PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 121
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0589) 💐
💌💌💌💌💌
10 - Rajab - 1438
08 - April - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-121🌻
💌💌💌💌💌
Hunein Makkah aur Taif ke darmiyaan eik Wadi he
Fatah Makaan ke baad mulk Arab ke log jouq dar jouq islam ki sachchai ko deikh kar deen e haq qubul kar rahey the
Lekin iss mahol me bhi qabilah Hawaazin aur qabilah Saqeef ke mushrikin apni jangi taaqat par ghamand kartey huey islam aur musalmano ke khilaaf taqreeban 20,000 par mushtamil lashkar lekar muqabley ke liye nikal padey
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko jab iski khabar huee toa 10 Shawwal san hijri 8 me das hazaar musalmano ke sath maidaan me pahuchey.
iss mouqey par chand musalmano ki nigaah Allah se hat kar apni ta'adaad aur aslaha par chali gaee
aur ye baat zubaan se nikal gaee ke aaj hamaari taaqat ko koee shikast nahi de sakta.
Allah T'aala ko musalmano ki ye baat pasand na aai
isliye uun ki ibrat ke liye Allah T'aala ne shuru me uun ke qadam ukhaad diye.
aisi haalat me bhi Huzur Sallallahu alaihi wa sallam apni bahaduri ka muzahirah kar rahey the
uus waqt Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke isharey par Hazrat Abbas (rd.) ne musalmano ko aawaaz lagaai
Chunanchey aawaaz suntey hi musalman Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke ird gird (atraaf) jamaa ho gaey
Aur phir deikhtey hi deikhtey shikast fatah w nusrat me badal gaee.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(333)
Comments
Post a Comment