ALLAH KI QUDRAT 2
💌💌💌💌💌💌💌💌💌
ALLAH KI QUDRAT
💌💌💌💌💌💌💌💌💌
Paani Allah T'aala ki badi neamat he, jis par sab jandaron ki zindagi ka daaro madaar he, Agar zameen se paani khatm ho jaey toa zameen se insaan, haiwaan, hatta ke peid poudhey sab khatm ho jaey, Lekin ye Allah T'aala ki bahot badi qudrat he ke jisney samandron ki shakl me paani ka bahot bada zakhirah jama kar rakha he, Phir wahaan se baadlon ki shakl me paani ko uutha kar sukhi zameen ki taraf barsaata he aur phir isee paani ko zameen ke andar zakhirey ke tor par jama kar deita he, jis se peid poudho ko paani milta he
jisey insaan khud peeta he
aur kheitiyan seiraab hoti he.
Allah T'aala ne apni makhluq ke liye kitna azeem nizaam banaya he.
🔹🔹🔹🔹🔹
SUB'HANALLAH
Comments
Post a Comment