Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat (Qist 1)

*🎊Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat🎊*

*📝Qist 1*

📜Ulamaa-e-Kiraam ne Ramazaan-Ul-Mubaarak ke isteqbaal aur taiyyari ke liye bohat si aham hidayaat aur tajaweez bayaan farmayi hain jinka khulasa 30 aham hidaayaat ki shakal mai hai. Samajhne, amal karne mai aasani ki gharz se in 30 mai se rozaana 6 hidaayaat qistwaar aapki khidmat mai pesh ki jaa rahi hain.

*🍀1- Faraiz-o-Waajibaat Ki Adaaegi Aur Tauba-o-Astaghfaar :* Aamad-e-Ramzaan se qabl faraaiz-o-wajibaat ki adaayegi ka aehtemaam karein. Agar apke zimme qaza namazein ya roze hon to adaayegi ki tarteeb banayein. Saabiqa (pichli) zindagi ki tamaam laghzishon par sachchi tauba karein, dil ko gunaahon aur bure khayalaat se paak karein. Aankh, kaan, zubaan, haath, paaon aur dil-o-dimaagh gharz jism ke kisi bhi hisse se saadir hone waale gunaah par pakki tauba karein taake aap gunaahon se paak hokar Ramazaan-Ul-Mubaarak ka isteqbaal karein.

*🍀2- Ramazaan-Ul-Mubarak Ke Masaail Seekhein Aur Sikhaaen :* Namaaz, roza, taraweeh, saqda-tul-fitr, zakaat, aetekaaf aur deegar ahkamaat abhi se seekhein aur sikhaaen.

*🍀3- Apne Nafs Ko Taqwa Ka Paaband Banaaen :* Allah Paak se darne aur gunaahon se khud bhi bachne aur dusron ko bhi bachaane ko taqwa kehte hain. Apne nafs ko abhi se taqwa ka paaband banayein, kyunke Ramzaan taqwa ki amali tarbiyat gaah hai aur Allah Ta'ala ne Ramzaan mai rozon ki farziyat ka aham maqsad "taqwa aur parhezgaari ka husool" bataaya hai. [Sura-tul-Baqarah]

*🍀4- Sila Rahmi Men Jaldi Karein :* Qata rahmi ya'ani rishte todna bohat bada gunaah hai. Qata rahmi ki wajah se duaaen qubool nahi hotein. Lihaaza Ramzaan aane se qabl iss sangeen gunaah se tauba karein aur rishte daaron se maafi mangein aur sila rahmi karein. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshaad hai : "Asal sila rahmi karne waala wo hai ke jab uske saath qata rahmi (ya'ani rishte todne) ka mu'aamla kiya jaye tab bhi wo sila rahmi kare. (Ya'ani rishte jode)" [Saheeh Bukhari]

*🍀5- Dil Saaf Karein :* Hamaara dil nafrat, jazba-e-intiqaam, hasad aur gheebat ki aag mai jalta rehta hai. Dil mai nafrat aur keena rakhne waale ki Allah maghfirat nahi karte. Lihaaza Ramzaan aane se qabl apne dil ko in fuzool masrufiyaat se faarigh kar ke khaalis ibaadat ki taraf isey mutawajja karein. Sab se dil se maafi mangein aur sabko dil se maaf kardein.

Sahaaba-e-Kiraam Razi Allahu Anhum Ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha : Dil ke saaf hone se kya muraad hai? Aap ne farmaaya : "Wo muttaqi aur saaf suthra dil jismai na gunah ho na baghawat, na hi keena ho aur na kisi ke baare mai hasad." [Sunan Ibne Maaja]

*🍀6- Guzhishta Rozon Ki Qaza :* Guzishta saalon ke roze agar kisi shara'ee uzr se rah gaye hon to Ramzaan aane se pehle unki qaza karlein taake Ramzaan shuru hone se qabl guzishta Ramzaan ke rozon ka hisaab be baaq (mukammal) hojaye.

{{…Jaari…}}

*🎉Pesh Kash : Sisters In Islam Group*
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -​
*⛔Subscribe Islamic Group Channel:​*
   www.Youtube.com/IslamicGroup
*​📲 Download App:​​* goo.gl/wqABfs

Comments