ISHQ E ILAAHI
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0249) 💐
💌💌💌💌💌
19-J.Aakhar-1437
29 - March - 2016
💌💌💌💌💌
🌻 ISHQ 🌻
🍄 E 🍄
💝 ILAAHI 💝
💌💌💌💌💌
saiyidah Zinnirah (rd.) eik sahaabiyah he,
jo Abu Jahal ki khaadima thi,
aap (rd.) ne kalimah padh liya tha,
iss baat ka Abu jahal ko pata chal gaya,
uus ne puchha:
Kya tuney kalimah padh liya ?
Farmaya: Haan
aap (rd.) badi umr ki thi,
Mashqqatein nahi uutha sakti thi,
Eik din Abu Jahal ne apney doston ko bulaaya,
aur Zinnirah (rd.) ko bula kar apney doston ke saamney maarna shuru kar diya,
lekin wo bardaasht karti rahi,
Kyun ki wo toa Allah T'aala ke naam par iss se bhi badi taklif bardaasht karney ke liye taiyaar thi.....
🔹🔹🔹🔹🔹
Baqi kal insha Allah
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
🅾♦🅾
Comments
Post a Comment