PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 122

🔶      ﷽      🔶
💐    (0590)     💐
💌💌💌💌💌
11 - Rajab  - 1438
09 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-122🌻
💌💌💌💌💌
Fatah Makkah ke baad purey Arab me islami daawat w tabligh ki asal haqiqat vaaze'a ho gaee
aur log islam me jouq dar jouq dakhil honey lagey.
Aisey mouqey par Rumi hukumat ne apney liye khatrah mehsoos kartey huey Madinah par hamley ka iradah kar liya
aur uski taiyaariyan shuru kardi.
Shaam se aaney waley qafiley ne musalmano ko iski ittila'a di.
Rum ki saltanat aadhi duniya par hukumat karti thi
aur uus zamaaney me sab se badi taaqat shumaar hoti thi.
isliye musalman bahot pareshaan the.
Eik taraf be'sar w saamaani ki haalat aur arab ki sakht garmi zoron par thi
aur dusri taraf dur daraaz ka safar tha.
Magar khamosh beithna bhi kisi tarah munasib nahi tha.
Chunanchey Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne jang ki taiyaari ka e'alaan kar diya aur maah e Rajab san hijri 9 me tees hazaar ke lashkar ko lekar Aap Sallallahu alaihi wa sallam Tabuk ke liye rawaana huey.
Musalmano ke iss dilerana aqdaam ki wajah se Rumiyon par bada asar huwa
aur unhoney hamla karney ka iradah chhod diya
aur bahot saarey qabiley ke sardaron ne sulah karli.
Yahaan eik maah qayaam karney ke baad Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam bagair jang kiye fatahmandi ke sath Madinah waapas ho gaey.
Ye Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki zindagi mubarak ka aakhri ghazwah tha.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(335)

Comments