💎 Sadqa-e-Fitr ke Masail 💎

🌷Bismillaahirrahmanirrahim🌷
▫▫ ▪▪ ▫ ▪▪ ▫▫
💎 Sadqa-e-Fitr ke Masail 💎

⭐ Eid-ul-Fitr ke din jo sadqa gareebon ko dena waajib hai, use “Sadqa-e-Fitr” kehte hain.

💎 Sadqa-e-Fitr kis par Waajib hai?

⭐ Sadqa-e-Fitr har aise musalmaan mard aur aurat par waajib hai jo Eid-ul-Fitr ke din nisaabe Zakaat ka maalik ho ya us ke paas nisaab ki qeemat ke baqadr istemaal se zaaid kapde, bartan, furniture, zeb-o-zeenat aur aaraaish ka saamaan ya zaroorat se ziyaada makaan ya zameen ho, khwaah us par saal na guzra ho. (Shaami: 7/273, Baabu Sadqatil Fitr)

⭐ Masla: Jis shaks par Sadqa-e-Fitr waajib ho, woh apni taraf se aur apni naabaalig aulaad ki taraf se Sadqa-e-Fitr ada kare. (Shaami: 7/281, Baabu Sadqatil Fitr)

⭐ Masla: Agar zaroorat se zaaid makaan kiraaye par diya huwa ho aur us ke kiraaye par guzar auqaat ho to us ki wajah se Sadqa-e-Fitr waajib na hoga aur agar zarooriyaate Zindagi doosre zaraaye se haasil hojaati hon to us ki wajah se Sadqa-e-Fitr waajib hoga. (Shami: 7/238, 239, Baabu Masrafiz Zakaat) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐

Comments