PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 127

🔶      ﷽      🔶
💐    (0597)     💐
💌💌💌💌💌
19 - Rajab  - 1438
17 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝    NABI    💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-127🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam par maidaan e Arfaat me Juma'a ke din Asr ke baad aakhri Haj ke mouqey par eik laakh se zaaid sahaaba e kiraam (rd.) ke darmiyaan Quraan ki aayat naazil huee.
Vahi ke bojh se Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki uuntni beith gaee.
iss me Allah T'aala ne khush khabri detey huey farmaya:
Aaj mainey tumharey liye tumhara deen mukammil kar diya
aur tum par apni neamat puri kardi
aur hamesha ke liye tumharey liye deen e islam ko pasand kar liya.
iss aayat me ealaan kar diya gaya ke islam hi eik aisa mazhab he
jo Qayamat tak aaney wali nasaley insaani ki hidayat aur rahbari aur duniya w aakhirat me kaamyaabi ki zmaanat dey sakta he.
iss ke alaawah duniya ka koee mazhab insaano ki najaat ka zariye aur Allah ke yahaan qabuliyat w kaamyaabi ka meayaar nahi ban sakta
iss liye ab Qayamat tak kisi Nabi ya Rasul aur naee kitaab w shariat ki bilkul zarurat nahi.
islam aakhri deen aur Huzur Sallallahu alaihi wa sallam aakhri Rasul he.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke baad koee Nabi nahi aaega.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(347)

Comments