GUZWA E TABUK

🔶      ﷽    🔶
💐    (0346)   💐
💌💌💌💌💌
28-shavval- 1437
03 -August- 2016
💌💌💌💌💌
   GAZWA  
🍂         E       🍂
🌋   TABUK    🌋
💌💌💌💌💌
Fatah Makkah ke baad purey arab me islami daawat w tabligh ki asal haqiqat waze'a ho gayee aur log islam me jok dr jok daakhil honey lagey,
Aisey mouqey par Rumee hukumat ne apney liye khatrah mehsus kartey huwey Madinah par hamley ka iraadah kar liya aur uski taiyariyan shuru kar dee,
Shaam se aaney waley eik qaafley ne musalmano ko iski ittila'a dee,
Room ki saltanat aadhi duniya par hukumat karti thi,
aur uus zamaney me sab se badee taaqat shumar hoti thi,
isliye musalman bahot pareshan the,
eik taraf
sazo-saamaan ki kamee ki haalat aur arab ki sakht garmi zoron par thi
aur dusri taraf dur-daraaz ka safar tha
Magar khaamosh beithna bhi kisi tarah munasib nahi tha,
Chunanchey Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne jang ki taiyari ka e'alaan kar diya aur maah e Rajab san hijri 9 me 30,000 ke lashkar ko lekar Aap sallallahu alaihi w sallam Tabuk ke liye rawaana huwey,
Musalmano ke iss dileraana aqdaam ki wajah se Roomiyon par bada asar huwa aur unho ne hamla karney ka iraadah chhod diya
aur bahot saarey qabiley ke sardaaron ne sulah karli,
Yahan eik maah qayaam karney ke baad Rasulullah sallallahu alaihi w sallam bagair jang kiye fatahmandi ke saath Madinah waapas ho gaye,
Ye Aap sallallahu alaihi w sallam ki zindagi mubarak ka aakhri gazwah tha.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH

DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦
(335)

Comments