PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 18
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0486) 💐
💌💌💌💌💌
21- R.Awwal - 1438
21-December-2016
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-18🌻
💌💌💌💌💌
Rasulallah Sallallahu alaihi wa sallam ghaar e Hara me Allah T'aala ki ibaadat aur zikr me mashghul the ke Hazrat Jibraeel (a.s.) aaey aur uunho ne kaha:
Padhiye (IQRA) !
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:
Mai padha huwa nahi hun.
Aap sallallahu alaihi wa sallam farmatey hai
iss ke baad uunho ne mujhey pakad kar itna dabaya ke meri quwwat nichod di,
phir mujhey chhod diya aur kaha:
Padhiye !
Mainey kaha:
Mai padha huwa nahi hun.
uunho ne dubara pakad kar dabaya phir kaha:
Padhiye !
Mainey kaha:
Mai padha huwa nahi hun,
uunho ne mujhey tisri martaba pakad kar dabaya aur chhod diya phir kaha:
Padhiye !
(Phir Hazrat Jibraeel (a.s.) ne surah ALAQ ki pehli 5 aayatein padhi).
Chunanchey mai padhney laga.
Ye 5 aayatein naazil huee,
Jo sab se pehli vahi thi,
Aur Nubuwwat ka pehla din tha
Yaheen se vahi ka silsilah shuru huwa
Jo Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke aakhri waqt tak jaari raha.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(193)
Comments
Post a Comment