MUNKIRAAT E RAMZAN* [PART— 06]
*
▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁
*Bismillahirrahmanirrahim*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*MUNKIRAAT E RAMZAN*
[PART— 06]
☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: —-
✾ 10- Khatme Taraveeh ke Din Masajido me decorations,
⇒ Khatme Taraveeh ke din masjido me decoration, Sajawat me fizool kharchi aur digar gair zaruri intezamaat me waqt ki barbadi ke saath saath muntazeem ki taraveeh tak tark ho jati he aur ibaadat ki taraf se aamtar tavajjah hatkar israaf me lag jati he,
Isliye is fizool ligting, Decorations, Sajawat vagera se bachna bhi behad zaruri he,
✾ 11- Takseem e Mithai aur Hadiya,
⇒ Khatme Taraveeh ke din takseeme Mithai aur Huffaaz kiraam ko Hadiya dene ke liye Jo aam chande ki soorat akhtyar ki jati he’n inme bahut saari kharabiya’n he,
◆ Kitne hi log Jabran naami ke khof se dete he’n, kitne hi log jinke paas maali intezam nahi hota lekin apni izzat rakhne ki khatir unhe apni aukaat se badkar hissa Lena padta he,
↳ Next -07, insha Allah ta’ala,
↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28
Comments
Post a Comment