PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 120

🔶      ﷽      🔶
💐    (0588)     💐
💌💌💌💌💌
08 - Rajab  - 1438
06 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-120🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Juma'a ki subah 21 Ramzanul Mubarak san hijri 8 ko das hazaar (10,000) sahaaba (rd.) ka azimusshaan lashkar lekar surah Fatah ki tilawat kartey huey faatehaana shaan se Makkah me dakhil huey
Ehley Makkah ne jo zulm w sitam 13 saal ke dowr me Huzur Sallallahu alaihi wa sallam aur sahaaba (rd.) par dhaaya tha
Aaj wo kuffar soch rahey the ke ham se har eik zulm ka badla liya jaega
Magar Rahmat e aalam Sallallahu alaihi wa sallam ke afuw w darguzar ka haal dekhiye ke jin dushmano ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko gaaliyan di thi
raastey me kaantey bichhaye the
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke jism mubarak par namaaz ki haalat me gandgi daali thi
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko diwaana aur paagal kaha tha
hatta ke mahboob watan Makkah chhodney par majboor kiya tha
aur hijrat ke baad bhi Madni zindagi me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath jang kartey rahey
aur qatl ki saazishein bhi kartey rahey.
Magar qurbaan jaaiyye Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki zaat e aqdas par ke Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne aisey tamaam zaalim dushmano ke haq aam muaafi ka ealaan farma diya.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke iss raham w karam ko deikh kar bahot se log islam me dakhil ho gaey
Mohsin e insaniyat ne apney jaani dushmano ke sath jis husney sulook achchhey akhlaaq aur raham w karam ka muaamla kiya
Duniya ki taarikh iski misaal peish nahi kar sakti.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(329)

Comments