Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat (Qist 2)
*🎊Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat*
*📝Qist 2*
*🍀7- Duaaon Ka Ma'mool :* Ramazaan-Ul-Mubaarak duaon ki qubooliyat ka maheena hai, lihaaza abhi se apne aapko lambi duaaon ka aadi banayein. Nez ye bhi zaroori hai ke Ramzaan se qabl Nabi-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam se manqool duaaon ke alfaaz zubaani yaad kiye jayein. Masnoon alfaaz par mushtamil duaaon mai taseer bhi zyaada hoti hai aur qubooliyat ka imkaan bhi zyaada hota hai.
*🍀8- Sadqa Karne Ki Aadat :* Waise to rozaana hi sadqa karte rehna chaahiye lekin Ramzaan ke liye Sha'baan ke maheene se hi rozaana kuch na kuch sadqa karne ki aadat daalein taake Ramzaan mai sakhaawat karna aasaan hojaaye.
Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhuma ke irshaad ka mafhoom hai ke Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam sab logon mai zyada sakhi the aur Ramzaan mai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sakhawat tez chalti khushgawaar hawa se bhi zyada hojaati. [Saheeh Bukhari]
*🍀9- Kasrat-e-Tilaawat Ka Ma'mool :* Ramazaan-Ul-Mubaarak nuzool-e-Qura'an ka maheena hai. Khush naseeb log is maah mai tilaawat ki kasrat ka ma'mool banaate hain. Lihaaza abhi se tilaawat-e-Qura'an ko zyada waqt dena shuru kardein. Qura'an-e-Paak sahi makhaarij ke saath aaraam aaraam se gunna madd waghaira ko achchi tarah adaa kar ke padhein, taake Ramzaan ki aamad tak aap kasrat se aur achchi tarah tilaawat karne ke aadi ban jaayein. Nez agar aap haafiz-e-Qura'an hain to abhi se Qura'an-e-Paak dohraana shuru kardein.
*🍀10- Shab Bedaari Ki Aadat :* Ramazaan-Ul-Mubaarak mai raaton ki ibaadat (taraweeh, tahajjud waghaira) ka dauraniya badh jaata hai. In ibaadaat ko achche andaz mai bila thakawat sar anjaam dene ke liye zaruri hai ke abhi se shab bedaari (muraad ibaadat ke liye raaton ko jaagne) aur nafli ibaadat ka aehtemaam karein aur apne badan ko ibadat ki kasrat ka aadi banayein taake Ramzaan ki raaton mai mushkil pesh na aaye.
*🍀11- Internet-o-Social Media Se Aehteraaz :* Ramzaan mai auqaat ki qadar daani badi aham hai. Aaj kal internet-o-social media waqt ke ziyaa' ka bada sabab ban rahe hain. Lihaaza Ramzaan se qabl unke istemaal ko khatm ya mahdood karne ki koshish karein.
*🍀12- T.V Se Aehteraaz :* T.V khurafaat ka majmoo'aa hai, lihaaza Ramzaan ki aamad se qabl usse jaan chudaane ki koshish karein. T.V par "Ramzaan Nashariyaat" ke naam par aksar programs ghair shara'ee aur makhloot hain.
Ek aadh deeni programme durust bhi hon to usey bunyaad bana kar T.V ke saamne waqt zaaye karna hosh mandi nahi kyunke deeni programmes mai aur unke dauran ishtehaarat mai moseeqi aur na mahram mard aur na mahram aurtein Ramzaan ki roohaaniyat khatm kar ke gunaah badhaane ke liye kaafi hen.
Aur T.V men tasweeren aati hain aur hadees mai hai ke jis ghar mai kutta ya tasweer ho us ghar mai rahmat ke farishte nahi aate! Aur phir us ghar mai ladaayi, jhagde, be barkati rehti hai.
{{…Jaari…}}
*🎉Pesh Kash : Sisters In Islam Group*
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
*⛔Subscribe Islamic Group Channel:*
www.Youtube.com/IslamicGroup
*📲 Download App:* goo.gl/wqABfs
Comments
Post a Comment