PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 129
🔶 ﷽ 🔶
💐 (600) 💐
💌💌💌💌💌
22 - Rajab - 1438
20 - April - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-129🌻
💌💌💌💌💌
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam maah e safar san hijri 11 ko jannatul bakia me duaa e maghfirat ke liye tashreef ley gaey.
Waapasi par sar me dard aur bukhar ki haraarat shuru ho gaee.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne bimari ke aalam me azwaaj e mutahhraat se ijaazat ley kar Hazrat Aaisha (rd.) ke yahaan qayaam farma liya.
Aur bimari ki haalat me 11din tak imaamat kartey rahey.
Magar jun jun waqt guzarta gaya
marz badhta gaya
Hatta ke eik din tabiyat ziyadah nasaaz ho gaee
aur namaaz e isha ka waqt tha
Hazrat Abu Bakr (rd.) ko namaaz padhney ka hukm diya.
unho ne taqreeban 17 namaazein Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki maujudgi me padhai.
Eik din tabiyat kuchh sambhali toa Hazrat Ali (rd.) aur Hazrat Abbas (rd.) ke sahaarey namaaz e Zuhar ke liye tashreef laaey.
Hazrat Abu Bakr (rd.) namaaz padha rahey the
Aahat paa kar pichhey hatney lagey
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne hath ke isharey se manaa farmaya aur khud uun ki baaein taraf beith gaey.
Namaaz ke baad farmaya:
Allah T'aala ne apney bandey ko ikhtiyaar diya he ke chahey wo duniya ki neamaton ko qubul karley ya jo kuchh aakhirat me Allah ke paas he uus ko pasand karley.
Lekin uus bandey ne uun chizon ko qubul kar liya he jo Allah T'aala ke paas he.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(351)
Comments
Post a Comment