ISTIQBAAL E RASUL

🔶      ﷽    🔶
💐    (0282)   💐
💌💌💌💌💌
23 - Rajab - 1437
01 -  May  - 2016
💌💌💌💌💌
🌻ISTIQBAAL🌻
🍂        E        🍂
💜   RASUL    💜
(Sallallahu alaihi w sallam)
💌💌💌💌💌
Rasulullah sallallahu alaihi w sallam jab Makkah se hijrat kar ke Madinah aaey,
Toa yahaan ke logon ne Aap Sallallahu alaihi w sallam ka purjosh istiqbaal kiya,
Qooba se Madinah tak raastey ke dono jaanib sahaaba e kiraam (rd.) ki muqaddas jamaat saff bananey huey khadi thi.
Jab Aap Sallallahu alaihi w sallam Madinah me daakhil huey toa har qabiley aur khandan wala khwahishmand tha,
Aur har shakhs ki dili tamanna thi ke Huzur Sallallahu alaihi w sallam ki meizbaani ka sarf (izzat) hamein naseeb ho
Chunanchey Aap ki khidmat me uuntni ki nukeil pakad kar har eik arz karta ke
Mera ghar,
Mera maal,
Meri jaan
sab kuchh Aap ke liye haazir he.
Magar Aap Sallallahu alaihi w sallam unhein duaa e khair w barkat deitey aur farmatey:
uuntni ko chhod do!
Ye Allah ke hukm se chal rahi he,
Jahaan Allah ka hukm hoga waheen thehregi,
uuntni chal kar Hazrat Abu Aiyyub Ansaari (rd.) ke makaan ke saamney ruk gaee.
Hazrat Abu Aiyyub Ansaari (rd.) ne intehaai khushi aur masarrat ke aalam me uuntni ka kajaawa uthaya aur Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ko apney ghar ley gaey.
iss tarah Hazrat Abu Aiyyub Ansaari (rd.) ko Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ki meizbaani ka sarf haasil huwa,
Aap Sallallahu alaihi w sallam ne saat maah tak wahaan qayaam farmaya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
(249)

Comments