BIKHRE MOTI 414
http://www.bikhremoti.hpage.com
✨💓✨💓✨💓✨💓✨
✨💓BIKHRE MOTI💓✨
✨💓✨💓✨💓✨💓✨
┊ ┊ ┊ 🌟
┊ ┊ 🌟
┊ 🌟
🌟
👌🏻414
✨KHWAB KI TA'ABIR SUBAH KI NAMAZ KE BAAD DENA✨
🔹Subah namaz ke baad hi khwab ki Ta'abir deni sunnat aur behtar hai,
🔹Chunanche imaam bukhari rh. ne sahih bukhari me ek baab qaeem kiya hai.
🔹Allama ayni rh. Ne umdatul qari me aur hafiz ibne Hajar ne fat'hul baari me likha hai ke suraj tulu'a hone se pehle khwab ki ta'abir deni mustahab hai,
🔹Namaze subah ke waqt khwab aur uski ta'abir is wajah se behtar hai ke, (subah ka waqt) raat ke kareeb hone ki wajah se khwab mehfuz hoga, taaza hone ki wajah se jahan (dimaag) se khwab ya uske ajza gaayab na hona, niz aur bhi dusri maslehaten hai.
🌟✨🌟✨🌟✨🌟✨🌟
Comments
Post a Comment