*MUNKIRAAT E RAMZAN*
*
▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁
*Bismillahirrahmanirrahim*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*MUNKIRAAT E RAMZAN*
[PART— 05]
☆ Aam tor per Kuchh buraiya’n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he:-
✾ 9 – Dawat e Aftaar ka Rivaaj,
⇒ Dawate aftaar ab ye ibaadat ki shakl chhodkar rivaaj aur fashion ki shakl akhtyar kiye ja raha he,
✾ Dawat e Aftaar bahut achchha kaam he lekin iske saath kuchh kharji kharabiya’n esi shamil ho gayi he’n k Riyakaari, Dikhawapan,fizool kharchi ki Vajah se ye ibaadat dawate rehmani se mehroomi ka sabab saabit ho rahi he, Aftaar ibaadat Aftaar Parti hoti ja rahi he,
⇒ Jama’at chhot rahi he, kam se kam masjid ki jama’at to aftaar ki nazar ho hi jati he,
◆ Aftaar ke waqt Duao’n ka ahatmam nahi hota, Gairo ki shirkat hone lagi, Bepardgi, Besharmi aur digar kharabiyo ki vajah se Allah maaf kare baaz Dawate to shirkat ke laayaq bhi nahi hoti he’n,
↳ Next -06, insha Allah ta’ala,
↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28
Comments
Post a Comment