Parda - 3

▫▪▫▪▫▪▫▪▫▪
⚪ Bismillahirrahmanirrahim ⚪

 PARDA 
▪ PART-3 ▪

⚪ Ajnabi na-mehram se haath milana najayaz he,

⚫ T V ke Deeni Programs me Aurto ka gair mehram ke saath saamne bethna islam me to najayaz he, lekin shayad T V walo ka islaam kuchh mukhtalif ho? ?

 Jayaz kaam ke liye najayaz cheej ka istemal kisi bhi Surat me jayaz nahi,, isliye T V ka istemal Deeni Programs ke liye najayaz he,

⚪Nabalig ladki ko parda karwana maa baap ki jimmedari he,

⚫ Aurat ki awaaz bhi shar'an Satar he, gair mardo ko uska sunna or sunana jayaz nahi, khususan jabki mojibe fitna ho,

 Aurto ka Jalso me vaaz nasihat karna, Naate kalam pesh karna,is hukm me dakhil he, muntzim, sunne wale, sunane wale sabhi gunahgar he, or Hujoor Sallallahu Alaihivasallam ki naraazgi or bad- dua ke mustahik he,

 Jadeed waqt me Aurto ka mobile per mardo se baat karna bhi fitna he,,

⚪ Asal to yahi he k Aurat bazaar na jaye lekin jaroorat ke waqt parde ki pabandi ke saath kharid farokht kar sakti he, magar na- mehramo ke saath awaaz me lachak paida na ho, sakhti ho,

��ontinue in sha Allah ta'ala 

�� Aapke Masayal or unka Hal,,,,,
�� JILD-8, Safa no. 43,,,,

                Talibe Dua,,,,

Comments