Parda Part_2
▫▪▫▪▫▪▫▪▫▪
⚪ Bismillahirrahmanirrahim ⚪
PRDA
▪ PART-2 ▪
⚪ Jin mehramo se parda nahi unse bila- takalluf guftgu karne ki ijatzat he lekin hansi mazaak karne ki apne mehram ke saath bhi ijazat nahi,
⚫ Aurat ka bager jaroorat bazaar me Jana jayaz nahi or mardo ke samne chehra kholne ki bhi ijazat nahi, agar bazaar jane ki jaroorat ho to ghar se nikalne ke baad ghar aane tak parde ki pabandi laajim he, jisme chehra dhakna bhi laajim he,
⚪Ajnabi na- mehramo se chardiwari ka parda he, na- mehram agar rishtedar ho or aurat saamne Jane per majboor ho to chadar ka parda laajim he,
Chachazaad, khalazaad, Fufizaad, Mamuzaad bhai, Behnoi ya Dever isi hukm me dakhil hai,
⚫ Mard ki Raane or ghutne Satar me shumar he inko aam jagah per kholna jayaz nahi,
Aajkal mard bhi esa libaas pehan kar ghoomte firte hai, k unki Raane or ghutne saaf nazar aate hai, ye najayaz or gunaah he,
⚪ Surah Annoor me mardo ko bhi nazar nichi rakhne ka hukm diya gaya he,
⚫ Jis ladki se rishta hona ho use ek nazar dekhna jayaz he,
⚪ Mard ka nange sar firna insani murawwat or sharafat ke khilaf he or Aurat ke liye gunahe kabira he,
��ontinue in sha Allah ta'ala
�� Aapke Masayal or unka Hal,,,,
�� JILD 8, Safa 33,,,
Talibe Dua,,,
Comments
Post a Comment