PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 2
๐ถ ๏ทฝ ๐ถ
๐ (0469) ๐
๐๐๐๐๐
04- R.Awwal - 1438
04-December-2016
๐๐๐๐๐
๐ PYAREY ๐
๐ NABI. ๐
(Sallallahu alaihi wa sallam)
๐๐๐๐๐
๐ปMsg-no-02๐ป
๐๐๐๐๐
Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ki paidaish se pachaas (50) din pehley as'haab e feel ka waqiaa pesh aaya,
Yaman ka baadshah Abraha haathion ke eik badey lashkar ko lekar Baitullaah shareef ko dhaaney (todney) ke liye Makkah aaya,
Magar Allah T'aala ne uus purey lashkar ko tabaah kar ke Baitullaah ki hifazat farmaai,
Morrakhin (historians -tarikh likhney waley) ka bayaan he ke jis waqt Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam paida huey thik uusi waqt Kisra ke shaahi mahal me sakht zalzala aa gaya, aur uus ke 14 kungrey (เคเฅเคเฅ เคเฅเคฎเฅเคฌเคฆ) gir gaey
isee tarah faaris (iraan) ke aatish qadey ki aag jo baraabar eik hazaar (1000) saal se jal rahi thi,
eikdam se bujh gayi,
Goya Allah T'aala ki taraf se eik tarah ka ye ealaan tha ke ab iss duniya me wo hasti paida ho chuki he,
Jis ki azmat w bulandi ka charcha puri duniya me hoga,
Jo kufr w shirk aur gumraahi ko khatm kar ke imaan aur towhid ka beej boeyga,
Aur tamaam buri aadaton ko khatm kar ke logon ko achchhey akhlaaq sikhaega
Aur jo kisi eik qoum, qabilah w khandan aur mulk ka nahi
Balke Qayamat tak ke liye puri duniya ke liye Haadi w Paigambar hoga.
๐น๐น๐น๐น๐น
ISLAMI TARIKH
๐๐๐๐๐
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
โฆ๐ทโฆ
(171)
Comments
Post a Comment