Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat (Qist 3)
*🎊Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat*
*📝Qist 3*
*🍀13- Ramazaan Se Pahle Khareedaari Karlen :* Ramazaan-Ul-Mubaarak ibaadaat ka maheena hai, shopping-o-khareedaari ka nahi. Nez Ramzaan mai rush aur mahengaayi ki wajah se waqt aur paisa zaaye' hote hain. Lihaaza Ramzaan ki aamad se qabl Sha'ban mai hi Eid ki shopping mukammal karlein aur ahl-e-khaana (ghaar waalon) ko bhi ye baat samjhaaen.
*🍀14- Ramazaan Ke Liye Kaamon Ka Bojh Halka Rakhein :* Ghar mai koi ta'ameerati ya rang-o-roghan ka kaam karwaana ho ya machine waghaira ki marammat ho ya gadi sawaari ka koi lamba aur pecheeda kaam ho, isi tarah daftar-o-kaarkhaanon ke mehnat talb project hon to unhein Ramazaan-Ul-Mubaarak se pehle pehle nimtaane ki koshish karein.
*🍀15- Nizaam-ul-Auqaat Tarteeb Dein :* Ramzaan se qabl apna nizaam-ul-auqaat murattab karein, jismen subah uth kar tahajjud, zikr-o-azkaar, duaaen sehri, namaazen, naflen aur tilaawat se lekar iftaari, taraweeh-o-deegar ma'moolaat tak ke liye munaasib waqt muta'ayyan ho aur neend, aaraam aur ghar aur daftar wagaira ke kaamon ki bhi ri'aayat rakhi jaaye.
*🍀16- Naukar, Khaadim Aur Mulaazim Par Kaamon Ka Bojh Halka Karein :* Ramzaan ki aamad se qabl naukar-o-mulaazimeen se mehnat talb aur mushkil kaam karwaa lein taake roze ki haalat mai mulaazimeen par kaam ka bojh halka rahe.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya : "Jo shakhs Ramzaan ke maheene mai apne ghulaam ke bojh ko halka karde to Allah Ta'ala uski maghfirat farmaate hain aur usey aag se aazadi ataa farmaate hain. [Mishkaat]
*🍀17- Umrah Ki Tarteeb Banayein :* Ramzaan mai umrah ka sawaab hajj ke barabar hai. Saahib-e-sarwat log abhi se umrah ki tarteeb banaaen. Isi tarah Masjid-e-Haraam aur Masjid-e-Nabawi mai aetekaaf aur namaazon ka sawaab deegar masaajid se bohat zyaada hai. Sawaab haasil karne ki abhi se koshish aur dua karein.
*🍀18- Aadmi Zyaada Se Zyada Waqt Masjid Meb Guzaarein :* Umooman hamaara dil masjid men nahi lagta. Lihaaza abhi se namaazon ke baad kuch der masjid men nafli aetekaaf ki niyat se thehren aur masjid mai dil laagaane ki mashq karein taake Ramzaan ke aakhri ashre ke masnoon aetekaaf men bethna aasaan hojaaye.
{{…Jaari…}}
*💐Pesh Kash : Sisters In Islam Group*
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
*⛔Subscribe Islamic Group Channel:*
www.Youtube.com/IslamicGroup
*📲 Download App:* goo.gl/wqABfs
Comments
Post a Comment