Aitkaaf Ki Haalat me Jaa’iz Kaam
🕌⚡
┌╦═══════────────┐
│║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
└╩═══════────────┘
Aitkaaf Ki Haalat me Jaa’iz Kaam
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ 1- Khana peena ( Basharte k masjid ko ganda na kiya jaye )
❉ 2- Sona,
❉ 3- Zarurat ki baat karna,
❉ 4- Apna ya doosre ka Nikaah ya koi aur Aqd karna,
❉ 5- Kapde badalna,
❉ 6- Khushbu lagana,
❉ 7-Tail lagana,
❉ 8- Kanghi karna (Basharte k masjid ki chatai aur qaaleen vagera kharab na ho ),
❉ 9- Masjid me kisi mareej ka muaena karna, nuskha likhna ya dava dena, lekin ye kaam bager ujrat ke ho to jaa’iz he varna makrooh he,
❉ 10- Bartan dhona,
❉ 11- Zaruriyaat Zindgi ke liye khareed farokht karna Basharte k sauda masjid me na laya jaye,
❉ 12- Aurat ka Aitkaaf ki haalat me bachcho ko doodh pilana,
❉ 13- Moatkif ka apni nashishtgah ke ird gird chaadare lagana,
❉ 14- Moatkif ka masjid me apni jagah badalna,
❉ 15- Baqadre zarurat bistar, saabun, khane peene ke bartan, haath dhone ke bartan aur mutalaa ke liye deeni kitaabe masjid me rakhna,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
📚 Aitikaaf Course, (By - Maulana ilyaas Gumaan Sahab)
Comments
Post a Comment