BIKHRE MOTI 400
http://www.bikhremoti.hpage.com
✨💓✨💓✨💓✨💓✨
✨💓BIKHRE MOTI💓✨
✨💓✨💓✨💓✨💓✨
┊ ┊ ┊ 🌟
┊ ┊ 🌟
┊ 🌟
🌟
👌🏻4⃣0⃣0⃣
✨EK NAV-MUSLIM AURAT KI AJEEB KAAR-GUZARI✨
(Msg 399 se aagey)
🔹 Abhi me parde me sirf sar aur gardan dhankti aur burqa pahenti, magar mujhe naqaab ki taraf tawazzoh huyi aur woh is liye ke meine dekha ke maghrib ki muslim aurton me naqaab ka riwaaj badhtaa jaa rahaa hai,
🔹Meine apne shauhar se (jin se islam qubul karne ke baad meine nikaah kar liya tha) mashwerah kiya, unki raay thi ke chehra dhankna yane naqaab afzal hai, laazmi nahin, albatta hijaab ya'ani chehre ke alaawah jism dhankna laazim hai,
🔹Abhi tak mera pardah yeh tha ke sirf hath aur chehre ko chhod kar mera puraa jism dhakaa hua hota tha, me ek scarf aur ek dhila lamba gown istemal karti, dedh saal isi tarah guzra,
🔹Fir meine apne shauhar se kahaa ke me chehra bhi dhankna chahti hun, is liye ke mujhe lagta hai ke yeh mere Allah ko ziyaadah raazi karne wala amal hogaa,
🔹Woh mujhe ek dukan par le gaye jahaan meine ek arbi burqa jo sar se paanv tak sab kuchh dhaank detaa hai kharida, jisme sirf aankhe khuli rehti hai, aur kuchh nahin,
🔹HidaayatYaabi ka yeh mera safar jaari tha ke khabren (news) aane shuru hue ke.... ... .. .
(Baaqi msg 401 me InshaAllah)
🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟
Comments
Post a Comment