PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 123

🔶      ﷽      🔶
💐    (0591)     💐
💌💌💌💌💌
13 - Rajab  - 1438
11 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-123🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne jis ladaai me b'zaat  e khud shirkat farmaai he uus ko Ghazwaah kehtey hai
Aur jis ladaai me sirf sahaaba e kiraam (rd.) ko bheja gaya usko Sarya kehtey hai
Aap Sallallahu alaihi wa sallam hamesha dushmano ke sath sulah ke khwahishmand rehtey the
Musalmano ne kabhi bhi jang ki ibtida'a nahi ki.
Balke khud dushmano ne hamla kiya ya hamley ka iradah kiya
Toa musalmano ne uska hifaazati jawaab diya
islam ki tamaam jangein iss baat ki shahaadat ke liye kaafi hai.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke Ghazwaat ki taadaad 27 aur saraaya ki taadaad 43 he
Baaz muarrkhin (इतिहास लिखने वाले) ne dono ki taadaad 82 bataai he
inn tamaam jangon me musalman shaheedon ki taadaad 259 aur mukhalif maqtulin ki taadaad 759 he
Jinki majmuee taadaad  sirf 1018 he.
itni km taadaad me jaani nuqsaan honey ke baad purey arab se zulm o sitam qatl o ghaarat giri fitna o fasaad aur khana jangi ka khaatma ho kar aman o sukun ki aisi fiza qaaim ho gaee ke eik musaafir khatoon bekhouf w khatar tanha Hirah se lekar Baitullah ka Tawaaf kar leiti thi
Ye mazhab e ISLAM ki sachchaai uskey adl o insaaf aur a'ala akhlaaq ka sadqa aur Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki paakizah zindagi
Buland akhlaaq aur har eik ke sath husney sulook ka natija he
Jis par Makkah Mukarramah ki 13 saala zindagi bilkul waaze'a suboot he.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(337)

Comments