PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 125

🔶      ﷽      🔶
💐    (0595)     💐
💌💌💌💌💌
17 - Rajab  - 1438
15 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-125🌻
💌💌💌💌💌
Fatah Makkah ke baad jab purey arab me Mazhab e islam ki khubiyan achchhi tarah waazea ho gaee,
aur log fouj dar fouj shirk w bootparasti ko chhod kar islam qubul karney lagey,
toa ab waqt tha ke Huzur Sallallahu alaihi wa sallam khud amali tor par fariza e Haj ko anjaam dekar islam ke iss azeem rukn ki shaan o showkat aur uski adaaigi ke sahih tariqon ko bayaan farmaein aur shirk ki baaton aur jahaalat ki rasmon w aadaton se usey paak kardey.
Chunanchey Rasulullah ne Haj ka iradah kiya aur 25 ya 26 Zil Qadd san hijri 10 ko Zuhar ki namaaz ke baad Madinah Munawwrah se rawaana huey,
tamaam azwaaj e mutahhraat aur saiyidah Fatimah (rd.) Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath thi,
aur sahaaba e kiraam (rd.) eik laakh se zaaid (ziyadah) ki taadaad me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath sharik the,
Maqaam Zul Hulaifah me ghusl farma kar ehraam baandha,
4 Zil Hajjah ko itwaar ke din Makkah Mukarramah pahuchey
Sab se pehley Khana e Kaaba ka tawaaf kiya,
aur Safaa w Marwah ki sa'ee farmaai,
aur 8 Zil Hajjah se Haj ke arkaan ko adaa karna shuru farmaya,
Ye Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki mubarak zindagi ka aakhri Haj tha,
isee liye isko
'Hajjtul Vida'a'
kaha jata he.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(343)

Comments