Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat (Qist 5)
*🎊Ramazaan-Ul-Mubaarak Ke Isteqbaal Ke Liye 30 Aham Hidaayaat*
*📝Qist 5*
*🍀25- Maali Huqooq Se Mutalliq Masaail Seekhen :* Aam taur par Ramzaan men maali huqooq jaise zakaat, nazar, sadqa-tul-fitr waghaira ki adaaegi ki jaati hai. Lihaaza zaroori hai ke inse mutalliq tafseeli ahkamaat pehle se ma'aloom karliye jaaen. Isi tarah jo maali huqooq zimme mai hon, jaise biwi ka maher ya kisi ka qarz waghaira, aur adaa karne ki salaahiyat bhi ho to Ramzaan se pehle adaa karlen.
*Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya :* Maaldaar aadmi ka qarz ki adaaegi mai takheer karna zulm hai. [Saheeh Bukhari]
*🍀26- Raat Ko Jaldi Sone Ki Aadat Daalen :* Doston ki fuzool majaalis, gap shap ki mahaafil aur raat gaye tak sar anjaam di jaane waali sar garmiyon se aahista aahista kinaara kashi ikhtiyaar karen taake Ramzaan men Taraweeh ke fauran ba'ad bila taakheer so saken. Yaad Rakhen! Tahajjud aur sehri men hashshaash bashshaash uthne ka daaromadaar barwaqt sone par hai.
*🍀27- Bachchon Ko Roze Ki Aadat Daalen :* 7 saal ya usse bade bachchon ko roze ke hawaale se khususi targheeb dein aur unki zahen saazi karein taake Ramzaan mai unhen roze rakhne ki aadat pad jaye aur bachchon ke roze aapke liye sadqa-e-jaariya hon.
*🍀28- Iss Ramzaan Ko Guzishta Ramazaanon Se Mumtaaz Karen :* Kisi aesi ibaadat ki tarteeb banaaen jo aapke naama-e-aa'maal men iss Ramzaan ko guzishta Ramzaanon se mumtaaz karde.
Masalan : Teeswaan paarah zubaani yaad karlein, yaa Sura-e-Rahmaan, Sura-e-Yaaseen, Sura-e-Mulk, Sura-e-Alif Laam Meem Sajda wagera soorten zubaani achchi tajweed ke saath yaad karlen, yaa kisi yateem ko dhoond kar uski kifaalat ka bandobast (intezaam) karlen. Kisi jagah paani ki ashadd zaroorat ho to tube well, kunwaan ya thande paani ka plant lagwaa den, ya masjid-o-madaaris ke saath pur khuloos ta'awun karen ya mustahiq tulabaa ke liye feeson aur uniform wagera ka bandobast karlen, wagera wagera.
*🍀29- Maah-e-Sha'baan Ki Tareekhein Yaad Rakhein :* Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Sha'baan ki taareekhein yaad rakhne ka bohot zyaada aehtemaam farmaate.
*Ek Mauqe Par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya :* Ramazaan ke liye Sha'baan ke chaand (ki taareekhein) ginte raho. [Sunan-e-Tirmizi]
*🍀30- Duaaon Ka Aehtemaam Karen :* Ramazaan-Ul-Mubaarak ki tayyaari ke hawaale se darj baala hidaayaat-o-tajaaweez par amal aur dusron tak pohonchane ke saath saath Allah Ta'ala se Ramazaan-Ul-Mubaarak ki roohaaniyat-o-barakaat ke husool ke liye khusoosi dua maange, bil-khusoos iss dua ka aehtemaam farmaaen :
*💎اَللّٰھُمَّ بَارِکْ لَنَا فِیْ رَجَبَ وَشَعْبَانَ وَبَلِّغْنَا رَمَضَانَ۔*
*Tarjuma :* "Aye Allah! Hamaare liye Rajab aur Sha'baan ke maheenon mai barkat ataa farmaiyye aur hamen Ramzaan ke maheene tak pohoncha dijye."
{{…Khatm Shud…}}
*💐Pesh Kash : Sisters In Islam Group*
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
*⛔Subscribe Islamic Group Channel:*
www.Youtube.com/IslamicGroup
*📲 Download App:* goo.gl/wqABfs
Comments
Post a Comment