HIDAYAT KE CHIRAGH
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0275) 💐
💌💌💌💌💌
16 - Rajab - 1437
24 - April - 2016
💌💌💌💌💌
🌻 HIDAYAT 🌻
💜 KE 💜
🌋 CHIRAGH 🌋
💌💌💌💌💌
Hazrat Abdur Rahman bin Ouf (rd.) uun paanch (5) sahaba me hai
Jinho ne shuru zamaaney me Hazrat Abu Bakr (rd.) ki daawat par islam qubool kiya,
Hazrat Abdur Rahman bin Ouf (rd.) Rasulullah sallallahu alaihi w sallam se10 saal chhotey the,
30 saal ki umr me islam qubul kiya
unho ne Habsha aur Madinah dono jagah ki hijrat ki,
Ghazwa e Badr w Ohad aur tamaam ghazwaat me Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ke saath shareek rahey,
Aap ka shumaar uun10 sahaba me hota he,
Jin ko Nabi e kareem Sallallahu alaihi w sallam ne duniya hi me Jannat ki khush khabri sunaai thi,
Jab wo hijrat kar ke Madinah aaey the toa uun ke paas kuchh bhi nahi tha,
Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne uun ka bhaichara (भाईचारा) S'aad bin Rabeea Ansari (rd.) se Kiya tha
unho ne maali t'aawun (madad) ki peshkash ki toa Hazrat Abdur Rahman bin Ouf (rd.) ne inkaar kar diya,
Aur Madinah me tijaarat shuru kardi,
Jiski barkat se aap ka shumaar Madinah ke amirtareen logon me honey laga,
Hazrat Abdur Rahman bin Ouf (rd.) kasrat se Allah ke raastey me maal kharch kartey the,
Kabhi aap ne apney maal ka aadha hissa kharch kiya toa kabhi 40,000 (chaalis hazaar) Dinaar kharch kiye,
Aur kabhi 500 ghodey saaz w saamaan ke saath Allah ke raastey me diye
Aap ne 30 ghulaam eik hi waqt me aazaad kiye,
Aap ki wafaat Madinah Munawwrah me san Hijri 31 ko 75 saal ki umr me huee.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
🅾♦🅾
(397)
Comments
Post a Comment