PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 126

🔶      ﷽      🔶
💐    (0596)     💐
💌💌💌💌💌
18 - Rajab  - 1438
16 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝    NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-126🌻
💌💌💌💌💌
9 Zil Hajjah san hijri 10 me Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne maidaan e Arfaat me eik laakh se ziyadah sahaaba e kiraam (rd.) ke saamney aakhri khutbah diya.
Jo ilm o hikmat se bhara huwa tha.
iss me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:
Aey logon !
Meri baatein ghour se suno !
Shaayad aaindah saal meri tumsey mulaqat na ho sakey.
Logon tumhari jaanein izzat w aabru aur maal aapas me eik dusrey par haraam he.
Mainey zamaana e jaahiliyat ki tamaam rasmon ko apney pairon taley rond diya he.
Deikho merey baad gumraah na ho jaana ke eik dusrey ko qatl karney lago.
Mai tumharey liye Allah ki kitaab chhod kar ja raha hun.
Agar tum isko mazbuti se pakdey rahogey toa kabhi gumraah nahi hogey,
Tumhara aurton par aur aurton ka tum par haq he,
Kisi aurat ko apney shohar ke maal me se uus ki ijaazat ke bagair dena jaiz nahi,
Aur qarz waajibul adaa he,
Jo chiz maang kar li jaey usko lotaana zaruri he,
Aur zaamin taavaan ka zimmedar he.
Logon !
Kya mainey Allah ka paigaam tum tak pahucha diya ?
Sab ne jawaab diya:
Bila shuba Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne amaanat ka haq adaa kar diya
aur ummat ko khair khwahi ki nasihat farmaai.
Phir Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne aasmaan ki taraf ungali uutha kar teen martaba Allah T'aala ko gawaah banaya aur kaha:
Aey Allah ! Tu gawaah rehna,
Aey Allah ! Tu gawaah rehna,
Aey Allah ! Tu gawaah rehna.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(345)

Comments