PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 124
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0593) 💐
💌💌💌💌💌
15 - Rajab - 1438
13 - April - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-124🌻
💌💌💌💌💌
Haj islam ke paanch arkaan me se eik rukun he
Jo san hijri 9 me farz kiya gaya
iss farizey ki adaaigi ke liye isee saal Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Bakr (rd.) ko ameer e haj banaya aur musalmano ko haj karaaney ki zimmedari supurd ki.
Hazrat Abu Bakr (rd.) Madinah se 300 aadmiyon ka qaaflah lekar haj ke liye rawaana huey
aur sath me qurbani ke liye 5 jaanvar bhi ley liye
Khud Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne bhi qurbani ke 20 jaanvaron ko gardan me qalaadah pehna kar sath me rawaana kiya
iskey baad Surah Bara'at ki aayaton ke e'alaan ke liye Hazrat Ali (rd.) ko rawaana kiya.
Jab sab log Meena me jamaa ho gaey Hazrat Ali (rd.) ne e'alaan farmaya:
Jannat me koee kafir dakhil nahi hoga aur iss saal ke baad koee mushrik haj nahi kar sakta
aur koee shakhs (jaahili rasm ke mutabiq) nanga hokar Tawaaf nahi kar sakta
Phir Surah Tawbah ki aayatein tilawat ki.
islam me ye pehla haj tha.
Jiskey ameer Hazrat Abu Bakr Siddiq (rd.) aur khateeb Hazrat Ali (rd.) the.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(339)
Comments
Post a Comment