PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 128

🔶      ﷽      🔶
💐    (0598)     💐
💌💌💌💌💌
20 - Rajab  - 1438
18 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝    NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-128🌻
💌💌💌💌💌
Hajjtul widaa ke mouqey par jab deen ki takmeel ho gaee
aur purey arab me islam pheil gaya toa Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke haalat se andazah honey laga ke ab aakhirat ka safar honey wala he.
Chunanchey Aap Sallallahu alaihi wa sallam har saal Ramzan me das din ka eatikaaf kartey the.
iss saal 10 hijri san me bees din ka eatikaaf farmaya.
Har saal Jibraeel Amin ke sath eik martaba Quraan ka dour kartey the
iss Ramzan me do martaba dour farmaya.
Hajjtul Widah ke mouqey par Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne khutbah detey huey farmaya:
Shayad iss ke baad tum logon se mulaqaat na ho sakey.
Jamrah e ukbah ke paas kankari maartey huey hukm diya ke tum mujhsey Haj ke aamaal seikh lo.
iss se pehley jab Surah Bakarah naazil huee jis me Allah T'aala ki taraf se fatah w nusrat aur logon ke deen me dakhil honey ki khabar ke sath Allah ki hamd o sanaa aur Tawbah w istighfaar me mashghul honey ka hukm sunkar kar Aap Sallallahu alaihi wa sallam samajh gaey the ke Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko duniya se rukhsat honey ka waqt qareeb hota ja raha he.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam daaman e Ohad me tashreef ley gaey
wahaan shohda e Ohad ke liye duaa farmaai aur waapas aa kar khutbah me farmaya:
Logon mai tum se pehley Houz e Kawsar ko ja raha hun
wahaan me tumsey milunga
Mujhey tumharey baarey me sirf iss baat ka khouf he ke tum duniya me mashghul ho jao
aur duniya tumko pichhli qoumon ki tarah halaak kar daaley
Ye sab wo alaamaat aur nishaniyan he
Jin se maalum hota tha ke ab Aap Sallallahu alaihi wa sallam iss duniya se tashreef ley janey waley hai.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(349)

Comments