani jo kuchh tha woh taksim kar diya gayaa,

🔹Aap ﷺ ne Khuda ka shukr adaa kiya aur fir ghar ke andar gaye.

📗Abu Dawood

                                 (الله اكبر)
🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟

Comments

Popular posts from this blog

30 Valuable Guidelines For Welcoming The Blessed Month Of Ramadhan (Part 5)

30 Valuable Guidelines For Welcoming The Blessed Month Of Ramadhan (Part 3)

30 Valuable Guidelines For Welcoming The Blessed Month Of Ramadhan (Part 4)